Miss Habib
01-16-2012, 11:58 AM
Iss karri dhoop mein jaltay hue paon ki tarah
Tu kisi or k aangan mein hai chaon ki tarah
Tu to waqif hai mere jazbon ki sachai se
Phir kyon khamosh hai pathar k khudaon ki tarah
Main to khushboo ki tarah saath raha hoon tere
Tu bhatakta raha bechain hawaon ki tarah
Wo jo barbaad hue the wohi badnaam hue
Tum to masoom rahe apni adaon ki tarah
Ghum to ye hai k humein koi khushi raas na ayi Wasi
Zindagi kaat rahe hain hum sazaon ki tarah