View Full Version : کرم ایجنسی میں امریکی میزائل حملہ، اٹھارہ
-|A|-
02-16-2009, 10:35 PM
کرم ایجنسی میں امریکی میزائل حملہ، اٹھارہ ہلاک
http://www.bbc.co.uk/worldservice/images/2008/10/20081031170623drone.jpg
کرم ایجنسی پر یہ پہلا امریکی میزائل حملہ ہے
پاکستان کے قبائلی علاقے کرم ایجنسی میں طالبان کے ایک مبینہ کیمپ پرامریکی میزائل حملے میں اٹھارہ افراد ہلاک ہوگئے ہیں۔
مقامی انتظامیہ نے بی بی سی سے بات کرتے ہوئے میزائل حملے میں اٹھارہ افراد کی ہلاکت کی تصدیق کی ہے۔ ان کا کہنا تھا کہ طالبان ہلاک ہونے والے تمام افراد ماسوائے ایک کی لاشیں افغانستان لےگئے ہیں۔
دوسری طرف طالبان نے پورا علاقہ سیل کر دیا ہے اور کسی کو اس علاقے میں جانے کی اجازت نہیں دی جا رہی ہے۔
ذرائع نے بی بی سی کو بتایا کہ میزائل حملے کا نشانہ طالبان کا ایک ٹریننگ کیمپ تھا۔
اطلاعات کے مطابق میزائل حملے پیر کو صبح دس بجے کے قریب کرم ایجنسی کے علاقے لوئر کرم کی تحصیل علی زئی میں سًرپل میں طالبان کےمبینہ کیمپ پر ہوا۔
ذرائع کے مطابق اس میزائل حملے میں دس افراد ہلاک ہوئے ہیں تاہم سرکاری طور پر اس کی تصدیق نہیں ہو سکی ہے۔
یہ مبینہ تربیتی کیمپ افغانستان کے مشرقی صوبے خوست سے صرف پندرہ کلومیٹر کے فاصلے پر واقع ہے۔اس کیمپ میں افغان طالبان تربیت حاصل کیا کرتے تھے جن کی کارروائیوں کا مرکز افغانستان تھا۔
اس کیمپ کی قیادت مولانا محمد امین اور مولانا صدر کیا کرتے تھے۔ اس کیمپ میں سوبری قبیلے کے افراد تربیت حاصل کر رہے تھے۔اطلاعات کے مطابق ان کی تعداد پینتیس سے چالیس تھی۔
واضح رہے کہ یہ تربیتی کیمپ روس کی افغانستان میں موجودگی کے دور کا کیمپ ہے جو کہ ابھی تک فعال تھا۔
کرم ایجنسی میں یہ پہلا امریکی میزائل حملہ ہے۔ اس سے قبل جنوبی وزیرستان، شمالی وزیرستان اور باجوڑ امریکی حملوں کی زد میں رہے ہیں۔کرم ایجنسی پر امریکی میزائل حملے کے بعد پاکستان کے سات قبائلی ایجنسیوں میں سے چار پر امریکی حملے ہو چکے ہیں۔
امریکہ کے نو منتخب صدر باراک اوبامہ کہہ چکے ہیں کہ پاکستان کے قبائلی علاقے القاعدہ کے دہشتگردوں کی محفوظ پناہ گاہیں ہیں جنہیں ہر حال میں ختم کیا جانا ضروری ہے۔
-|A|-
02-17-2009, 05:58 PM
u welcome
SAjan
01-15-2012, 11:44 PM
great........
RiyazA
01-20-2012, 10:21 PM
Is camp ki barbaadi ki saath saath, Hakimullah Mehsud aur Aslam Awaan orf Abdullah Khorasani ki marne ki khabar bhee mil chuke hain jo mujhe ek baat par ghaur karne ko majboor karta hai aur woh yeh ke aise camps aur dehshatgardon ko khatam karne ki lye, drones se behtar koi asleha nahin hai. Pak fauj ko is asleha ki bahut zaroorat hai aur is ko chaahiye ke apne hee drones banaale ta ke hum ko America se dehshatgardon ki silsile mein koi madad na maangna padein.
!~*SOoLi
01-21-2012, 03:13 PM
واضح رہے کہ یہ تربیتی کیمپ روس کی افغانستان میں موجودگی کے دور کا کیمپ ہے جو کہ ابھی تک فعال تھا۔
کرم ایجنسی میں یہ پہلا امریکی میزائل حملہ ہے۔ اس سے قبل جنوبی وزیرستان، شمالی وزیرستان اور باجوڑ امریکی حملوں کی زد میں رہے ہیں۔کرم ایجنسی پر امریکی میزائل حملے کے بعد پاکستان کے سات قبائلی ایجنسیوں میں سے چار پر امریکی حملے ہو چکے ہیں۔
امریکہ کے نو منتخب صدر باراک اوبامہ کہہ چکے ہیں کہ پاکستان کے قبائلی علاقے القاعدہ کے دہشتگردوں کی محفوظ پناہ گاہیں ہیں جنہیں ہر حال میں ختم کیا جانا ضروری ہے۔
Ye Jo Line Main Nay Red Ki Hay, .. Ye Sirf Knowledge Walay Hi Samjh Saktay Hain :smilestar:
Aur Jin Kay Pass Knowledge Nai Unko Main Bata Doon K Russia Kay Khilaf " CIA " Aur " ISI " Nay Hi Taliban Ko Stand Diya Tha Aur Backup Diya Tha, Armour Diya Tha, Support Di Thi.. USA Nay Taliban Ko Introduce Karwaya Warna US Armies Main Itna Potential Hi Nai Tha K Russian Army Say Afghanistan Ki Sanglaakh Pahariyo'n Main Jung Laray, Taliban Say Gorilla War Larwai Gai , Us Waqt Wo " Freedom Fighter " Thay.. Aj So Called Peace Ambassador USA Kay Samnay Agar Taliban & Company Khari Huwi To Apnay Country K Defence Ki Khatir, They are Still Freedom Fighters .. Sab Say Bara Terrorist To Pakistan Hay.. Jo US Supply Line Pakistan Say Guzarnay Ki Ijazat Day Raha Hay Aur Masoom Afghaniyo Ka Qatal-e-Aam Karwa Raha Hay Aur Uskay Baad USA Ka Number Ata Hay Jo Dunya Kay End Say Uth Kay Yaha Asia Main Fight Karnay Aya Hay Kay Humnay Deshatgardi K Khilaf Jung Larni Hay, ..
!~*SOoLi
01-21-2012, 03:20 PM
Is camp ki barbaadi ki saath saath, Hakimullah Mehsud aur Aslam Awaan orf Abdullah Khorasani ki marne ki khabar bhee mil chuke hain jo mujhe ek baat par ghaur karne ko majboor karta hai aur woh yeh ke aise camps aur dehshatgardon ko khatam karne ki lye, drones se behtar koi asleha nahin hai. Pak fauj ko is asleha ki bahut zaroorat hai aur is ko chaahiye ke apne hee drones banaale ta ke hum ko America se dehshatgardon ki silsile mein koi madad na maangna padein.
Pakistan Kay Pass Drone Technology Bhi Hay Aur Israel Tak Missile Phainknay Ki Salahiyat Bhi Hay ;) ..
Maza To Tab Aye Jab Aik Drone Apkay Sar Pay Giray.. Takay Apko Pata lagay K Drone Say Marnay Walay Masoom Qabaliyo'n Ki Takleef Kya Hoti Hogi :) .. Asmaan Gir Jana Chahiye Agar Aisay Falsfay Par Hum Bhi Yakeen Karain K Aik Super Power (USA) Ko Apni Baqaa Ka Dar In Logo'n Say Hay Jo Kachay Gharo'n Main Rehtay Hain Aur Shariyat Kay Humsay Kahi'n Zyada Paband Hain :) Abhi To Chanda Apki Tension Tab Barhaygi Jab Afghanistan Say Pakistan Ko Anay Wala Darya Bhi Band Hojayega.. Jis Ka Charge USA Nay India Ko Day Diya Hay, .. Kay Lo Yaha'n Say Bhi Pakistan Ka Paani Band Karo.. Pakistan Iski Qeemat Chukaye Ga, Jo Usnay Nahaq Qatal Karwaye Hain Afghanistan Main Inshallah
!~*SOoLi
01-21-2012, 03:27 PM
Memogate Case Chal Raha Hay Ajkal Supreme Court Main .. Sab Open Hoga K Kitnay " Black Water " Aur " CIA " Agents Ko Hussain Haqani Nay Visay Diye Gillani Aur Zardari Kay Kehnay Par, .. Ye Jo News Channel Par Akay Jhooto'n Ka Baap Rehman Malik Bayan Daita Hay K Khudkash Hamla Awar Ka Sar Milgya.. Ye Bohat Bara Propaganda Hay, .. Pehlay To In Logo'n Say Awam Ko is Baat Ka Hisaab Mangna Chahiye K President Kay Special Guests Show Kitnay Raymond Davis Aye Hain Pakistan Main :) Phir Is Baat Ka Nateeja Bhi Nikal Ayega K Blasts Main Kon Shareek Hay, Ye Raaz Bhi Khuljayega K Wo Khudkash Hamla Awar Tha Ya Remote Control.. Hum Har Baat Ko Bohat Linient Laitay Hain Gehrai Main Jana Munasib Nahi Samjhtay, .. Warna Ye Daur Bohat Uljha Howa Hay, .. Halkay Zahen Ka Admi Waisay Hi Zaalim Ka Sath Day Kar Zulm Karnay Walo'n Main Shumar Hojayega, .. Aur Bayshaq Mazloom Hashar K Din Zalim Ka Girayban Pakrega.. :)
RiyazA
01-22-2012, 11:30 PM
Sooli sahab, aap zaroor tareekh padhe honge and jaante honge ke Russia Afghanistan se 1989 mein nikal gayaa tha aur Taliban ka hokumat 1996 mein shoro hua jis ka matlab yeh hua ke yeh camp 6 saalon ke lye bina kisi hadaf se fuaal tha, magar haqeeqat to yeh hai ke yeh camp aur is jaise bahut se aur campon ko bin Laden ne apne maqsad ke lye fuaal rakha tha aur us ka maqsad saare dunya mein dehshat pehlaana tha. Isi lye us ne bina Taliban ko bataaye, 9-11 ka plan Afghanistan mein banaya.
Waise Taliban ko to mein jaanta hoon magar Company kaun hai. Agar aap ka ishaara al-Qaida ki taraf hai to al-Qaida Afghanistan mein apne mulk ke lye nahin ladh rahe hain kyon ke Afghanistan un ki mulk hee nahin. Woh sirf Taliban ki saath dena chaahte hain kyon ke un ki apne hee mulkon mein un ke lye jaga hee nahin. Aap dekhte hain ke Misr mein inqalaab aaya aur al-Zawahiri ko kisi ne wapas aane ki daawat nahin bheja. Libya mein bhee Qaddafi ke marne ki baad, kisi ne al-Libi ko wapas aane ke lye nahin kaha. Is ka matlab yeh hua ke al-Qaida ke lye dunya ke koi kone mein jaga nahin hai. Isi lye al-Qaida wale hamaare qabaayi elaaqon mein reh kar hamaare Pashtun bhaiyon ki mehmaanwazi ke poora faida utha rahe hai aur unhee ko hamaare fauj ki khilaaf lada rahe hain.
Drones ki baare mein kuch na kaha jaaye to behtar hai kyon ke hum jaante hain ke drones ka nishaana kaun hai. Waise khudkush hamla awaron ka nishaana ko bhee hum jaante hain magar masla yeh hai ke khudkush hamlon mein aksar nishaana jo Pakistani fauj ya police hai chooth jaata hai aur begunaah awaam maare jaate hain aur jab awaam maare jaate hain to koi zimmedaari qobool nahin karta. Magar, agar koi khudkush hamla mein 20 log maare jaaye aur us mein ek bhee fauji ya policewala ho to Ihsanullah Ihsan bahut fakhar ki saath zimmerdaari qobool karta hai. Aise karwayion se al-Qaida ko fayeda bhee ho jaata hai kyon ke jab tak dehshat jaari rahein to al-Qaida ka naam logon ki zabaanon par aur us se darr logon ki dilon mein hoga aur khud al-Qaida ka koi rokn mar bhee nahin jaayega. Marenge to sirf Pakistani. Mera matlab yeh hai ke agar yeh log hamaare beech nahin honge to hum ko koi drones ki zaroorat hee nahin hogi.
SAjan
02-05-2012, 12:25 PM
sahi kaha
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.