Owi
05-14-2012, 07:42 PM
-:||:- Kabhi Hansay, Kabhi Aahein Bhareen, Kabhi Roye -:||:-
Kabhi jo main nay musarrat ka ehtaymaam kiya
Baray tapaak say ghum nay mujhay salaam kiya
Hazaar terk-e-ta'alluq ka ehtaymaam kiya
Mager jahaan wo milay dil nay apna kaam kiya
Zamaanay waalon k darr say utthaa na haath mager
Nazer say us nay ba-sad muaazrat salaam kiya
Kabhi hansay, kabhi aahein bhareen, kabhi roye
Ba-qadar-e-mertabaa her ghum ka ehtayraam kiya
Tulooo-e-meher say bhi ghar ki teergi na ghati
Ik or shab kati ya main nay din tamaam kiya
Dua ye hai na hon gumraah humsafer meray
..... main nay to apna safer tamaam kiya !