View Full Version : MauZoO -e- Sukhan
Aadii~
03-12-2012, 08:25 PM
As Salam U Alaikum,Umeed Karta Hoon Ap Sab Log Bakhair O Afiyat Hongey....Aur Duaa Gau Hoon K ALLAH AP Ko apni Hifz O amaan Mien Rakhay.Yahan AIk Thread Shuru Kar Raha hoon...Jis Mien ShUaraa Hazraat K Muntakhib SHair Ap Log Likh Saktay Hien ,,,Issi Hissay K Pehlay Week k Shair Hien AmJad Islam AmjaD
AmjaD Islaam Amjad
WasSalam ,Khush Rahiya.
Aadii~
03-12-2012, 08:27 PM
AmJad Islam Amjad
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajate ho baras jao kisi din
Aadii~
03-14-2012, 04:36 AM
guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri rat ko chamkao kisi din
main apani har ik sans usi rat ko de dun
sar rakh k mere sine pe so jao kisi din
Miss Habib
03-15-2012, 02:10 PM
nice thread
M A H i
03-15-2012, 06:46 PM
:Brilliant: Thread Adii
keep continue!
'' Kehnay ko us say mera koi waasta nahi
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi ''
M A H i
03-15-2012, 07:14 PM
Apni gali mein apnaa hi ghar dhhundhtee hain log
“Amjad” ye kaun shaher kaa naqshaa badal gayaa
Aadii~
03-16-2012, 01:12 AM
Buhut Khuub Mahi Ji
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain
fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain
gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten
bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten
judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain
Miss Habib
03-21-2012, 12:55 PM
Khud charha rakhe the tan per ajnabiat k khilaaf
Warna kab ik doosre ko hum ne pehchana na tha
Raat bhar pichli hi ahat kaan mein ati rahi
Jhaank kar dekha gali mein, koi bhi phirta na tha
Ye sabhi verinyan uss k juda hone se thein
Ankh dhundlai hui thi, shehar dhundlaya na tha
PRINCE SHAAN
05-06-2012, 02:58 AM
sitare jo damakate hain
kisi ke chashm-e-hairan mein
mulaqaten jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baran mein
ye na abad vaqton mein
dil-e-nashad mein hogi
muhabbat ab nahi hogi
ye kuch din bad mein hogi
guzar jayenge jab ye din
ye un ke yaad mein hogi
Miss Habib
05-12-2012, 11:16 AM
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.