MASOOM GIRL
05-25-2012, 06:49 PM
Masoom Mohabbat ka bus itna fasana hai,
kagaz ki haveli hai aur baris ka zamana hai,
kya shart e-mohhabbat hai aur kya shart e-zamana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai
Us paar nikalne ki ummid bhi kam hai,
Kashti bhi purani hai aur toofan ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaks ko aankhon se ek sher sunana hai
Bholi si ada koi fir ishq ki zid par hai,
fir aag ka dariya hai aur doob kar jana hai...!!!