ROSE
04-28-2012, 06:38 PM
Hawa k khauf se zakhmi kabhi anaa na karo
bujhay charagh to bujhne do ilteja na karo
kutch ahtraam barho ka bhi lazmi hai magar
ghumaan guzray khushamad ka you'n jhuka na karo
ye uska kaam hai wo phool de k zakhm tumhain
bhalai ho nahi sakti to phir bura na karo
mila hai sabr wirasat mai uski laaj rakkho
ho dushmani bhi kisi se to badd-dua na karo
havas jahaiz ki insaniat ki qateel hai
kisi ghareeb ki beti ko be-rida na karo