ROSE
07-13-2012, 01:54 PM
dam e rukhsat usay jeene ki duaa di hum ne
aur phir akhri kashti bhi jala di hum ne
mil hi jaye kisi tabeer ko shayed koi khwab
aks e deewar per tasveer bana di hum ne
rooh ko jism k zindaan mein rakhne k liye
Bazm e umeed sitaron se saja di hum ne
teergi had se barhi dil k nihaan khanon mein
bhoolne wale teri yaad jala di hum ne
doobti sham mein kirno ko bachane k liye
Rair k gher pe bhi deewar utha di hum ne
koun aye ga palat ker humain lay jane ko
lo chiraaghon ki sar e sham barha di hum ne
raakh hote jate teri aag se sundar sapne
aarzo e shamma teri khud hi bujha di hum ne
budgumani se nikal aye gumaan ki had per
beyaqeeni ki feeza aaj mita di hum ne
Apni hi saanson se dum ghutne laga jab
Qarza e jaan de ker saza apni ghata di hum ne