Owi
04-08-2012, 05:42 PM
-:||:- QaidI -:||:-
Ouk mein zindagi bhari saari
Qatrah qatrah tapakti jaati hai
Umer yun hi nikalti jaati hai
Waqt riss riss k behta rehta hai
Main jitna phoonk say bujhaaoon isay
Ye jawaani k jali jaati hai
Lamha lamha samait’ta hoon main
Raakh haathon mein liye betha hoon
Aag kaanon mein yun dehekti hai
Jo sadaa pohanchay bhasm ho jaaye
Zabaan pay lambi khaamoshi bichi hai
Jisay ourhay aawaaz so jaaye
Aankh khaali hai mager ab bhi kabhi
Koi palkon pay chal k aata hai
Mujhay lagta hai mout hi hogi
K jis ka muntazir tha sadiyon say
Jis k firaaq mein berson talak jaaga
Ho na ho wo hi chaarah-garr hogi
Mager palkon tak aati her aahat
Mujh ko tunha hi chour jaati hai
Chand saansein nichour jaati hai
Or main saans laynay ka aadi
Jiye jaata hoon, jiye jaata hoon !
Ouk mein zindagi bhari saari
Qatrah qatrah tapakti jaati hai
Umer yun hi nikalti jaati hai
Waqt riss riss k behta rehta hai
Main jitna phoonk say bujhaaoon isay
Ye jawaani k jali jaati hai
Lamha lamha samait’ta hoon main
Raakh haathon mein liye betha hoon
Aag kaanon mein yun dehekti hai
Jo sadaa pohanchay bhasm ho jaaye
Zabaan pay lambi khaamoshi bichi hai
Jisay ourhay aawaaz so jaaye
Aankh khaali hai mager ab bhi kabhi
Koi palkon pay chal k aata hai
Mujhay lagta hai mout hi hogi
K jis ka muntazir tha sadiyon say
Jis k firaaq mein berson talak jaaga
Ho na ho wo hi chaarah-garr hogi
Mager palkon tak aati her aahat
Mujh ko tunha hi chour jaati hai
Chand saansein nichour jaati hai
Or main saans laynay ka aadi
Jiye jaata hoon, jiye jaata hoon !