Owi
05-14-2012, 07:42 PM
-:||:- Mujhay Khud-kushI Qubool Nahi -:||:-
Hawas-zadon ko ghum-e-aashiqi qubool nahi
Ajeeb log hein jin ko khushi qubool nahi
Hansay gi or meray ujray ghar pay ye duniyaa
Bujhaa do shammein, mujhay roshni qubool nahi
Salaah terk-e-ta'alluq bajaa mager naaseh
Khataa muaaf, mujhay khud-kushi qubool nahi
Na pooch kash-ma-kash-e-jaber-o-ikhtiyaar, a dost
Main jee raha hoon mager, zindagi qubool nahi
Hanso gay jab to samhaj lo gay khud hi naadaanon
Main kya bataaoon mujhay kiun hansi qubool nahi
Karam wo mujh pay kiye meray doston nay .....
Main keh utthaa k mujhay dosti qubool nahi !