Log in

View Full Version : poochnay walay


SAjan
03-18-2012, 01:25 PM
poochnay walay tujhay kaiasay bataein aakhir
dukh ibarat tau nahein jo tujhay likh ker bhaijain
ye kahani bhi nahein hay ke sunaein tujh ko
na koi baat hay aisee ke bataein tujh ko
ye koi raaz nahein jiss ko chupaein tau wo raaz
kabhi chehray kabhi aankhoon se chalak jata hay
jaisay aanchal ko sanbhalay koi, aur tez hawa
jub bhi chaltee hay tau shano sey dhalak jata hay
ab tujhay kaisay bataein ke hamein dukh kia hay
jism mein reengtee rehtee hay musafat ki thakan
apnay kandhoon pe uthayay huvay halat ka bhoj
apnay qadmon se hatatay huvay saayaa apna
jis ko bhi dekheyay chup chaap chala jataa hay
kabhi khud se kabhi rastoon sey ulajhtaa hay magar
janay wala kisi awaz pe rukta hee nahein
dhoondhna hay naya peraya e izhaar hamein
issta'aroon ki zubaan koi samajta hee nahein
dil gariftaa hein talismaat e gham e hastee mein
saans lenay se fasson kari e jaan tootatee hay
ik tagheyar puss e her shay hay magar zulm ki dor
abhi ma'aloom nahein hay ke kahan toot'tee hay
tu samajhtaa hay ke khushboo se moattar hay hayaat
tu nay chakhaa hee nahien zehr kisi mausam ka
tujh pe guzraa he nahein raks e junoon ka aalam
waqat bey rehm hay hum raks e barehnaa hein sabhi
ab tau paband e slasil nahein koi phir bhi
tu kabhi waqat ki dehliz pe tehraa hee nahein
tu nay daikhay hee nahein halqa e amroz ke rang
garm e wa'ada e fardaa se pighaltay huvay log
apnay hi khawab ki taabir mein jaltay huvay log
zindagi film nahein hay ke dikhaein tujh ko
tu nay poochaa hay magar kaisay bataein tujh ko
dukh ibarat tau nahein jo tujhay likh ker bhaijein
dukh.. ... tau mehsoos huva kertaa hay
chaahay teraa ho ke meraa dukh ho
aadmee wo hay jisay jeetay jee
sirf apna nahein sub ka dukh ho
chaak ho jaayay jo ik baar hawas kay haathoon
jaamaa e ishq dobara tau nehin siltaa hay
aasmaan meri zameenoon pe jhukaa hay laiken
teraa aur meraa sitara hi nahein miltaa hay.

SHAYAN
03-19-2012, 12:05 AM
Gd.....

SAjan
03-19-2012, 10:33 AM
thanks

ღƬαsнι☣Rασ™
11-05-2012, 03:56 AM
Nice Post
thanks for sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.