PRINCE SHAAN
06-05-2012, 02:02 PM
http://lovephrases.files.wordpress.com/2011/12/happy-love-couples.jpg?w=640
YUN RAAT BASAR HO JATI HAI
Yun raat basar kar leta hun, yun raat basar ho jati hai,
Jab unka tasavvur karta hun, ghabra ke sehar ho jati hai.
Takleef-o-takulluf ke maani, itne hi samajh main aaye hain,
Kanton main guzar kar leta hun, phoolon main basar ho jati hai.
In hijr ki raton ki azmat, ye poochane wale kya jaanen,
Main saikdon sijde karta hun jis waqt sehar ho jati hai.
Lillah na dekho aaina, sarkar mera ji darta hai,
Qurban tumhari aankhon ke, meri bhi nazar ho jati hai.
Chehare se hata kar jab apni vo zulf ko jhatka dete hain,
Din meri taraf ho jata hai, aur raat udhar ho jati hai.
Bharpur jawani main jis dum, taiyyar nazar ho jati hai,
To sheikh-o-barahman koi bhi ho, har ek ke sar ho jati hai.