ROSE
12-08-2011, 03:23 PM
Bulandiyon ke safar me tha jo woh pastiyon se guzar raha hai
Tamam din ka sulagta suraj , samandaron me utar raha hai
Ajeeb josh-e-junoon he uska ajeeb tarz-e-wafa hai meri
Me lamha lamha simat rahi hoon ,wo reza reza bikhar raha hai
Tumhari yadon ke phool aisi seher ko awaz de rahe hain
Ke jaise thandi hawa ka jhonka,meri gali se guzar raha hai
Tamam alfaaz mit chuke hain bas ek safha abhi hai baqi
Use musalsal me padh rahi hoon ,jo naqsh dil pe ubhar raha hai
Woh mere ashkon ke aine mein saja hua hai kuch is tarah se
Ke jaise shabnam ke qatre qatre me koi suraj sanwar raha hai ..!