SAjan
02-13-2012, 08:42 PM
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahar hai
Jo thehar gayi tou qarar hain...
Kabhi aa gayi yunhi bey sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain..
Ye barishain bhi tum si hain
Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko...
Kabhi yun hua k bujha dia
Kabhi khud se khud ko jala dia..
Kahin boond boond mein gum si hain..
Ye barishain bhi tum si hain.
Jo baras gayi tou bahar hai
Jo thehar gayi tou qarar hain...
Kabhi aa gayi yunhi bey sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain..
Ye barishain bhi tum si hain
Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko...
Kabhi yun hua k bujha dia
Kabhi khud se khud ko jala dia..
Kahin boond boond mein gum si hain..
Ye barishain bhi tum si hain.