PDA

View Full Version : Us Ki Aankhon...!~


sadpoet
05-16-2012, 09:02 PM
http://s15.postimage.org/92b2aig2z/ts_12.jpg
!♥!▬↓↓↓═══►♣►●●♠ஜ۩۞۩ஜ♠●●◄♣◄═══↓↓↓▬!♥!

Ay Neend Ab Aa Bhi Ja Kay Buhat Muddat Ho Chuki Hai Karwaten Badaltay Badaltay..!
Par Afsoos Kay Tu Bhi Us Bewafaa Ki Khatir
Rooth Beithi Hai Mujh Say...!~

!♥!▬↓↓↓═══►♣►●●♠ஜ۩۞۩ஜ♠●●◄♣◄═══↓↓↓▬!♥!

..!| W@$$i $h@h |!..

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,
Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,
Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,
Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,
DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,
Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,
Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.

Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,
Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,
Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!
Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

!♥!▬↓↓↓═══►♣►●●♠ஜ۩۞۩ஜ♠●●◄♣◄═══↓↓↓▬!♥!

Sub So Gaye Khushi Khushi Apna Haal-E-DiL Sunaa Kar..!
Mera Koi Nahi Jo Mujh Say Poochay Kay Tum Kyun Jaag Rahay Ho...!~

!♥!▬↓↓↓═══►♣►●●♠ஜ۩۞۩ஜ♠●●◄♣◄═══↓↓↓▬!♥!

SABA134
05-16-2012, 09:15 PM
Sub So Gaye Khushi Khushi Apna Haal-E-DiL Sunaa Kar..!
Mera Koi Nahi Jo Mujh Say Poochay Kay Tum Kyun Jaag Rahay Ho...!~
V Nice...!!!

sadpoet
05-16-2012, 09:43 PM
JI JI Buhat Buhat Shukriyaaa....

Sub So Gaye Khushi Khushi Apna Haal-E-DiL Sunaa Kar..!
Mera Koi Nahi Jo Mujh Say Poochay Kay Tum Kyun Jaag Rahay Ho...!~
V Nice...!!!

(‘“*JiĢäR*”’)
05-18-2012, 11:13 AM
:bu:....:artist:

sadpoet
05-18-2012, 02:46 PM
شُکریۃ جناب


:bu:....:artist:

Shaolin
05-18-2012, 05:39 PM
Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,

keep up the good work its very nice

Miss Habib
05-19-2012, 12:41 PM
wah bohat khoob

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.