Noor ul huda
05-06-2012, 08:21 PM
Yeh dooriyoo may lamha e visaal kaisay agaya
Tumhay hamaray sheher ka khayal kaisay agaya
Abhi tu tay huey na thay usool aashnayi kay
abhi sy dil kay aenay may baal kaisay agaya
koi tu bhaid ham pe bhi khulay tairay urooj ka
kabhi tu ham bata sakien, zawal kaisay agaya
chalay thay tum chaahatoo ki seepiyaan talaashnay
tumhaaray haath nafratoo ka jaal kaisay agaya
gulaab rut guzar chuki, magar yeh shaher e hijr may
hawa kay haath khushboo ka thaal kaisay agaya
hamari tu umer kat gayi, hamay tu dhub na asaka
tumhay yeh arz e haal ka kamal kaisay agaya
muhabbatoo may shart ki tu koi baat hi na thi
yeh darmiyaan anaoo ka sawal kaisay agaya