Awara Badal
07-29-2012, 08:13 PM
Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun
Jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun
Na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun
Jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun
Mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya
Jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun
Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun
Main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya
Main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun
******** BAHADUR SHAH ZAFR **********