Log in

View Full Version : Ab jo bichre hain!!!!


anabia
04-22-2012, 11:29 PM
Ab jo bicheray hain to ahsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Chaar soo gonjti ruswayi kisey kehtay hain
Ab jo bicheray hain tow ahsaas hua hum ko

Koi lamha ho teri yaad mey kho jatay hain
Ab tow khud ko bhi muyassir nahi aa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mey hum behtay hain

Dard kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain to ahsaas hua hai hum ko

Jo bhi ghum aaye usay dil pe saha kertay thay
Aik wo wakt tha hum mil ke raha kertay thay
Ab akelay hee zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain to ahsaas hua hai hum ko

Hum ne khud apnay hee rustay mey bichaye kaantay
Gher mey pholon ki jaga lakay sajaye kaantay
Zakhm is dil mey basaye huay khud rehtay hain

Dard kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Ab jo bichre hain to ahsaas hua hai hum ko

Yun tow duniya ki her aik cheez haseen hoti hai
Pyar se berh ke mager kuch bhi nahi hoti hai
Raasta rok ke her aik se yehi kehtay hain

Ab jo bicheray hain to ahsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhayi kisay kehtay hain
Chaar soo gonjti ruswayi kisey kehtay hain
Ab jo bicheray hain to ahsaas hua hum ko
http://i1215.photobucket.com/albums/cc509/dance183/lonely-girl.jpg

SHAYAN
04-26-2012, 12:18 AM
Gr8 Lines

anabia
04-26-2012, 11:15 PM
Thanks Shayan

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.