Log in

View Full Version : yaad rakhnay wali batain


ROSE
12-01-2011, 03:41 PM
Ehsaan ki qaid Sab se bari qaid hai.

*Ghum aur insaan jurwaan paida huye hain

*hoot duniya kay har mazhab main mana hai.

*Zindagi musalsal jadojehad aur himmat ka naam hai

*Khushi bahaar ki aur watq dhalti chahoun ki manand hai.

*Apni ghaltiyon ka ehsaas hi kamiyaabiyon ki kunji hai

*Pehelwaan woh nahiin jo dosron ko bichaar de Balkay woh hai jo apnay ghussay main apnay ap ko qaboo rakhay.

*Jafakash aur mehnati kabhi bhooka nahiin sota

*adab insaan ka zevar hai usay kabhi nahiin utarna chahiye

8Ghussay main zabaan ki aur dastarkhawan par pait ki hifazat karo.

*Shak aik zeher alood khanjar ki manand hai jo ahista ahista dil main piwast ho kar
zeher phelata rehta hai phir rooh ko khokla kar deta hai.

*Humesha sach bolo takay tumhein qasam khanay ki zarorat na rahay.

*Insaan zaban kay parday main chupa hai.

*Mushkilaat main ghabrana nahiin chahiye kyun kay Sitaray humesha andheray main hi chamaktay hain Allah ki rehmat se mayoos nahiin hona chahiyeChahay halaat kaise hi na saazgaar kyun na hon...

*Mehnat aur hunar mandi kay agay kuch bhi na mumkin nahiin.
__________________

life2
12-02-2011, 07:05 AM
nyc....

ROSE
12-06-2011, 02:29 PM
thanks

*NRB*
12-25-2011, 06:19 PM
Beautiful Words Rose

life
12-25-2011, 06:45 PM
Buht Khoob

ROSE
12-27-2011, 05:43 PM
Thanksssssssss

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.