PDA

View Full Version : A Tribute To Ahmad faraz.....A Legend Of Urdu Poetry!!!


QUEEN OF HEARTS ...
08-26-2008, 04:40 PM
http://www.urdulife.com/upics/kt/faraz/ahmed_faraz_web.jpg


Aap sab ke ilm me ye baat to aahi chuki hai ke hum apne daur k ek Azeem aur Maaye Naaz Shayer AHMAD FARAZ ko kho chuke hain….woh ab hamare saath nahi hain.

Inna Lilla hi wa Inna Ilaiy hi rajeoun

He was one of the greatest Urdu Poet in Pakistan.He was admitted in a hospital in Chicago,USA for the past few days and last day He passed away.

Hum unki maghfiarat ki dua karte hain…Allah unke darjaat buland kare…Ameen!

Ye thread hum Ahmad faraz ko tribute kar rahe hain….
Yahan Aap zyada se zyada unki ghazaliyaat Post Karen…..
Agar chahen to unke bare me har chhoti se chhoti baat jo aap jante hon, aap ke Ilm me ho yahan share Karen…..
….That will be the Mark of Respect which we have for HIM…in our hearts…in our thoughts!!!

QUEEN OF HEARTS ...
08-26-2008, 04:41 PM
Ahmed Faraz (January 14, 1931 in Nowshera - Pakistan) was considered one of the greatest modern Urdu poets of the last century and greatest living Urdu poet of present times. Faraz was his 'takhallus', whereas his real name was Syed Ahmed Shah.

Faraz, who has been compared with Mohammad Iqbal and Faiz Ahmed Faiz, holds a unique position as one of the best poets of current times, with a fine but simplistic style of writing, even common people can easily understand and identify with. Ethnically a Pashto-speaking Pashtun, Ahmed Faraz learned and studied Persian and Urdu at the Peshawar University where he taught these subjects later.


http://www.saeedkhan.org/infopages/2207/Image/faraz_1a.jpg


In an interview with Rediff he recalls how his father, a teacher, once bought clothes for him on Eid. He didn't like the clothes meant for him, but preferred the ones meant for his elder brother. This lead him to write his first couplet:

Layen hain sab ke liye kapde sale se
Layen hain hamare liye kambal jail se

He was told by his parents once to learn mathematics from a female class fellow during the summer vacation. "I was weak in mathematics and geography. I still don't remember maps and roads".

Instead of learning mathematics he played bait-bazi with her, a game in which one person recites a couplet and the other one recites another couplet starting from the last letter of the previous one. He always lost, even though he memorized hundreds of couplets for her, but when he started manufacturing his own couplets she couldn't catch him anymore. Coming from a respectable family of Syeds, descendents of ''Haji Bahadar" a famous saint of Kohat, he moved to Peshawar with entire family. Studied in famous Edwards College Peshawar and then did his Masters in Urdu and Persian. Initially Syed Ahmad Shah Faraz thus became Ahmed Faraz.

During his college time, Faiz Ahmed Faiz and Ali Sardar Jafri were the best progressive poets, who impressed him and became his role models. He initially worked as a script writer at radio Pakistan Peshawar and then moved on to teach Urdu at Peshawar University. In 1976 he became the founding Director General (Later Chairman) of Academy of Letters.

Outspoken about politics, he went into self-imposed exile during the Zia-ul-Haq era after he was arrested for reciting certain poems at a mushaira criticizing the military rule. He stayed for three years in Britain, Canada and Europe before returning to Pakistan, where he was initially appointed Chairman Academy of Letters and later chairperson of the Islamabad-based National Book Foundation for several years. He has been awarded with numerous national and international awards.

He was awarded the Hilal-e-Imtiaz in 2004, in recognition of his literary achievements. He returned the award in 2006 after becoming disenchanted with the government and its policies.

"My conscious will not forgive me if I remained a silent spectator of the sad happenings around us. The least I can do is to let the dictatorship know where it stands in the eyes of the concerned citizens whose fundamental rights have been usurped. I am doing this by returning the Hilal-e-Imtiaz (civil) forthwith and refuse to associate myself in any way with the regime..." a statement issued by the poet.

About his current writings he said: "I now only write when I am forced to from the inside."

Maintaining a tradition established by his mentor, the revolutionary Faiz Ahmed Faiz, he wrote some of his best poetry during those days in exile. Famous amongst poetry of resistance has been "Mahasara"

One amongst his great ghazals is the famous Ranjish Hi Sahi. He has so far written 13 books and all put together comes as "Shehr e Sukhn aarasta hai" his latest publication so far.

QUEEN OF HEARTS ...
08-26-2008, 04:42 PM
Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa

aa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aa

pehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa

kis kis ko bataayengay judaai kaa sabab ham
tu mujh se khafaa hai to zamaanay kay liyay aa

kuchh to meri pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaanay kay liyay aa

ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aa

ab tak dil-e-khush_feham ko tujh say hain ummeedain

ye aakhari shammain bhi bujhaanay kay liyay aa

SaHaR
08-26-2008, 06:20 PM
niceeee :(

Ghuncha
08-26-2008, 09:38 PM
Nice

D.M
08-27-2008, 02:49 PM
nice sharing queen
in barisho se dosti achi nahi faraz
kacha tera makan hai kuch to khayal kar

~*Gillanii
08-27-2008, 03:03 PM
Nic3 Thread, Naqabil-e-Talafi Nuksaan :)
Magar Jo Allah Ko Manzoor...
Allah Un Ko Jannat Main Jaga Ata Farmaye!! Ameen..


"Faraz" Humari Hansi Main Chupay Dard Ko Mehsoos To Kar
Hum To You Hi Hans Hans Kay Khud Ko Saza Daitay Hain

» ßerükhï «
08-27-2008, 04:22 PM
It was really nice of you to start this thread, in respect of one of my favorite poets :dilll:

N.. Suma Ameen!

» ßerükhï «
08-27-2008, 07:26 PM
Qalo Inna Lillahay Wa Inna Ilahay Raje'oN

http://sl.glitter-graphics.net/pub/1046/1046668m0thpcuyh2.gif

Tujh Ku Kis Phool ka Kafan Hum Dain
Tu Juda Aisay Mousamoun Mian Howa
Jub Darkhtoun Kay Haath Khalii Thay....

ShahTaJ
08-27-2008, 09:29 PM
yeah beshak naqabil e talafi nuqsan hai
Allah unhein janatulfirdus mein buland darjat ata farmai Ameen

life2
08-27-2008, 09:30 PM
Mar Jao Main Ager Tu Aansoo Mat Bahana
Bas Kafan Ke Jaga Apna Dupatta Charha Jana
Koi Puchay Keh Rog Kia Tha
Tu Sar Jhuka Kay Mohabbat Bata Jana..

MeOw*
08-29-2008, 09:33 PM
Nice sharing

un ko Allah jannat_ul_firdos main jaga ata farmai Ameen summa Ameen

life2
08-29-2008, 10:04 PM
Ya Rab mere naseeb ka kuch faisla to kar de
mein younhi doob jaonga ya manzil bhi milegi?

$@!RA
09-04-2008, 03:42 PM
its was fantastic yaar

$@!RA
09-04-2008, 03:48 PM
joke: do u love me ?
girl says :suno ! r u sure u love me n no 1 else?
boy says : dead sure! i cheacked hole list again yesterday !
girls say: kia to mere sare love later wapis krdo.
boy says: is mien se jojo tum hare hien nikaal lo Love

$@!RA
09-04-2008, 03:51 PM
joke :(which platform)
a beggar meets another beggar. a sofware engineer meets another software enginner.
both of them ask the same question to each other
what is the question ??????
so which platform r u working on .:situps:

$@!RA
09-04-2008, 03:52 PM
apno ne loota geron mien kia dum tha meri kushti jahan doobi wahan pani kum tha:closed:

$@!RA
09-04-2008, 03:54 PM
joke (sardar love )
sardar: i love biwi jano .
wife : dafa hojao.
sardar : man le na behan nahi meriLove

A L i
09-11-2008, 12:16 AM
@ Saira

whats that :@

plz some one del or edit those posts ..

Ab uske shehar mein thehrien ke kooch kar jayein
Faraz aao sitare safae ke dekhte hain

big loss , great Poet

~*Gillanii
09-15-2008, 09:28 PM
Ab Kay Hum Bichray To Shayad Kabhi Khwaabo'n Main Milain,
Jis Tarha SoOkhay Huway Phool Kitaabo'n Main Milain

Dhoond Ujray Huway Logon Main vafaa ke motii,
Ye Khazaanay Tujhe Mumkin Hay Kharaabo'n Main Milain

Tu Khuda Hay Na Mera Ishq Farishto'n Jaisa,
Dono Insaa'n Hain To Kyon Itnay Hijaabo'n Main Milain

Gham-e-duniya Bhi Gham-e-yaar Main Shaamil Kar Lo,
Nashaa Barhata Hay Sharabain Jo Sharaabo'n Main Milain

Aaj Hum Daar Pay Kheenchay Gaye Jin Bato'n Par,
Kya Ajjab Kal Vo Zamaane ko Nisaabo'n Main Milain

Ab Na Woh Main HoOn Na Tu Hay Na Woh Maazii Hay *Faraaz*,
Jaisay Do Shakhs Tamannaa Kay Saraabo'n Main Milain....

HarD-RocK
10-01-2008, 09:31 PM
Saira yaha sub tribute dey rahay hein aur tum yaha joke-z suna rai ho sahi kaha hey kisi ney larkion ka tu demagh he nai hoTa hey !!

Anyway-z Arz Kya hey

Bikhar rahay hein meri zindagi key tamam wark !!

Na janay kab koi andhi ura ley jaye !!

Mein kab Tak dosro key dukh sanbhal key rakhon Faraz !!

Jis Jis key hein woh nishani bata kar ley jaye !!

Hussain
10-03-2008, 12:01 PM
may his soul rest in peace :)

Silsily tor gya woh sabhi jaty jaty

wrna itny to marasim thy aaty jaty

uski woh jane k usy pas e wafa tha k na tha

*Faraz* tum apni traf se to nibhaty jaty....

life2
10-15-2008, 10:12 PM
Aaj bichray hoye logoon ko sada dey aye dil
Teri aawaz per shayad koi murh kar dekhay

Hani
10-27-2008, 02:19 AM
nice

Hussain
10-27-2008, 02:43 PM
Ek baar tumko ko yun hi bhula kar dekhenge
Mushqil hoga jeena, par azma kar dekhenge

Zuda hokar mar jayenge yeh durr hai phir bhi
Ek baar khudko tujhse zuda kar dekhenge

Tere bin padega bhatakna toh yehi sahi
Hum tumse alag apna rasta kar dekhenge

Usko khuda banaya toh kuch haasil nahi hua
Kya bigadta hai, ub usse buut bana kar dekhenge

Tere bahon mein ek raat ko sadiyon taras gaye
Ub jo mili hai yeh raat, toh usse gawa kar dekhenge

Iss uthty hue toofan mein kuch bhi na bache shayad
Phir bhi Kachhee meeti ka hum ghar banakar dekhenge

Hur baar tere dar pe sir jhukar ibadat ki hai
Ub tumse bagawat mein sir utha kar dekhenege

Gum ki yeh andhi hai, chiragon ko nahi jalne degi
Hum phir bhi ek umeed ka Deepak jala kar dekhenge

life2
10-28-2008, 09:24 PM
thanx..
in khwahishon se keh do kaheen aur ja basain

itni jaga nahi hai dil--e-daghdaar main

s_sableo
11-01-2008, 09:56 PM
V nice thread
thnx for sharing

M A H i
11-20-2008, 05:19 PM
very nice post
Allah unhein janatul fardoos mein jagah dy (ameen)
i love his poetries so much!!

Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faraz
Mujh pe jurm jo sabit howa wo wafa ka tha

!«╬Ĵamil Malik╬«!
12-09-2008, 07:53 PM
v.nice post
ALLAH ounn ko jaanat naseeb karey AAMIEN

§am
12-11-2008, 02:48 PM
yeh kya keh sab sey bayaan dil ki haaltain karnii
Faraz tujh ko naa aayeen mohabbatain karnii

yeh qurb kyaa hai keh tuu saamnay hai aur hamain
shumaar abhii say judaayee kii saa´tain karnii

sub apnay apnay qareenay say muntezar us kay
kisii ko shukar kisii ko shikaayetain karnii

hum apnay dil say hain majboor aur logon ko
zaraa sii baat peh barpaa qayaamtain karnii

milain jub un say, mubham sii guftaguu karanaa
phir apney aap say sou sou wazahtain karnii

yeh log kaisay magar dushmanii nibhatay hain
hamain tou raas naa aayeen mohabbatain karnii

kabhii Faraz naye mosamon main roo daina
kabhii talaash puraanii rafaaqtain karnii

ShArArTi MuNdA
12-19-2008, 12:04 AM
Nice Thread......!
May ALLAH give him place in Heaven........!


Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala
wahi andaaz hai zaalim kaa zamaanaywala

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadim hai mujhe daam main laanaywala

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare os se
wo jo ek shaKhs hai muonh pher ke jaanaywala

tere hote hue aa jaaty thy saary duniyaa
aaj tanhaa houn to koi nahi aanaywala

muntazir kis kaa houn Toothi hoe dahaleez pe main
kaun aayegaa yahaun koon hai aanaywala

main ne dekhaa hai bahaaroun main chaman ko jalate
hai koi Khwaab kii taabeer bataanaywala

kyaa Khabar thi jo meree jaan main ghulaa hai itanaa
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laanaywala

tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahain har haath milaanaywala

ShArArTi MuNdA
12-19-2008, 12:05 AM
sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain
so us ke shahar main kuchh din Thahar ke dekhate hain

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

sunaa hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

sunaa hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

sunaa hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko use titaliyaan sataati hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaail hain us ki gardan main
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

sunaa hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain


sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain


ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain

ShArArTi MuNdA
12-19-2008, 12:06 AM
ab ke ham bichharay to shaayad kabhi Khwaboun main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaaboun main milain

Dhoond ujarry hue logoun main wafa ke moti
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaaboun main milain

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishtoun jaisaa
dono insan hain to kyon itane hijaaboun main milain

Gam-e-duniyaa bhi Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa bataa hai sharabr jo sharaaboun mai milain

aaj ham daar pe kheinche gaye jin baatoun par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaaboun main milain

ab na wo main houn na tu hai na wo maazi hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraaboun main milain

ShArArTi MuNdA
12-19-2008, 12:07 AM
barasoun ke baad dekha ik shaKhs dil ruba sa
ab zahan main nahain hai par naam tha bhala sa

abaruu khienche khienche se ankhain jhuki jhuki se
baatain ruki ruki se lahaja thaka thaka sa

alfaaz the ke jugnuu awaz ke safar main
ban jaaye jangaloun main jis tarah raastaa saa

Khwaaboun main Khwaab us ke yaadoun main yaad us ki
nendoun main ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main
wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa

agalii muhabbatoun nay wo naa_muraadiyaaun dein
taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye
kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa

phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the
phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa

ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thi
ban jaayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa

tevar the beruKhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahain tha pyaasaa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

ShArArTi MuNdA
12-19-2008, 12:07 AM
tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto

~*Gillanii
01-23-2009, 12:18 AM
Munda Good Sharing :) ..

~*Gillanii
01-23-2009, 12:21 AM
Gham-e-Hayat Ka Jhagra Mita Raha HaY kOi ..

ChalaY AoO Kay DunYa SaY Ja Raha HaY kOi ..

Azal Say Keh Do Kay Ruk Jaye Do Ghari ..

Suna HaY Anay Ka Wada Nibha Raha Hay kOi ..

Wo Is NazZ Say BaithaY Hain LaSh KaY PaSs ..

JaiSay RoTaY HuwaY Ko Mana Raha HaY kOi ..

Palat Kar Na Aa Jaye Sans Nabbaz Main ..

Itne Haseen HathO Say Mayyat Saja Raha HaY kOi ..

momal ali
01-23-2009, 03:43 PM
very nyc sharing

Dast-e-Tanhai
02-02-2009, 10:01 PM
nice one

Dast-e-Tanhai
02-04-2009, 03:47 PM
nyc poetries :)

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-04-2009, 08:56 PM
very nyce

Dast-e-Tanhai
02-07-2009, 08:17 PM
nice

!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-22-2009, 09:34 PM
nce work keep it up

CaReLeSs
08-20-2011, 04:23 AM
ZabaRdast..
Thanks foR ShaRinG..

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.