M A H i
04-01-2012, 02:14 PM
Kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan mein gawara kartay hein
Ghunchy apni aawazoon mein bijli ko pukara karaty hein
Pucho na araq rukhsaroon say rangeeni-e-husn ko barhny do
Suntey hein k shabnam k qatry phoolon ko nikhara kartay hein
Jaati hui mayat dekh k bhi lillah tum uth k aa na sakay
Do chaar qadam to dushman bhi takleef gawara kartay hein
Ab naza ka alam hay mujh per tum apni mohabbat wapis lo
Jab kashti doobnay lagti hay to boojh utara kartay hein
Kuch husn-o-ishq mein farq nahi hai bhi tu faqat ruswai ka
Tum ho k gawara kar na sakay hum hein ke gawara kertay hein
Taroon ki baharoon mein bhi ''Qamar'' tum afsurda kiu rahtay ho
Phoolon ko to dekho hans hans k kaanton mein guzara kartay hein