MASOOM GIRL
06-25-2012, 03:47 AM
Yunhi do pal sahi ghamgeen dil ko shaad krty hain
Ameer-e-shehr k aagy koi faryaad krty hain,
Thikana dhondhty hain ab ksi ujry hoe dil me
Chalo aao koi veraan ghar aabad krty hain,
Tumhare ye jahan waaly humain pagal samjhty hain
Bhula dete hain khud ko hum tumhain jab yaad krty hain,
Unhain fursat kahan betaab dil ka haal sun'ny ki
Hamary wasty kab wqt wo barbad krty hain,
Purani baat hai tofan k rukh ko palat dena
Jo dil ko phair dy aisa hunar ijaad krty hain,
Ye khamoshi se barson in ki bunyadon me palty hain
Gharon ko nafraton k zal'zaly barbad krty hain,
Tumhari goud me sir rakh k soona chahty to hain
Magr kab safar k zindan humain aazad krty hain..!!