ROSE
12-09-2011, 01:28 PM
Dua ka silsila baaqi rahey ga
so tum se raabeta baaqi rahey ga
Adam ho jaayega, maujood hae jo
faqat dast-e-fanaa baaqi rahey ga
Tumhey paa loon magar ye waahima hae
kahin ik marhala baaqi rahey ga
Ana ke daa'ery takra na jaa'en
bus itna faasla baqi rahey ga
Bja ke aks mit-tey ja rahey hen
shikasta aaina baqi rahey ga
Tumhe jaana tha tum se kya gila ho
hamen khud se gila baqi rahe ga
Usi ki jeet ho gi aakhir-e-shab
hawa me jo diya baaqi rahey ga
Dam-e-rukhsat plat kr dekhna mat
kahan phir hosla baaqi rahey ga
shnasa hun fareb-e-zindagi se
wafa ka tajruba baqi rahey ga
so tum se raabeta baaqi rahey ga
Adam ho jaayega, maujood hae jo
faqat dast-e-fanaa baaqi rahey ga
Tumhey paa loon magar ye waahima hae
kahin ik marhala baaqi rahey ga
Ana ke daa'ery takra na jaa'en
bus itna faasla baqi rahey ga
Bja ke aks mit-tey ja rahey hen
shikasta aaina baqi rahey ga
Tumhe jaana tha tum se kya gila ho
hamen khud se gila baqi rahe ga
Usi ki jeet ho gi aakhir-e-shab
hawa me jo diya baaqi rahey ga
Dam-e-rukhsat plat kr dekhna mat
kahan phir hosla baaqi rahey ga
shnasa hun fareb-e-zindagi se
wafa ka tajruba baqi rahey ga