Miss Habib
12-16-2011, 09:35 AM
~~~Kaho Woh Ishq Kaisa Tha~~~
Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aye
Kaha,
sailab jesa tha,
bohot chaha k bach niklain magar sub kuch baaha aaye
Kaho,
woh hijr kesa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kya bhala paya?
Kaha,
bus aag Jesa tha,
usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye
Kaho,
woh wasal kesa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?
Kaha,
ik raastay jesa,
jidhar sey bus guzarna tha, makan lekin bana aaye
Kaho,
woh chand kesa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay
Kaha,
woh khawab jesa tha,
nahin taabeer us ki, usay ik shab sula aaye
Kaho,
woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kiya tum ney
Kaha,
titlii ke rang jesa,
bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye
Kaho,
woh naam kaisa tha?
Jisay sehraaon aur chanchal
Hawaon per likha tum ney
Kaha,
bus mausmoon jesa,
na janay kis tarha kis pal kisi ro mein mita aaye
Suno,
khawahishon ki lehron per sambhalna kyun hua mushkil?
Bataya ,
paanion per khawab ki kashtii bina jesay
Suno,
Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kya ho?
Kaha,
yeh itni roshan hain keh sooraj hai diya jesay
Suno,
aankhon hi aankhon ka bayan kaisa laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti hai saba jesay..!!