M A H i
01-16-2012, 02:10 PM
Tuu ne weise bhi mere dil se nikal jaana tha
Mere Lehje meri Aawaaz mein dhal jaana tha
Tere bas mein bhi na thay jo Tere baais bhi na thay
Un Masaail ka bhi mein ne tujhe Hal jaana tha
Ek maqaam aisaa bhi aaya mere bichray hue dost
mein ne tujh ko bhi udaasi mein Khalal jaana tha
Meri Hasaas Tabiyat kaa bura ho Jis ne
Teri Chup ko bhi aTeira Radd-e-'Amal jaana tha
Kiu mein samjhaa tha Tujhe Tere 'ilaava Koi
Kiu muqaddar mein muqaddar ka badal jaana tha?
Tere hote bhi akela nahi Chhora Khud ko
Tuu ne to haath Chhurana tha, nikal jaana tha
Yun he kab mein ne Sanvaari thi tTeri nok palak
Main ne ai Dost! Tujhe Apni Ghazal jaana tha