humaa
02-20-2009, 10:43 AM
mere zurf ka yeh qasoor tha
dard e dil na chupa saki
mere zurf ne bhi dagha dia
main tu zurf bhi na bacha saki
mera nafs ik alao tha
meri roh tak ko nigal gaya
main khawaishon k is alao ko
na jala saki na bhuja saki
jo di doston ne aziyatein
thi woh dushmano ki inayatein
main tamam umer derti rhi
koi dost phir na bana saki
mujhe muflasi ne thaka dia
mere walwalon ko sula dia
mujhe log yeh keh ker juda howe
yeh to kuch bhi na bana saki...!!!
dard e dil na chupa saki
mere zurf ne bhi dagha dia
main tu zurf bhi na bacha saki
mera nafs ik alao tha
meri roh tak ko nigal gaya
main khawaishon k is alao ko
na jala saki na bhuja saki
jo di doston ne aziyatein
thi woh dushmano ki inayatein
main tamam umer derti rhi
koi dost phir na bana saki
mujhe muflasi ne thaka dia
mere walwalon ko sula dia
mujhe log yeh keh ker juda howe
yeh to kuch bhi na bana saki...!!!