M A H i
04-01-2012, 02:08 PM
Aisa toota hai tamanaaon ka pandaar k bas
Dil nay jheelay hain woh aazaar k bas...
Ek jhaunkay main zamana mere haathon sy gya
Is qadar taiz huwi waqt ki raftaar k bas...
Tu kabhi rakh k humain dekh to bazaar k beech
Is tarhan toot k aayen gay kharidaar k bas...
Kal bhi sadiyon ki musafat pay paray thay dono
Darmiyan aaj bhi parti hai woh deewaar k bas...
yeh to ek zid hai k Mohsin main shikayat na karun
warna shikway to hain itnay meray yaar k bas...