Owi
03-22-2012, 02:57 AM
-:||:- Rehnay Do -:||:-
Kisay maaloom ?
Kon is raaz ki
Kayfiyat say aashna hai ?
Ye meray chaaron taraf kiun ik sukoot-e-bay-sada hai ?
Main kahoon kis say ?
Meri ujri hui aankhon k khaali rozanon say
Us taraf kya hai ?
Khalaa hai yaa sitaaray phaankti andhi hawa hai ?
Jaanta hai --- kon ?
Kis per khul saka hai ?
Jism k khaali khander mein
Kon ab tak bass raha hai ?
Tum mujhay dekho,
Main apnay aap say derta hoon shab ko
Jab andhayra bolta hai,
Dil ka sannaata
Puraani daastaanon say atay bhaidon ki girhein kholta hai !!
Jab lahoo ki aag mein latt-patt kiwaaron say
Ulhajti hein meri cheenkhein
Koi suntan nahi mujh ko !
Bikhertay toot’tay khuwaabon mein jab taqseem hota hoon
Koi chunta nahi mujh ko !!
To aisa hai k tum apni mehekti neend say khailo
“ NA DUKH JHAILO”
Meri tunhaai k asraar matt pooch
Kaheen aisa na ho tum bhi
Khud apnay ko ganwaa betho
Meri khuwaahish or apnay dermiyaan
Bhaidon bhari deewaar --- rehnay do,
Mujhay kuch din
Meri ujri hui aankhon k khaali rozanon say us taraf
Taareek lamhon k bhanwar mein bas yun hi
Baydaar rehnay do,
Mujhay sadiyon puraani daastaanon ki terhan
Andhi hawa k saath
Pur-asraar rehnay do !