View Full Version : Pani ya Zeher?
RiyazA
05-18-2012, 03:05 AM
Pichle kuch dinon may Afghanistan ke baare mein ek khabar chapa hua tha ke kuch 250 bachhe apne school mein pani pee kar bemaar ho gaye the. Khabar ke mutaabiq, peenewale pani mein zeher mila hua tha. Yeh waqea Khost mein hua jaha pe Taliban ka bahut karwayan jaari hai. Abhee tak to pata nahin chala hai ke is ghair-insaani kaam ka zimmedaar kaun hai magar yeh Taliban ka kaarnaama lagta hai, kyon ke April mein bhee aisa ekchapa tha jis mein ek larkion ke school ki pani mein zeher milaaya hua tha aur us mein 125 students ko hospital jaana pada tha. Yeh to sub jaante hai ke Taliban larkion ke padhane aur un ka school jaane ke mukhalif hain.
Agar yeh kaam Taliban ne kiya hai to mujhe is sawaal ki poochne par majboor karta hai aur woh yeh ke kis qism ka muslmaan bachon ke pani mein zeher mila tha hai? Kya Islam ne hum ko yehee sikhaaya hai? Ab Taliban bachon ke hifaazat karne se bhaag kar bachon ke helaakat ka zaria ban gaye hai? Yeh be-ghairti aur be-sharmi ka bahut bada namoona hai jo Islam mein to kya, koi aur deen aur mazhab mein bhee aisa amal jaayez nahin hai.
Allah (SWT) in raaste-mein-koye-hue logon ko hedaayat aata farmaaye aur hamaare bachon ko apne hifaazat mein rakhe.
!~*SOoLi
05-18-2012, 03:12 AM
Taliban Nay Aisa Kuch Nai Kiya, .. Na Hi Taliban Larkion Kay School Janay Par Pabandi Lagatay Hain.. Islam Main Aisi Koi Mumaneyat Nai K Larkio Ko School Nai Bhaijna Chahiye.. Ye Sirf Unkay Khilaf Propaganda Hay.. Doosra Apnay Hi Mulq Kay Bacho'n ko Wo Zaher Kion Daingay.. Main Apsay Ye Sawal karta Hoon
Polar Bear
05-18-2012, 09:20 AM
Allah Talal Sabhi ko apny Hifz o Emaan mein rakhein (Ameen)
solprovider
05-22-2012, 12:14 AM
I don't believe its Taliban without any solid proof.
Shaolin
05-22-2012, 12:54 AM
Taliban Nay Aisa Kuch Nai Kiya, .. Na Hi Taliban Larkion Kay School Janay Par Pabandi Lagatay Hain.. Islam Main Aisi Koi Mumaneyat Nai K Larkio Ko School Nai Bhaijna Chahiye.. Ye Sirf Unkay Khilaf Propaganda Hay.. Doosra Apnay Hi Mulq Kay Bacho'n ko Wo Zaher Kion Daingay.. Main Apsay Ye Sawal karta Hoon
Totally agreed with my friend there !!!! Its stupid to point some one without any proof , and for god sake its STUPID to come up and say "ya taliban ka kaam lagta hai "
and for those who trust electronic media they seriously need to wake up ..
Stollen Heart
05-22-2012, 03:33 AM
Dosre musalaman ke bare men hamesha acha gumaan rakhna chaiye, Aisa kaam kisi bhi mazhab men jaiz nhi hey, So Apne bhaieyon ke bare men acha gumaan rakho, ager kuch sher pasand log in men shamil ho gay hen to sub ko bura nhi smjhna chaiye,
solprovider
05-28-2012, 09:25 PM
Totally agreed with my friend there !!!! Its stupid to point some one without any proof , and for god sake its STUPID to come up and say "ya taliban ka kaam lagta hai "
and for those who trust electronic media they seriously need to wake up ..
really appreciate your comment brother.
all people should watch this documentary its about green energy but it also uncover many american gov. secrets including there media. http://www.youtube.com/watch?v=lEV5AFFcZ-s
mcitp-it
05-28-2012, 11:07 PM
Allah Talal Sabhi ko apny Hifz o Emaan mein rakhein (Ameen)
Snowwhite
06-01-2012, 08:16 PM
Allah Tallah Saab Ko Apni Hifazat Mei Rakhen ( Ameen ) ... OR Zalimun Ka Dil Mei Raham Dalay (Ameen)
cute_sehar
06-04-2012, 02:25 AM
Cant say anything.. :s MAY ALLAH bless All Ov ya :)
RiyazA
06-06-2012, 02:17 AM
Doston, salaam arz hai. Lagta hai ke mere baatein kuch doston ko bura laga aur mera iraada yeh nehin tha. Yeh baat sahih hai ke Islam larkyion ki school jaane par koi paabandi nahin hai, magar yeh ek haqeeqat hai ke Taliban ne apne hukoomat ke dawraan larkyion ko school jaane se aur khwateen ko kaam karne se roka tha. Is baat ko Taliban ki wazir kharija, Mutawakkil ek interview kaha tha.
Waise, Lahore ya Karachi ya London mein reh kar Taliban ke baare mein achhe baatein karna aasaan hai magar agar koi Afghanistan ke sarhadi elaaqein ya FATA ke taraf jaaye to poora saboot un ki aankhon ke saamne hoga. Larkyion ke band hua ya jalaaya hua schools dekhne ko milega. Kuch schoolein jo band nahin hue hain, bhee melinge magar ab woh school nahin balke shaddatpasandon ki ade mein tabdeel hue hain.
Rahi Muslmaan hone ki baat, to mere lye yeh log Muslmaan to kya, insaan kehlaane ke qabeliat bhee nahin rakhte, kyon ke inhee ke wajah se Pakistan mein shaddatpasandi barha gaya hai.
Aakhir mein mai sab doston ke tarha yahee kehna chaahonga ke Allah (SWT) apne saare bande ko apne hifaazamt mein rakh kar aur sub ko sahih rasta dekhaaye.
!~*SOoLi
06-06-2012, 03:40 AM

lol.. Kam Bongiyan Choro Yaar
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.