Awara Badal
07-28-2012, 07:53 PM
phoolon me ghazal rakhna ye raat ki rani hai
is me terei zulfon ki be-rabt kahani hai
ik zehan-e-pareshan main wo phool sa chehra hai
patthar ki hifazat me sheeshey ki jawani hai
kyun chaandni raat main darya me nahate ho
soye hue paani me kya aag lagani hai
is hosla-e-dil per humne bhi kafan pehna
hans ker koi puchega kya jaan gawani hai
rone ka asar dil per reh reh k badalta hai
aansu kabhi sheesha hai aansu kabhi paani hai
yeh shabnami lehja hai aahista ghazal padhna
titliyon ki kahani hai phoolon ki zubaani hai