Owi
02-22-2012, 10:29 AM
-:||:- Meri Mohabbat Ki Sir-zameeN K Nagar Nagar Mein Gulaab Thehra -:||:-
To kiun na aankhon say aaye khushboo, nazer nazer mein gulaab thehra
Saba mein kaisay na taazgi ho, seher seher mein gulaab thehra
Safer sitaara chamak raha hai, her aik rasta mehak raha hai
Main khush-muqaddar k hum-safer bhi, safer safer mein gulaab thehra
Khizaan k mosam ka saber-e-peehum, jo jaan-gusal tha to aaj hum-dam
Uthaaye shaakhon nay kaisay percham, samar samar mein gulaab thehra
Falak falak say uter rahi hai, khumaar saanson mein bhar rahi hai
Teri khushboo her-soo bikher rahi hai, qamar qamar mein gulaab thehra
Meri tamanna ki khush-jabeen k, meri wafa k, meray yaqeen k
Meri mohabbat ki sir-zameen k, nagar nagar mein gulaab thehra
Tu aaina ban k raha muqaabil, na bas mein jaana raha mera dil
Main khush hoon k meri dherkanon ki, khaber khaber mein gulaab thehra.