Awara Badal
08-01-2012, 11:08 PM
azaab jitne bhi aane they tal gaye saare
teri nigaah se mausam badal gaye saare
bas aik shikaar hua aik hi shikaar hua
phir us k baad parinde sambhal gaye saare
pada hun be sar-o-samaan shab-e-maqtal me
mere khyaam sar-eshaam jal gaye saare
wo mil gaya to us se kuch bhi na keh paya
jo lafz sochey they ashkon me dhal gaye saare