life2
03-04-2012, 10:24 PM
Marnay ka teray gham main irada bhi nahi hy
Hy ishq magar itna zyada bhi nahi hy
Hai yoon k ibarat ki zubaan hy koi aur
Kaagaz meri taqdeer ka saada bhi nahi hy
Kyun dekhtay rehtay hyn sitaron ki taraf hum
Jab un se mulaqat ka waada bhi nahi hy
Kyun raah k manzar main ulajh jaati hyn aankhain
Jab dil main koi aur irada bhi nahi hy
Kyun us ki taraf dekh ker paaoun nahi uthtay
Wo shakhs haseen itna zyada bhi nahi hy
Kis morh pe lay aaya hmain hijr musalsal
Ta had e nigah wasl ka wada bhi nahi hy
Pathar ki tarah serd hy kyun aankh kisi ki
Amjad jo bichar janay ka irada bhi nahi hy