DrEaMBoY
03-11-2012, 06:03 PM
In say rishta jore k ab k kis ne dhokay khaanay hain?
Hum tu aawaara hain, paagal hain deewanay hain
Ishq mohabbat pyaar kisi ne theek kaha sub maaya hay
jhooti nazmen ghazlen hain sub iltafaat k bahanay hain
un aankhon k jaisi tu duniya main laakhon aankhen hain
in ki sun lo kehtay hain k such much k may-khaanay hain
chaak garebaan kar k Hum niklay bhe tu pyaas milee
registaanon, sehraaon main kis ne moti paanay hain?
In k pyaar k sundar sapnay baazaaron main biktay hain
Rab he jaanay, ishq ne in ko kya kya din dikhlaanay hain
gor-o-kafan ki kyaa haajit? inhen sarkon par he rehnay do
waisay bhe ab in ki lehed par, kis n phool charhaanay hain?