Awara Badal
07-27-2012, 06:22 PM
Rasta bhi kathan, dhoop mein shiddat bhi bohat thi
saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi
khaimay na koii mere musaafir ke jalaaye
zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi
sab dost mre muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bohat thi
barish ki duaon mein nami ankh ki mil jaaye
jazbe ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi
kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye
aur kuch meri mitti mein baghaawat bhi bohat thi
phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuch is mein hawao ki siyasat bhi bohat thi
is tark-e-rafaaqat pe pareshan to hoon lekin
ab tak ke tere saath pe herat bhi bohat thi
khush aye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri
hum logon ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi