Dil Wale
02-20-2009, 01:16 PM
Main sun k uss ki sab baatein
faqat itna hi kehta hoon,
khafa hona mana laina
ye sadyon se riwayat hai,
muhabat ki alamat hai,
giley shikway karo mujh se
tumhen JAANA ijazat hai,
mager ik baat meri bhi
zara tum yaad rakh leina,
kbhi aisa bhi hota hai
hawain rukh badalti hain,
khizaen laut aati hain,
"khataen ho hi jati hain"
khafa hona bhi mumkin hai
khata hona bhi mumkin hai,
hamesha yaad rakhna tum
taluq roth janey se
"KABHI TOTA NAHI KERTEY"..
faqat itna hi kehta hoon,
khafa hona mana laina
ye sadyon se riwayat hai,
muhabat ki alamat hai,
giley shikway karo mujh se
tumhen JAANA ijazat hai,
mager ik baat meri bhi
zara tum yaad rakh leina,
kbhi aisa bhi hota hai
hawain rukh badalti hain,
khizaen laut aati hain,
"khataen ho hi jati hain"
khafa hona bhi mumkin hai
khata hona bhi mumkin hai,
hamesha yaad rakhna tum
taluq roth janey se
"KABHI TOTA NAHI KERTEY"..