ROSE
03-11-2012, 12:39 PM
Kesa maftooh sa manzar hai kayi sadyo'n se
meray qadmo'n mai mera sar hai kayi sadyo'n se
khauf rehta hai k sailab na le jaye kahee'n
meri palko'n pe tera ghar hai kayi sadyo'n se
uskay paani mai bhi pehla sa wo tthehraw nahee'n
ye jo be-chain samandar hai kayi sadyo'n se
ashk aankho'n mai sulagte huwe so jate hain
ye meri aankh jo banjar hai kayi sadyon se
kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
tu meri rooh k andar hai kayi sadyo'n se
mai ne jiss k liye harr shakhs ko naraaz kya
rootth jaye na yahi darr hai kayi sadyo'n se
uski aadat hai jarhain kaat'tey rehnay ki WASEE
jo meri zaat ka mehwar hai kayi sadyon se