View Full Version : >!>!>!>!>p@k!st@n <!<!<!<!<!<!
DeV!L
02-20-2012, 01:46 PM
pakistan ki khush-khali aur tarakeee yafta mulk ban ne ke liye kon kon se chezay isee darkar hai jo, hum ko apna ni hongi jo khamiya hai jo dur kerni hongi kon kon see wajuhakaat hai jin ko pora ker ke kuch pakistan ko khushhal ker sakte hai hum, apna nazriye ke mutabik aik aik dalayal bata sakte hai, jis se aik tujay ko pata chale ke humre apne mind mai kya hai aur pakistani awam kya chahti hai kya isee batain hai jo galat ho rahi hai, i hope saab apna mind atleast yaha tou use kere gai he,kai kon se kamiya aur konse mazboot hathu mai pakistan hona chaye thanks
SAjan
02-20-2012, 05:21 PM
pak sahi tab hoga pehli bat ke jab usko chalane wala sahi mil jaye jo serf apne mulk ke leye suche na ke apne balance ke leye sab se barhi bat ye ha meri nazar ma baqi jo kam ha wo band ma honge jab mulk ka barha sahi hoga sab sahi hoga
Miss Habib
02-21-2012, 12:43 PM
hhhm suchi baat kaho devil, pakistan mein kuch bhi tab tak theek nahi ho skta jab tak har pakistani apna ehtsaab khud na kar le, Allah Quran mein farmata hai "jo qaum jaisi hoti hai hum uss per waise hukumran mussalat kar dete hain" to jaise hum khud hai waise hi hamare hukumran hai
jab hum awam khud ko theek kar lain gai, pakistan main bhi sab theek ho jaye ga, humein khud ko badlna hai, apna ehtsaab karna hai, issi se pakistan mein tabdali aa skti hai bus
sadiaali
02-22-2012, 02:01 PM
Rules nd command. ;)
!~*SOoLi
02-22-2012, 06:37 PM
Pakistan Ko True Nation Chahiye,..
Jo Islam Ko Apna Shuwar Bana Lay, Jis Main Lasaniyat Parasti Ya Qaumiyat Parasti Na Ho.. Bhai Chara, Sabr O Isteqamat Aur Insaniyat..
Quaid-e-Azam Nay Kamyab Qaum Ko Teen Lafzo'n Main Bayan Kiya Hay
" Imaan , It'tehad , Tanzeem "
Sooli nei jo kaha wo sahi hai bilkul and i want to add something more that is we have to get rid of this democracy system. Because we are corrupted people and these leaders gonna come back again and again. It will be useless to think that there is going to be change in Pakistan using Democratic system.
DeV!L
02-23-2012, 11:46 AM
Kuch be hojay kuch tou isa ho jana chaye ke kuch bohat zayda nahi thuri bohat tou changing nazer ani chaye, kesay Mumkin hai ...
!~*SOoLi
02-24-2012, 10:17 AM
Apnay Hath Say Humain Kuch Start Karna Chahiye..
Logo'n Ko Inspiration Bhi Milaygi Aur Tabdeeli Bhi Ayegi Bohat Taizi Say..
Insha'Allah
DeV!L
02-27-2012, 01:56 PM
magar kon see chez ise hai starting kaha se ki jay ?
!~*SOoLi
02-27-2012, 05:34 PM
Koi Bhi Baygharz Naiki Bro.. Humaray Aas Paas Itna Kuch Adhoora Hota Hay Jisay Hum Mukammal Karnay Ki Power Rakhtay Hain,.. Kuch Aisay Kaam Mere Mind Main Hain Jinkay Liye Humain Paisay Nahi Kharchnay Paraingay Like;
* Kisi Anparh K Bachay Ko Matric Pass Karnay K Baad Guidlines Day Saktay Hain Konsi Field Ka Kya Scope..
* Apnay Refrences Use Kartay Howay Kisi Ghareeb Ko Uski Qualification Ki Base Par Ya Uskay Talent Ki Base Par Naukri Lagwa Saktay Hain..
* Panch Waqt Masjid Main Jakay Logo'n Kay Liye Inspiration Ban Saktay Hain..
* Har Ik Say Achai Kar K Usay Bhi Achai Karnay Par Amada Kar Saktay Hain
* Time Say Zakat Nikal Saktay Hain
* Apnay Fellows, Mates & Colligues Say Current Affairs Par Disscuss Karsaktay Hain, Jisay Say Unhain Bhi Motivation Milaygi..
* Sab K Samnay Buri Cheez Ki Nishandahi Kar Saktay Hain Aur Achai Ko Promote Kar Saktay Hain..
* Knowledge Gain Kar K Doosro'n Tak Pohancha Saktay Hain
and sO many Things, Jo Aik Moazaz Muwashray K Liye Zaroori Hain Baat Sirf Dil Laga K Is Kaam Main Lag Janay Ki Hay! Jaisay Apka Interest Tha Apnay Thread Banaya, Mera Interest Tha Main Nay Post Reply Kiya..
Positive Approach Rakhnay Walay Yaha'n Mashwara Daykay Bohat Se Ideas Spread Karsaktay Hain! Like it!!!!
DeV!L
03-11-2012, 06:04 PM
thank u so much sooli for few update, pata chalta hai is baat se hum kitne loog batain he ker sakte hai ke pakistan isa hai wisa hai, lakin khud try nahi kar sakte soch sakte hai lakin amal nahi ker sakte, i realli Appreciate to you thanks ..!!
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.