M A H i
06-01-2012, 07:41 PM
Mere liye to harf e dua ho gya wo shakhs
Saare dukhon ki jese dua ho gya wo shakhs
Mein aasman pe tha to zameen ki kashish tha wo
Utra zameen pe to khla'aa ho gya wo shakhs
Mein us ka haath dhekh raha tha k daf’atan
Simta simat k rang e hina ho gya wo shakhs
Phirta hai le k aankh ka kashkol dar- ba- dar
Dil ka bharam luta to gadaa ho gya wo shakhs
Yun bhi nahi k pass hai mere wo hum nafas
Ye bhi ghalat ke mujh se juda ho gya wo shakhs