ROSE
12-25-2011, 04:13 PM
Ak Hi Maslah Ta-Umar Mera Hal Na Howa
Neend Puri Na Hoee Khowab Mukammal Na Howa
Shaher -e- Dil Ka Jo Makee Hai Wo Becharta Kab Hai
Jis Qdar Dorr Giya Aankh Say Oujhal Na Howa
Aaj Bhi Dil Ke Zameen KhushK Rahi Tashna Rahi
Aaj Bhi Maa'el Altaf Wo Badal Na Howa
Roshni Chann Kay Teray Rukh Ke Na Mujh Tak Pohchay
Ak Dewaar Hoee Yeh Koee Aanchal Na Howa
Jin Ko Ak Umar Ka Nazrana Diye Bethay Hain
Aaj Tak Un Say Taa'ruf Bhi Mufas-sil Na Howa
Un Say Miltay Hain Bechar Jatay Hain Pher Miltay Hain
Zinda Rehnay Ka Amal Ham Say Musalsal Na Howa
Jis Pay Rakhni Thi Mujhay Asaas -e- Hasti
Apni Qismat Main Munawar Wahi Ak Pal Na Howa