Log in

View Full Version : ek thread sub k naam :(


3yesha
05-08-2012, 05:42 PM
Asalam_0_alaikum pakistan


aj main ne phir MF k visit kra aur phir mera bp hi fi ho gaya hai
batao yar kaise kaise log paye jatain hai mera hergiz maqsad yahan per fight kerna ya kisi ki personal life k bare mai bolna nhe hai mager iam realy mayoos jeb bhe mai dekhti ho kay hum humari pehchan kia hai?
kia yeh humari pehchan hai kay
hum apni aur dosero ki islaah k liye signature images pics inthai third clas ishq o muhabat piyar lerk alerki ohhhhhhhhhhhhh GOD akher kab hum in sub cheap cheezon se baher ayain gay kab :(
kab hum main shaour jagay ga ?
kab hum sare aam fakher sy bata sakain gay hum muslim b hai aur pakistani bhe hai
yeh to humari pehchan nhe hai na :( jo hum ne laga rekhi hai apne images pe pics pe siggis pe
kuda ra met spoil kerain apni pehchan ko apni asel ko chor do yeh lerka lekri k ishq o muhabat ki pics chor do yeh nangi fazol lekriyon ki siggis lagnaa chor do yeh sub
hum buri pehchan he kiun banate hai kiun nhe humai koi achi cheez attract kerti kiuon :(
:0039::0039::0039:
:( huh

Shaolin
05-08-2012, 06:08 PM
:thumb:

Stollen Heart
05-08-2012, 06:43 PM
Baji me ka siggy ur Av mast hey na

3yesha
05-08-2012, 06:58 PM
haan bhaiya insan wala hai :)

beyond_vision
05-08-2012, 07:09 PM
Hmmm Ayesha sis a very nice thread indeed and a daring and couregous effort from your side :) I also believe that though as users, Pakistanis and on a more broader level as being Human beings also, we all got freedom to express our views and freedom to portray ourselves in whichever way we want BUT its true that Freedom comes with Responsability and we should all be aware of our responsabilities as being a muslim, Pakistani's and Humanbeings :) I guess Perhaps if the administration can be strict in their rules and regulatiosn regarding this then perhaps this can be solved in a more effective way. In short, aapki Koshish Bohat achi hay aur u never know "Shayed K Teray Dil main Utar Jaye Meri Baat" :)

Salou
05-09-2012, 01:14 AM
gud point dear ..+10:bu:

shawn52
05-09-2012, 09:20 AM
yeh u r absolutely right.. akhir kab tak..?

!~*SOoLi
05-09-2012, 02:01 PM
Har Banday Ki Mentality Waisi Nai Hosakti Jaisi Apki Hay,.. :)
Mein Nay Apki Pehlay Bhi Kuch Aisi Posts Daikhi Hain Jin Main Ye Baat Directly Sab K Samnay Ki Gai Thi.. Jokay Insulting Way Tha, .. !!
Hosakta Hay Apki Soch Achi Ho.. Hosakta Hay Negative Activities Kisi K Liye Itni Zyada Negativity Na Rakhti Hon Jitni Apkay Liye..
Baherhal, Islam aur Moral Values K Liye Preach Karna Ho To Aqalmand Tareeka Ikhteyar Karain

3yesha
05-09-2012, 03:47 PM
insulting way ? main chup chup k nhe ruk rhi kisi ko aer logo ko khole aam burai kertay howe sharam nhe ati dear to m uje sare aam bolte howe sharam kiu aye g mera way galat nhe haii na he main ne kisi ek ko point out kia main sub ki baat ki hai :)

rani123
05-09-2012, 04:15 PM
Main logout ho gai thi sis per jatay jatay ap kay thread per nazar pari...
Thats what i have in my heart.
well acha bura bataya ja sakt ahai jesay ap nay bataya per kisi per impose nahi kia ja sakta
bahar hal totally agreed with u.
Allah sab ko hidayat day ameen.


Kehta hai zamanay say ye darwesh jawan marg
jata hai jidhar banda e HAQ, to bhi udhar ja

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
05-09-2012, 05:34 PM
lo jee abb kis ka siggy avvii dhek liyaa i dnt get app log itna sochtay he qu hooo every one have there own choice abb aur kia kahoun :peace:

!~*AdOrAbLe*~!
05-09-2012, 05:39 PM
Agree wid Khushi
Sabki Apni choice hai aap apne liya Aca karo Dn worry abt others :)

DeV!L
05-09-2012, 05:53 PM
.......

!~*SOoLi
05-09-2012, 07:01 PM
insulting way ? main chup chup k nhe ruk rhi kisi ko aer logo ko khole aam burai kertay howe sharam nhe ati dear to m uje sare aam bolte howe sharam kiu aye g mera way galat nhe haii na he main ne kisi ek ko point out kia main sub ki baat ki hai :)

Soch Achi Hay Tareeka-e-Kaar Thora Sa Badal Lo :) .. Ap Ab Bahes Mat Chairna Kisi Say Bhi..Kion Kay Apki Bahes K Jawab Main Koi Apni Ghalti Ko Defend Karayga Ya Apko Point out Karayga To Wo Gunehgaar Hoga :) .. Intezar KarO Aur Infradi Tor Par Samjhao, Allah Apko Ajar Day K Ap Aisi Soch Rakhti Hain

!~*SOoLi
05-09-2012, 07:06 PM
Aur Eyesha*! Ji True.. Choice Sab Ki Apni Hay..
Humara Maqsad Impose Ya Implement Karna Nahi.. Aisa To Janwaro K Sath Kiya Jata Hay, .. Insan Ko Aqal Ata Ki Hay Allah Nay, Usay Guidance Di Jati Hay.. Phir Chahay Wo Us Rastay Ko Apna Lay Chahay Wo Na Apnaye Us Par.. Ap Par Koi Guilt Baki Nai Rahayga :) ..

safa
05-09-2012, 07:15 PM
Walikum Assalam

Thread sab ke naam dekha to maine bhi yahan visit kya......!

May be mere liye bhi kuch ho.......!

pahli bat to ye hai ke aap ne makhsoos pakistan ko salam kya hai....anyways koi bat nahi......jo de uska bhi bhala.....!



jo na de uska bhi bhala.......!

haan kahne ka maqsad ye hai ke maine kisi bhi forum main koi sinature nahi lagayi hai.......aur avatar main mera nick hai....!

waise yahan kisi bhi Topic per bahes lagi rahti hai.....shayed ye MeraForum ki khasiyat hai.....:)

Salou
05-09-2012, 09:05 PM
janab ager app mind na karain to jo sachi baat hoti hy wo sub k samny hi ki jati hy ...otherwise us ka koe faida nai ager such kaisi ko pata na chaly tu u know us sach ko bhi chupany k liay jhoot bulna perta hy ..is liay zarori hy jo baat ho khul k ker dyni chahiay ..:))

Salou
05-09-2012, 09:08 PM
APP ki baat theek hy bt ager kisi ki islah kerni ho tu banda usy piyar sy samjha sakta hy na ...so dats why she do ..:)

3yesha
05-09-2012, 09:52 PM
:knockout::knockout:
her insan ka amel us ka apna hota hai mger insan ko ALLAH ne ashraf ul makhloqaat bhe is liye banya hai k dosere insan ki islaah ker sakay
phir aap log bhe wo kerain jo ap ko sahe lgta hai mei bhe wo he keron g jo muje sahe lgta hai :)

larai aur dushmani meri kisi to hai nhe na :)
baki batain main aker kerti hon :P:0039:

Miss Habib
05-10-2012, 12:11 PM
bilkul sahi kaha Ayesha
aik baat zaroor kahoo gi k insaan ko doosre ki islah karni chahiye, ye bhi hamara farz hai aik muslim hone k nate, hum se sirf hamare amaal k bare mein nahi poocha jaye ga, balkay ye bhi poocha jaye ga k jab burai ho rahi thi to hum ne kyon nahi roki

Hadees-e-Nabvi hai
Burai hote dekho to usse hath se roko, hath se rokne ki taqat nahi to zuban se roko or agar zuban se bhi nahi rok skte to dil mein bura jano, aur ye emaan ki sabse kamzor halat hai

han ye zaroor kahoon gi ayesha k sakhat lafzon se guraiz kia jaye, kyon k pyar se kahi gai baat zyda asar rakhti hai, lekin bohat acha lagta hai jab bhi koi buri baat dekhti hoon to usse zaroor point out karti ho, or ye bhi theek kaha k jab burai sar-e-aaam hai to islah bhi sar-e-aaam honi chahiye

Shaam
05-12-2012, 02:49 PM
sahi ghalt ka criteria define ho chuka hai
jo us criteria per sahi ho
us ko apne sahi hone pe afsos nahi karna chaiye
ayesha
dont ever post any thread with : (

: )

!!````Me-MoMaL````!!
05-12-2012, 05:19 PM
Thanks Aysha meri bhi same thinking hai but I went astray for a while but when i saw this thread i immediatley changed my avatar thanks for putting me on the ryt way.
tum jo karrahi ho please dont stop it koi appke sath ho ya na ho I am with you:frDONt:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.