M A H i
05-05-2012, 02:14 PM
http://img52.imageshack.us/img52/9784/13staringatacandleunkno.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/52/13staringatacandleunkno.jpg/)
Sulag raha hoon mein dheery dheery,
Magar kisi par ayaa’n nahe hy
wo aag dil mein lagi hy jis mein,
Tapish hy lykin dhoowa’n nahe hy
Tumhary gham ne sikha dia hy,
Mujhy har ek gham se payar karna
Gham-e-jaha’n bhi, yaqeen jano,
Mizaaj-e-dil par garaa’n nahe hy
Khuda ke basti mein har qadam par,
Koi hy giryaa’n kisi k gham par
Yeh dard to dard-e-mushtarak hy,
Yeh aankh pur namm kaha’n nahe hy
Matta-e-umr-e-aziz sari,
Ganwa chuky, par safar hy jari
Ajeeb souda hy aashqi ka,
Kay fikr-e-sood-o-ziyaa’n nahe hy
Meri khamooshi pe hansny walo,
Yeh bhool kar bhi na soch lena
Kay mery pehloo mein dil nahe hy,
Kay mery munh mein zubaa’n nahe hy
Ghazal kaho, ata kro kuch
isi tarapti hue navaa mein
Yeh tarz, yeh dil gudaaz lehja,
Samaa’to’n par garaa’n nahe hy
Sulag raha hoon mein dheery dheery,
Magar kisi par ayaa’n nahe hy
wo aag dil mein lagi hy jis mein,
Tapish hy lykin dhoowa’n nahe hy
Tumhary gham ne sikha dia hy,
Mujhy har ek gham se payar karna
Gham-e-jaha’n bhi, yaqeen jano,
Mizaaj-e-dil par garaa’n nahe hy
Khuda ke basti mein har qadam par,
Koi hy giryaa’n kisi k gham par
Yeh dard to dard-e-mushtarak hy,
Yeh aankh pur namm kaha’n nahe hy
Matta-e-umr-e-aziz sari,
Ganwa chuky, par safar hy jari
Ajeeb souda hy aashqi ka,
Kay fikr-e-sood-o-ziyaa’n nahe hy
Meri khamooshi pe hansny walo,
Yeh bhool kar bhi na soch lena
Kay mery pehloo mein dil nahe hy,
Kay mery munh mein zubaa’n nahe hy
Ghazal kaho, ata kro kuch
isi tarapti hue navaa mein
Yeh tarz, yeh dil gudaaz lehja,
Samaa’to’n par garaa’n nahe hy