ShahTaJ
02-15-2009, 01:44 AM
mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna
jo mere hisse main ayee hain woh azzeyaten bhi shumar karna
jalaye rakhun gi subah tak main tumhare raston main apni ankhen
magar kaheen zabt toot jaye to baarishen bhi shumaar karna
jo harf loh e wafa pe likhe howe hain un ko bhi dekh lena
jo rayegan hogayee hain woh sari ebaraten bhi shumar karna
ye sardiyon ka uddas mosum ke dharkanen barf hogayee hain
jab in ki yakh basti parakhna tamazaten bhi shumar karna
tum apni majbooriyon ke qisse zarur likhna wazahaton se
jo meri aankhon main jal bujhi hain woh khuwahishen bhi shumaar karna