PDA

View Full Version : Ma$Oom's ki PasAnd


MAsooM LArKa
06-05-2012, 01:52 AM
Tere bad kisi dost ki khawahish na rahi
Dil ki banjar zameen par koi barish na rahi

Kaha se lawoo wo qarar raat din
Tere hijar main hosalon ko kawish nahi rahi

Dushman aur dost sab juda ho gaye
Zindagi ko muje se koi sazish na rahi

Main tu aur bi bikharna chahta tha muhabbat main
Lekin teri janib se azmayesh na rahi

Khusbon ki manend khud hi numaya ho gaye
Jin phoolo ki kabi numayish na rahi

Dilon main dharkan aur ankhon ka roona na raha
Sach hai muhabaton main ab asayesh na rahi

Samandar b piyase lagne lage hai rifat
Daryaon main piyaas bujane ki rawish na rahi

MAsooM LArKa
06-05-2012, 01:52 AM
Bheer mein aik ajnabi ka saamna achcha laga
sab se chhup kar woh kisi ka dekhna achcha laga

surmaee aankhon k neechay phool se khilnay lagay
kehtay kehtay kisi ka sochna achcha laga

baat to kuch bhi nahi thi lekin uska aik dumm
haath ko honton pe rakh kar rokna achcha laga

chaaye mein cheeni milana us gharee bhaaya buhat
zer-e-lub woh muskurata "Shukriya" achcha laga

dil mein kitnay ehad bandhay thay bhulanay k usay
woh mila to sab iraday torna achcha laga

us adoye jaan ko Amjad main bura kaisay kahon
jab bhi aya samnay woh bay wafa achcha laga

MAsooM LArKa
06-05-2012, 01:53 AM
MUjhey Khud Sey hAin Shikayatien mUjhey Zindgii Sey Gilla Nahi
K jO Chaha Main Ney wO Paa Liya Nahi Aisa kUch jO Milla Nahi

Meray Aass Pass hAi rOshnii Meray RaastOn Mein Chiraagh hAin
Yeh Teray Karm Ka hAi mOjza Meri jUstajOo Ka Silla Nahii

Teri Aankh Sey jO HaSeen hO wO Nigah Jag Mein Bani Nahi
Teray rUkh kO Jis Sey Misaal dOon kOii PhOol Aisa Khila Nahi

Yeh jO Teri zUlf Ka hAi Hashiya Yeh jO Tera Chehra hAi Khush-nUma
kOii Raat Aisi Siyah Nahi Kisi Subah Mein Yeh Jilla Nahii

Yeh jO Mehar o Maah Kii hAin Haalatien Yeh jO AaiynOn Kii hAin Hairatien
hAin Azl Sey Sab Yeh Isii Trah kOii Apni Jaa Sey Hilla Nahii

MASOOM GIRL
06-05-2012, 05:59 AM
wahhhhhhhhhh :zabardast:
achi pasand he lolz

Polar Bear
06-05-2012, 09:12 AM
Meray Aass Pass hAi rOshnii Meray RaastOn Mein Chiraagh hAin
Yeh Teray Karm Ka hAi mOjza Meri jUstajOo Ka Silla Nahii

I luv it, thnx nice collection

mcitp-it
06-05-2012, 09:37 AM
]lllllllloooooooooooooolllllllllllllllllzzzzzzzzzzz zzzzzzz...............[/COLOR]

Mf Great Power
06-05-2012, 09:44 AM
gr8 one

MAsooM LArKa
06-05-2012, 11:41 AM
Thank u so much All so nice of you :)
Khush raho :)

MAsooM LArKa
06-05-2012, 11:42 AM
Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja
Vo jo Mil Gaya usey Yaad rakh,Jo nahin mila ,Usey Bhool Ja

Vo Teray Naseeb ki Baarishein kisi Aur chatt pay baras gaein
Dil-e-Bekhabar meri baat Suun,Usey bhool ja ,Usey bhool ja

Mein tou Guum thaa teray he Dihan mein,Teri Aas Teray Guman mein
Saba keh gaye hai Meray Kaan mein,Meray Pass aa usey bhool ja

Kisi aankh mein nahin Ashke gham,Teray baad bhi nahin hai Kamm
Tujhay Zindagi nay Bhula Diya,Tu muskura Usey bhool ja

Na Vo Aankh he teri aankh thee,Na Vo khwab he tera khwab thaa
Dil Muntazir hai tu kis liye Tera jaagna ,Usey bhool ja

Ye Jo Raat Din ka hai Khail sa,Usey daikh kay Uus pay yakeen na ker
Nahin Aks koi bhi Mustakil Sarr-e-Aaena usey bhool ja

Vo Jo Bisat-e-Jaan he ulat gaya ,Vo jo raastey say Palat Gaya
Usey rokney say husuul kiya ,Usey matt Bhula usey Bhool ja

MAsooM LArKa
06-05-2012, 11:43 AM
Chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din

raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.N
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din

mai.n apanii har ik saa.Ns usii raat ko de duu.N
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din

MAsooM LArKa
06-05-2012, 11:43 AM
Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo

MAsooM LArKa
06-05-2012, 11:44 AM
“ kabhi tamanna k raaston pe nikal paro tu khayal rakhna
hawain badil fizain mosam khayal
chehrey badal badal kar tumhen milen ge
tu lamha lamha badaltey rangon k shokh dhokey men aa na jaana
kabhi jo charon taraf tumharey
kiran kiran apna khwaab aasa badan nikharey
zameen pe utrey
tu dhundlakon men sama na jana
kabhi jo aankhon men chaand hans hans k chaandni ka khumaar bhar de
tu apni aankhen kahin kkkhala men ganwa na aana
k ye na ho phir jo khwaab tootey
dhanak dhanak ka saraab tootey
or tum bamushkil laraztey haathon men
kirchi kirchi badan sambhaaley
kahin bulandi pe char kar
risti hui nigahon se
waapsi k anishaan dhoondo
ujar gaya jo jahan dhoondo
kabhi tamanna k raastey pe nikal paro tu khayal rakhna
kahin se khalli palat k aana bohat kathan he
bohat kathan he

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.