ROSE
03-20-2012, 12:50 PM
Bhool sakta hai unhain, koi bhi aise kese
Raftgaa'n dil me'n basa karte ha'n, kese kese
Jaan le kar bhi agar, khush nahi hone wala
Koi batlaye wo, phr manay ga, wese kese
Ye mere yaar ki ankho'n mein raha karti thi
Pochiye kuch na hui dosti may se kese
Wo to anmol hai, nayaab hai, iklota hai
Uski tashbhe, kare hum, kisi shay se kese
Hanstay hanstay wo judai ko bhi sah jaye ga
Zinda rah paye'n gay, lakin, mere jaise kese
Zindagi se tujhay, be-dakhl, to kar de'n jana !
Par tu niklay bhi to niklay, rag o pay se kese
Kulkulay may ki tarah bahnay laga khoon aba
Naghmay niklay hain, mere dard ki, nay se kese
Zindagi ye, teri raftaar ajab tarz ki hai
Chalna chah'hay to chalay ham teri lay se kese
Hamse kahtay hain bhula de tumhain, dekho to Wasi
Mushware hamko mila karte ha'n, kese kese