ROSE
12-27-2011, 12:06 PM
Halaat Kay Qadmoo Main Qalander Nahi Girta
Totay Bhi Jo Taara Tu Zameen Per Nahi Girta
Girtay Hain Samandar Main Baray Shouq Say Darya
Lakin Kese Darya Main Samandar Nahi Girta
Samjho Waha Phal-Daar Shajar Koee Nahi Hai
Wo Sehan Keh Jis Main Koee Pather Nahi Girta
Itna Tu Faida Howa Hai Barish Ke Kami Say
Is Shaher Main Ab Koee Phisal Ka Nahi Girta
Enaam Kay Lalach Main Thay Madah Kese Kay
Itna Tu Kabhi Koee Sukhan-war Nahi Milta
Hairan Hai Kaee Roz Say Thehra Howa Pani
Talaab Main Ab Kyun Koee Kankar Nahi Girta
Us Banda -e- Khud-dar Per Nabiyoon Ka Hai Saaya
Jo Bhook Main Bhi Luqma -e- Tar Nahi Girta
Karna Hai Jo Sar Maarka Zeest Tu Sun Lay
Be Baazo -e- Mera Dar Khabar Nahi Karta
Qaeem Hai Qateel Ab Yeh Meray Sar Kay Satoon Per
Bhonchaal Bhi Aa Jaye Tu Mera Ghar Nahi Girta
[ Qateel Shefaii ]