DrEaMBoY
03-12-2012, 11:40 PM
Har kadam chal raha aik aawaz per,
Har ghadi baj raha wakt ke saaj per,
Aaj paisa hi uska sitam ban gaya hai !Aadmi..!
Koti gharshan ki vedi pe chadhta hua,
Har samay apni sthiti badalta hua,
Dharti ke sir pe vazan ban gaya hai !Aadmi..!
Chal raha raat-din per kahin ka nahin,
ZameeN ka nahin aasmaN ka nahin,
Vo to bas wakt ka ek chalan ban gaya hai !Aadmi..!
Dafn hota naye roj itihaas mein,
Khud hi fansta vinasoN ke navpaas mein,
Abto itihaas uska kaphan ban gaya hai !Aadmi..!