Log in

View Full Version : junoo'n k sheher mai lekin hamari haar thi laazim


ROSE
07-27-2012, 05:39 PM
gali kucho'n mai barg e khushk ki surat bikharna tha
hawa say dostii ka koi tau anjaam hona tha

junoo'n k sheher mai lekin hamari haar thi laazim
idhar ik shayra thi uss taraf sara zamana tha

ye sari umr kiss aashufttagi mai raiga'n kar dii
usee ko yaad rakkha hai jisay dil say bhulana tha

ajab wehshat ka aalam hai samajh mai kutch nahi aata
safar ki shab musafir ko kaha'n kheema lagana tha

diye jo baam par rakkhay tha mainay bujh gaye saray
isii taareek shab mai usko meray gha'nw aana tha

wo jab ojhal huwa to ham bhi apnay aap say chonkay
usay aawaz deni thi usay wapas bulana tha

SHAYAN
07-28-2012, 01:07 AM
V Nice ::

ROSE
07-28-2012, 12:45 PM
thankssssssssssssss

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.