SHAYAN
05-30-2012, 01:40 AM
Wussat-e-Dasht- e-Hijar daikh k darr jata hoon,
Tujh se aagey ka safar dekh k darr jata hoon.
Roz dhaltay huway sooraj ki Tarha shaam gaye,
Main b ik dard k dariya Main utar jata hoon.
Wo b chup chup c kaheen baith k roti hogi, .....
Main b raton ko Zara dair se ghar jata hoon.
Maine bhi jurm-e-BaghawaT k sitam jhailay hain,
Main b ab log jidhar jayen udhar jata hoon.
Chal para hun Main Zamaney k asolon pe,
Main b ab apni he Kahi baaton se Mukkar jata hoon