Owi
04-01-2012, 03:36 PM
-:||:- Saans Ab K Aakhri Manzil Pay Aa Jaanay Ko Hai -:||:-
Saans ab k aakhri manzil pay aa jaanay ko hai
Khaak meri aasmaan ka lums paa jaanay ko hai
Peenay waala hoon hayat-e-ghum ki saari hichkiyaan
Mout ka aasaib meri laash khaa jaanay ko hai
Jis nay tum ko raaston mein paaoon dikhlaaye kabhi
Chaltay rehna k tumhaara rah-numaa jaanay ko hai
Jo tumhaari koukh say ugg ker jawaani tak gaya
A meri galiyon tumhaara aashnaa jaanay ko hai
Jis nay teri raah say joray thay saaray qaafiye
A meri jaan-e-ghazal shaa'ir tera jaanay ko hai
Tum say jis nay aadatein achi, buri seekheen sab hi
Wo tumhaari mehfil-e-rungeen uthaa jaanay ko hai
Jitna darr hai aaj ki shab hai k is k baad phir
Bister-e-merg-e-jahaan say ye balaa jaanay ko hai !