View Full Version : My Collection
Miss Habib
11-28-2011, 12:40 PM
Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main ne jab us se
"Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen ker lo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yahi sach hai k hum do mukhtalif
Rasston ke raahi hai
To phir kion dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Azziyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga"
Meray is aam se lehjay pe wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
"Ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"
Bohat hi jee kar'da kar k
Main us dam muskurayi thi
Bohat khud pe jabar kar ke
Main us se keh ye payi thi
"Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko see loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi"
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark_e_taalluq ko
Agarche umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
"WOH SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"
Miss Habib
11-28-2011, 12:42 PM
MoHBaT NaaM Ka
Jo JaZeeRa HaY.
WaHaN JaNa
PaRay Jo TuM Ko.
HaMaRi yaaD Ko
SaaTH Le LeNa.
SuNa HaY iS JaZeeRaY PaR
KaBi Do HaNS ReHTe THaY
WoH eK DuJaY Ki aaNKHoN
Me KHuWaB CHuNTaY THaY
WaFa K TaNe BaNe ReSHMi BaToo'N SaY BuNTaY THaY
PHiR eiK RoZ Ki
TaJDeeD
BHi KaRTe THaY
MaGeR RuT K
BaDaLTay
Hi Hua aiSay
WoH DoNo MuKHTaLiF
SaMToN Me CHaL NiKLe
SuNa HaY PHiR eK SaTH
DoNo Ko NaHiN DeKHa
MoHBaT NaaM Ka
Jo JaZeeRa HaY
WaHaN JaNa
PaRaY
Jo TuM Ko.
ToH uSS TaNHa
SHaJaR
K PaSS Bi JaNa
K JiS Ki SaRi SHaKHoN
KaY LiBaaDoo'N PAR
HeR JaNiB KiSi Ka
NaaM LiKHa HaY
SuNa HaY
LiKHNaY WaLa ZiNDGi
BHaR
KuCH NaHiN LiKH PaYa
WoH aPNii uNGLiYoo'N PeR
KHooN
Ki MoHReN LaGa BeTHa HaY
MuQaDaR DaaR KaR BaiTHa. WoH KHuD Ko HaaR BaiTHa.
MoHBaT NaaM Ka Jo JaZeeRa
HaY
WaHa JaNa PaRaY Jo TuM Ko.
Miss Habib
11-28-2011, 12:43 PM
Yeh zindagi tou mout se abter lage mujhe
Tere baghair kanton ka bister lage mujhe
Deewar o der k sath dareechay bhi hain mager
Her shakhs tere shaher ka be ghar lage mujhe
Manzil k paas lut'tay hoye dekhe kaarwaan
Ab zikr e vasl se bhi yahan dar lage mujhe
Yeh moujza junoon ka hay ya ishq ka kamal
Deewar apni raah ki bhi der lage mujhe
Miss Habib
11-28-2011, 12:44 PM
*~ Boht Tkleef deta hai Kisi ko Al-Wedaa kehnA
*~ Dekhai kuch Nhi deta sunai kuch Nhi detA
*~ Faqt kuch Kapkapatey Lafz Jo Honton pr Thehar jaiN
*~ Ubharti Dobti Dharkn Usey Awaz deti haI
*~ Koi Apna k Jis ka Nam Apne Dil pe lekha hO
*~ K Jis k Wastey Dil se Duaen hi Nikalti hoN
*~ Boht Tkleef deta hai Usi ko Al-Wedaa kehnA
*~ Jisey Dil mei Bsaya ho Barry hi Maan saY
*~ Jisko Kbhi Apna Bnaya ho Boht Tkleef hoti haI
*~ Boht Tkleef deta hai Usi ko Al-Wedaa kehnA...
*~ Boht Tkleef deta hai Usi ko Al-Wedaa kehnA...!
Miss Habib
11-28-2011, 12:46 PM
woh kehta hai mohabbat sada milna nhi hota
main kehti hoon, mere hotay bichrne ki na socho
woh kehta hai jo mango mein apni jaan day doon ga
mein kehti hon mujay fil hal apna naam he day do
woh kehta hai sar par aysay he anchal dakha rakho
mein kehti hon keh tum apni nazron ko jhuka rakho
woh kehta hai haray aur peele rang ki churiyaan pehno
mein kehti hoon pehno gi agar kismat mein likha ho ga
woh kehta hai mere naam ki mehndi lagao tum
mein kehti hoon lagaoon gi agar tum lay kar aoo gaay
Miss Habib
11-28-2011, 12:47 PM
“Sorry”
raat jab us ne merii nazm sunii
sun ke kuchh der vo hairaan rahii
aur phir kahne lagii….
“tum to aise nahiiN likhte thai kabhi
ye suKhan-goii kahaaN se seekhii?
aise jazbaat kahaaN se laaye?
aur ehsaas kii shiddat itnii?”
meri aaNkhoN meiN ubharte Gham ko
us ne mehsoos kiyaa hi hogaa
aur rafaaqat ke voh beetay lamhe
jin ko shaayad voh bhulaa baiThii thii
ek saa’at ke liye
Ghaaliban yaad kiyaa hi hogaa
is se pehle k laraztii aavaaz
aur palkoN pe thiraktay aaNsoo
us pe ilzaam koii dhar detay
maiN ne nazroN ko bachaate hue haule se kahaa
“pehle aalam hi kahaaN thaa aisa”
us ne yak laKht jhukaa liiN aaNkheiN
aur phir sahme hue lahje meiN
keh ke “sorry” huii ruKhsat mujh se
Miss Habib
11-28-2011, 12:48 PM
Wo Kehta Hay...
Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
Main Kehti Hoon...
Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...
Wo Kehta Hay...
Batao...Shaam Men Khunkii Hay Kion Itni?
Main Kehti Hoon...
Judaai Men Kisi Ki Aankh Rotii Hay...
Wo Kehta Hay...
Karon Jab Phone Sun Nay Kion Nahii Aatii?
Main Kehtii Hoon...
Terii Aawaaz,Sun,K Zabtt Rota Hay...
Wo Kehta Hay...
K Itnii Be Yaqeenii Kis Liye Aakhirr?
Main Kehtii Hoon...
K Itnii Be Yaqeenii,Sukh Men Rakhtii Hay...
Wo Kehta Hay...
Udaasi Par Kabhii Kuchh Likh K Dikhlaa Do...
Main Kehtii Hoon...
Meray Aagay Karo Sheesha...Main Likhtii Hoon...
Miss Habib
11-28-2011, 12:49 PM
Wo Kehta Hai Use Pholon Ki Chahat Hai
Magar Jab Phool Khilte Hain
Wo Unko Tor Deta Hai
Use Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai
Magar Jab Barish Hoti Hai
Wo Kamre Me Afsurda Sa Ho Kr Band Ho Jata Hai
Wo Kehta Hai Hawaen Ishq Hain Uski
Hawaen Lekin Chalen Jab To
Wo Khirki Band Rakhta Hai
Wo Jab B Muj Se Kehta Hai
Use Mujse Mohabbat Hai
Miss Habib
11-28-2011, 12:50 PM
bichernay ki
azeat ko...
ager tum jan,na
chaho...
tu kuch pal ko zara ye sans
apni rok kar dekho....
.
.
.
.
.
tumhain mehsus ye hoga
bicherna".....
Maut jaisa hay..
Miss Habib
11-28-2011, 12:51 PM
bohat masroof rehtay ho
sehar say sham honay tak
koi lamha nahi milta
koi bay naam si fursat
koi gumnaam si seerat
kabhi bethay howay tanha
kahin jo sham ho jaey
to meri "ilteja" hay ye
koi lamha chura lena
jo meray naam ho jaey
Miss Habib
11-28-2011, 12:56 PM
Sir jhukaney ki aadat nahi rahi
Ansoo bahaney ki aadat nahi rahi
Hum kho gaye to pachtao gay bohat
Hamari laut ke aaney ki aadat nahi rahi
Tere dar pe mohabbat ke sawali ban jatey
Lekin hath phelaney ki aadat nahi rahi
Teri yaadein humko aziz hain bohat
Magar waqt ganwaney ki aadat nahi rahi
Tum sakhat dil nikley kya gilla karein hum
Shikwa-e-dil lab pe laney ki aadat nahi rahi
Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare
Humein to dil bhi dukhaney ki aadat nahi rahi.....
Miss Habib
11-28-2011, 01:01 PM
meray ajnabi
meray bay-khabar
meray haath meiN kahaan ye hunar
k main beech raah sey wapsi ka
khayaal dil mein bhii la sakuN
tumhain chohR kar kisi moR par
kisi aur rastay pe jaa sakuN
meray chaara-saz-o-rafiq-e-jaaN
meray ajnabi meray aashna
koi aisa wesaa gumaN na kar
mujhay teray sath sey baRh k tou
kisi hamsafar ki talab nahi
k jo haath main tera hath hey
tou safar hii meri hayaat hey
ye safar thamay ga….
tou mera naam-o-nishaN kahan?
meray hamsafar
main teray bina
kahiN moat-o-zeest k darmiyaaN
na zameen meri na aasmaaN
meray badgumaaN meray mehrbaaN
meray raah-bar
meri iltajaaoN pe dhiyaaN kar
meri zindagi k safar ko dil sey dawam day
meri manziloN ko dhuwaaN na kar
tera saath hey meri zindagi
mujhay is tarah be-amaaN na kar!!!!
Miss Habib
11-28-2011, 01:05 PM
Khatayen yun to bohat ki hai
Bohat jhagre bhi hum khud se
Mager hai dil pe woh bojh
Jo tera dil dukhane se
Tujhe sach jhoot k qisse sunane se
Meri raton ki neendon ko
Azaab kerte hai
Mujhe malamat ye behisaab kerte hai
Ager ho sake tum se
Mere bachpane ko tum
Nazar andaaz ker do
Ager ho sake tumse
Mujhe tum muaaf ker do
Mujhe tum muaaf ker do...!!!!
Miss Habib
11-28-2011, 01:10 PM
woh ek masoom c chahat
woh ek be-naam c ulfat
woh meri zaat ka hissa
woh meri zeest ka qissa
mujhe mehsoos hota hai
woh mere pas hai ab bhe
woh jab jab yaad aata hai
nigahon mei samata hai
zaban khamosh hoti hai
magar yeh aankh roti hai
mei khud se pooch leta hon
jise mei pyar kerta hon
usay kia pyar tha mujh se?
Miss Habib
11-28-2011, 01:16 PM
woh ek masoom c chahat
woh ek be-naam c ulfat
woh meri zaat ka hissa
woh meri zeest ka qissa
mujhe mehsoos hota hai
woh mere pas hai ab bhe
woh jab jab yaad aata hai
nigahon mei samata hai
zaban khamosh hoti hai
magar yeh aankh roti hai
mei khud se pooch leta hon
jise mei pyar kerta hon
usay kia pyar tha mujh se?
Miss Habib
11-28-2011, 01:17 PM
Zikar-e-Shab-e-Firaaq Say Wehshat Ussey Bhi Thi..!!
Meri Tarah Kisi Say Muhabat Ussey Bhi Thi...!!
Mujko Bhi Shoq Tha Naye Chehroon Ki Deed Ka..!!
Rasta Badal Kay Chalnay Ki Aadat Ussey Bhi Thi..!!
Uss Raat Dher Takh Raha Woh Mehw-e-Guftagoo..!!
Masroof Mein Bhi Kam Tha,, Faraghat Ussey Bhi Thi...!!
Mujse Bichar Kay Shaher Mein Gull Mil Gaya Woh Shaks..!!
Halankay Shaher Bhar Say Adawat Ussey Bhi Thi...!!
Woh Mujse Bhar Kar Zabt Ka Aadi tha... Jee Gaya..!!
Warna Har Eik Saans Qayamat Ussey Bhi Thi...!!
Sunta Tha Woh Bhi Sub Say Purani Kahaniyaan..!!
Shayid Rafaqatoon Ki Zarorat Ussey Bhi Thi..!!
Tanha Howa Safar Mein Toa Mujpar Khula Yea Ba'ed ..!!
Saye Say Pyaar , Dhoop Say Nafrat Ussey Bhi Thi..!!!
Mohsin Mein Ussey Keh Na Saka Yun Bhi Haal-e-Dil..!!
Darpaish Ek Taza Mosibath Ussey Bhi Thi....!!!
Miss Habib
11-28-2011, 01:19 PM
Jiski Qismat Hi Dar-Badar Tehray ..!!
Woh Bhuja Chand Kis Kay Ghar Tehray..!!
Umar Guzri San'waartey Dil Ko..!!
Kaash Woh Dil Mein Lamha Bhar Tehray..!!
Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan..!!
Jiski Manzil Hi Rehguzar Tehray..!!
Uski Qeemat , Azaaab Suraj Ka..!!
Woh Sitara Jo Taa-Saher Tehray..!!
Uss Ki Ankhein Udher Gaye Hi Nahe...!!
Log Kya Kya Na Morr Per Tehray..!!
Hum Say Kaisa Ha'zer Hawa-e-Safar..!!
Hum Toa Gird-e-Raah-e-Safar Tehray..!!
Jukh Kay Chomey Na Kyun Falak Mohsin ..!!
Jab Sinaa'n Par Kisi Ka Sarr Tehray..!!
Miss Habib
11-28-2011, 01:31 PM
Kahin be kinar se ratjagay
Kahin zar nigar se khawab se
Tera kia asool hai zindagi???
Tujhe kon iska hisab de???
Jo bicha sakon tere wastay
Jo saja sakon tere rastay
Meri dastras mein sitare rakh
Meri muthiyon mein gulab de
Yeh jo khawishon ka parind hai
Ise mosamon se gharz nahin
Yeh urhe ga apni he mouj mein
Ise aab de k saraab de
Tujhe chu liya to bharak uthe
Mere jism-o-jaan mein charagh se
Isi aag mein mujhe rakh ker
Isi shoulgi ko shabaab de
Kabhi yun bhi to ho, tere rubaru
Mein nazar mila k yeh keh sakon
Meri hasraton ko shumar ker
Meri khawishon ka hisab de
Teri ik nigah k faiz se
Mere kasht-e-harf chamak uthe
Mera lafz lafz ho kehkashan
Mujhe aik aisi kitaab de...!!!
beautiful collection siso
thanks for shairing
Razii
11-28-2011, 06:35 PM
Nice collection Miss :)
Last one is most nice..........
(¯`·._.·[FåIтH]·._.·´¯)
11-28-2011, 10:08 PM
nyc :) Miss
Miss Habib
11-29-2011, 08:23 AM
thankss rose , razii and faith
~wish munda~
11-29-2011, 08:15 PM
wah kamal kertay ho panday ji :D
CaReLeSs
11-29-2011, 09:57 PM
Zabardast (y)
Aapke Choice buhut achi hai :P
Miss Habib
11-30-2011, 07:33 AM
wah kamal kertay ho panday ji :D
hahahaha thaankss wishoooo
Miss Habib
11-30-2011, 07:34 AM
Zabardast (y)
Aapke Choice buhut achi hai :P
thankss Care
Miss Habib
11-30-2011, 10:46 AM
Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan
kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa
kbhi dastaras k qareeb qareeb
kbhi door … paas … kahin nahi
ye jo ukhra ukhra sa shaks hai
ye jo bikhra bikhra sa shaks hai
Miss Habib
11-30-2011, 10:48 AM
tere ikhalas se muhabbat ki hai
tere ehsas se muhabbat ki hai
tu mere pass nah hai phir bhi
teri yaad se muhabat ki hai
kbhi tu ne bhi mujhe yaad kiya hoga
main ne un lamhat se muhabat ki hai
jin mein hon sirf teri or meri baatain
main ne un aoqaat se muhabat ki hai
or jo mehkey hon sirf teri hi muhabat se
main ne un jazbat se muhabat ki hai
tujh se milna tu ab khawab sa lagta hai
main ne tere intizar se muhabat ki hai
Miss Habib
11-30-2011, 10:51 AM
apna dil pesh karoon
apna dil pesh karoon apni wafa pesh karoon,
kuch samajh me nahi ata tujhe kya pesh karoon,
tere milne ki khushi me koi nagma cheroon,
ya tere dard ki judaai ka gila pesh karoon,
mere khabon me bhi tu mere khyalon me bhi tu,
konsi chez tujhe tujhse juda pesh karoon,
jo tere dil ko lubha le wo ada mujhme nahi,
kyon na tujhko koi teri hi ada pesh karoon
Miss Habib
12-03-2011, 10:45 AM
http://www.loverofsadness.net/images/gallery/1_Lonely%20girl_unknown.jpg
Chali aisi dard ki aandhiyaan, mere dil ki basti ujad gai
Ye jo raakh si hai bujhi bujhi, hain isi mein meri nishaaniyaan
Ye fizaa jo gard-o-ghubaar hai, meri bekasi ka mazaar hai
Main wo phool hun jo na khil saka, meri zindagi mein wafa kahan
M A H i
12-04-2011, 09:27 PM
Very Nice Collection Miss
Mostly sabhi meri fav hain
But this one is new for me and its Awesome! :good:
Sir jhukaney ki aadat nahi rahi
Ansoo bahaney ki aadat nahi rahi
Hum kho gaye to pachtao gay bohat
Hamari laut ke aaney ki aadat nahi rahi
Tere dar pe mohabbat ke sawali ban jatey
Lekin hath phelaney ki aadat nahi rahi
Teri yaadein humko aziz hain bohat
Magar waqt ganwaney ki aadat nahi rahi
Tum sakhat dil nikley kya gilla karein hum
Shikwa-e-dil lab pe laney ki aadat nahi rahi
Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare
Humein to dil bhi dukhaney ki aadat nahi rahi.....
http://img17.imageshack.us/img17/230/2danb0k.gif (http://imageshack.us/photo/my-images/17/2danb0k.gif/)
Haadi
12-04-2011, 09:37 PM
bohat A'llaaa
khoobsoorat intaykhaab hai Miss
thankx for shairing
Miss Habib
12-07-2011, 11:41 AM
thanks mahi, haadi and owi
Miss Habib
12-07-2011, 12:54 PM
Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak He. Baalon Tak Nahi Aai
Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Han
Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni
Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.
Kaho To Lout Jatay Han
Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta
Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho JaYen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho JaYan.
Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Han In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Han…
Kahoo To Lout Jatay Han……
Miss Habib
12-07-2011, 12:58 PM
Umeed abhi kuch baqi hai ik basti basnay wali hai
Jis basti mein koi zulm na ho or jeena koi jurm na ho
Wahan phool khushi k khiltay hon or mausam sare miltay ho
Bus rang or noor barastay ho, or sare hanste bastay hon
Umeed hai aisi basti ki
Jahan jhoot ka karobar na ho dehshat ka bazaar na ho
Jeena bhi dushwar na ho, Marna bhi azaar na ho
Ye basti kash tumhari ho, Ye basti kash hamari ho
Wahan khoon ki holi aam na ho, Uss aangan ghum ki shaam na ho
Jahan munsif se insaaf mile dil sab ka sab se saaf milay
Ik aas hai aisi basti ho jahan roti zehar se sasti ho
Miss Habib
12-07-2011, 01:01 PM
Dosti K Rishton Ki Perwarish Zaroori Hai
Silsiley Tauluq K Khud Se Ban Tu Jatey Hain
Lakin
In Shagoofon Ko Tootney Bikherney Se
Rokna Bhi Parta Hai
Chaahton Ki Mitti Ko Aarzoo K Poday Ko
Seenchna Bhi Parta Hai
Ranjishon Ki Baaton Ko Bhoolna Bhi Parta Hai
Dard Phel Jay Tu Ak Waqt Aata Hai
Dil Dharkta Rehta Hai
Aarzoo Gazidon K Hoasley Nahi Chaltey
Dasht-E-BeYaqeeni Main Aasrey Nahi Chaltey
Rehbaroon Ki Aankhon Main
Manzilain Na Jab Tak Hon
Qafley Nahi Chaltey
Ik Zara Tawajah Se Dekhiye Tu Khulta Hai
Loog In Per Chaltey Hain Raastey Nahi Chaltey
Sochney Samajhney Se Saath Saath Chalney Se
Duriyan Simat'ti Hain Fasley Nahi Chaltey
Khuwab Khuwab Aankhon Main Ratjagey Nahi Chaltey
Darguzar K Halqey Main Masaaley Nahi Chaltey
Do Dilon Ki Qurbat Main Teesra Nahi Hota
Wastey Nahi Chaltey
Bakht Saath Chalta Hai Tala'e Aazmaon K
Waqt Raam Karney Main Tajziyon K Daway Kiya
Tazjiye Nahi Chaltey
Ishq K Ilaqey Main Hukm-e-Yaar Chalta Hai
Zaabtey Nahi Chaltey
Husan ki Adaalat Main Aajzi Tu Chalti Hai
Martabey Nahi Chaltey....................................!!!
Miss Habib
12-07-2011, 01:24 PM
mera ehsas mat cheeno!!!!
wo jazbe cheen lo mujh se
jo mere ang, meri rooh, mere dil mein baste hain
jinhen khud mein samone ke liye seene taraste hain
wo lamhe cheen lo mujh se
jo mere zahan ki tareekiyon mein shama roshan hai
meri khilwat ki khusho hai, meri yadon ke gulshan hain
wo chehre cheen lo mujh se
jo khal-o-khad nahen ab aaiine hain meri seerat ke
jo har pehlo se aks zofishan hain meri surat ke
wo rishte cheen lo mujh se
jo mere zahan-o-dil mein roshni ke beej bote hain
jo rag rag mein laho ki chap se mansob hote hain
wo ankhen cheen lo mujh se
jo meri rooh ka noha hain, meri zaat ka lehja
jahan dhalta hai aaiinon mein ehsasat ka lehja
wo sapne cheen lo mujh se
jo in weeran ankhon mein abhi tak jagmagate hain
abhi tak sans lete hain, abhi tak muskurate hain
ye sab kuch cheen lo mujh se
magar ai zalimo! mujh se mera ehsas mat cheeno
talab ki aas mat cheeno
jo mere zabt ki pehchan hai wo piyas mat cheeno
mera ehsas mat cheeno!!!!
Miss Habib
12-07-2011, 01:27 PM
yonhi baton hi baton mein
mujhe us ne bataya tha
mohabbat karne wale pyar mein dhoka nahen karte
koi jab baat karta ho usey toka nahen karte
jise jane ki jaldi ho usey toka nahen karte
yonhi baton hi baton mein
mujhe ab yaad aya hai
usey jane ki jaldi thee!!!!!
Miss Habib
12-07-2011, 01:28 PM
band sheeshon ke pare dekh, dareechon ke odhar
sabz pairon pe, ghani shakhon pe, phoolon pe wahan
kese chup chap barasta hai musalsal pani
kitni awazen hein, log hein, baten hain magar
zehan ke peeche kisi aur hi satah pe kahen
jese chup chap barasta hai tasawar tera....
Miss Habib
12-07-2011, 01:29 PM
Woh pani ki lehron per kia likh raha tha
Khuda janay, harf e dua likh raha tha
Likha jis nay navel wafa ka adhora
wohi, payar ki intaha likh raha tha
Bhala kartay kartay guzri jawani,
Magar phir bhi khud ko bura likh raha tha
Muhabat mein nafrat mili thi usay bhi
Jo her shakhs ko bewafa likh raha tha
Woh zara us ki ankhon se anso naa niklay
woh jis waqt lafz saza likh raha tha
Namaz e muhabbat mein woh apnay,
Hoey thai jo sajde, qaza likh raha tha
woh pani ki lehron pe kia likh raha tha
faqat apnay sajde qaza likh raha tha...
Haadi
12-07-2011, 01:30 PM
wah kia baat hai miss laharan :)
Miss Habib
12-13-2011, 11:55 AM
thankss haadi
Miss Habib
12-15-2011, 01:08 PM
Bohat masoom the hum bhi
Humein ab yaad ata hai
K hum Ik ajnabi ko
Umar ki tareek raahon ka
Saahara maan bethe the
K us kay chaand chahre ko
Hum apne bakhat ka roshan
Sitara maan bethe the
Humein maloom hi kab tha
K dasht-e-zindagani mein
Saahare chhoot jate hain
Kabhi aisa bhi hota hai
Nazar jin per thehrti hai
Wo tare toot jate hain
Khud apne rooth jate hain
Bohat masoom the hum bhi
Magar humein malooom hi kab tha
Miss Habib
12-15-2011, 01:09 PM
Na kamal-e-fun hi mila mujhe
Na jamal-e-husn-e-khayal ka
Main to na’tamam jawab hoon
Kisi doosre k sawal ka
Mere saa’ey se na simat saka
Tere mere dard ka fasla
Karein zindagi k sapurd kia
Ye to Silsila hai malal ka
Mere aaiyon mein jami rahi
Wo jo rait-e-dasht-e-firaq thi
Mujhe phir aseer na kar saka
Koi rang mazi-o-haal ka
Kahein kia kise
Koi kia sune
Ye hadees-e-dil ka mua’mla
Na fasana laila-o-qais ka
Na qissa heer sayyal ka
Jise khojta hi raha sada
Tere harf harf mein roz-o-shab
Teri ankh mein tha chupa hua
Wo jawab mere sawal ka
M A H i
12-15-2011, 08:20 PM
Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak He. Baalon Tak Nahi Aai
Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Han
Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni
Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.
Kaho To Lout Jatay Han
Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta
Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho JaYen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho JaYan.
Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Han In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Han…
Kahoo To Lout Jatay Han……
Wahh Beautiful...
All the sharings are as usual very good
KEEP SHARINF Miss
Miss Habib
12-16-2011, 08:15 AM
thankss so much Mahi
Miss Habib
12-16-2011, 09:09 AM
~~Apna Khayal Rakhna~~
Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna,
Uss Ne Kaha Tha Mujh Se
"Apna Khayal Rakhna",
Yeh Bhi Kaha Tha Uss Ne
''Her Khuwab Aarzi Hay",
Tum Bhi Zehan Me Apne Hurf-E-Zawaal Rakhna,
Wo Keh Raha Tha Shayed
''Kuch Na Bata Sakoon Main",
Merey Saamney Na Tum Bhi Koi Sawal Rakhna,
Woh hans K Keh Raha Tha
"Gham Bhi Tumhein Milen Gey",
Lekin Na Hausla Tum Apna Nidhaal Rakhna,
Her Baat Ka Taqaza Mujh Se Jo Kar Raha Tha,
Kya Uss ka Haq Nahi Tha
"Mera Khayal Rakhna''
Miss Habib
12-16-2011, 09:10 AM
Main Ne
Uss Ke Hathon Mein
Geeli Mitti Dii
Uss Ne
Muhabat Ki Inteha Ker Dii
Uss Ne
Mera Putla Bana Ker
Apni Saans
Putaly Mein Bher Dii !!
Miss Habib
12-16-2011, 09:13 AM
~~~ Zara Sa Jhoot ~~~
Mujhey Fursat Hi Fursat Hai
Saweray Jaldii Uthna Hai
Na Shab Ko Dair Sey Sona
Kahein Bahir Nahin Jana
Kisi Say Bhi Nahin Milna !
Na Koi Fiker La-Haq Hai
Na Koi Yaad Hai Baaqi
Magar
Yeh Aakhri Misra
Zara Sa Jhoot Lagta Hai
Miss Habib
12-16-2011, 09:19 AM
~~Mujhe To Kuch nahi Aata~~
Suno Piyarey...!
Mujhe maalom hai aasaan lagta hai
Tumhain raahain badal lena
Koi bhi moor murr jaana ... !
Kisi manzil ko thokar maar ker waapis chalay aana
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se
Bohat nazdeek lay aana ... !
Mujhe maaloom ha Piyarey
Bohat aasan ha Tum ko wapis palat jaana
Meri Tum bey-basi dekho
Mujhe Tum se muhabbat k siwa kuch nahin aata
Mager iss mein bhi kab koi qareena seekh payi Main
Yeh dekho aankh rona chahti hai
Phir bhi banjar hai ... !!!
Yeh dekho haath kitnay sard hain meray
Yeh dekho dil ki dharkan kis tarah tarteeb kho ker doobnay ko hai
Yeh dekho mera aanchal meray haathon se phisal ker urr gaya kab se
Yeh dekho saans ki dori bhi Mujh se chootnay ko hai
Meray ehsaas ka resham ulajh ker tootnay ko hai
Mujhe to yeh huner bilkul nahin aata
K kaisay apnay zakhmon ko chupaatay hain?
Ya kaisay dard ko dermaan banaatay hain?
Ya kaisay rooth'ti saanson ka daaman
thaam ker waapis bulaatay hain?
Bohat bey-khwaab aur weeraan Mausam mein
khafa neendon ko kya keh ker manaatay hain?
Mujhe yeh hunar bilkul nahin aata
K kaisay apnay marr jaanay pe nohay aap kertay hain?
Ya apnay he galay lag ker dilaasa kaisay detay hain?
Phir apni he laash ko kaisay....
Kisi payaab deryya....
Ya kisi ki adh bujhi taaza chitaa main jhonk detay hain?
Ya phir aakaash k neechey khula he chorr detay hain?
Mujhe to yeh hunar bilkul nahin aata....
keh kaisay zard mausam mein....
Kisi bhi sard aur bey-dard mausam mein
Khushi ka aik bhi ghuncha.....
Bhala kaisay khilaatay hain?
Ya kaisay aadhay raastay se gharon ko lout jatay hain?
Mujhe bilkul nahin aata...
Mujhe Tum se muhabbat k siwa....
Mager woh bhi kahan aayi
Koi ...huner...bilkul. .. .nahin....Aata !!!!
Miss Habib
12-21-2011, 11:23 AM
shahr_e_khayal_o_khawab main aabaad ho gaya
itna use parha k mujhe yaad ho gaya
main aaj tak hon jis k fareeb_o_hisaar main
wo or hi kisi ka mere baad ho gaya
aandhi hawa ka sath nibhane k shooq mein
koi tabah hua koi barbad ho gaya
apni to sari umar aseeri main kat gai
jis ne bhi haar maan li aazaad ho gaya
pahle to paneon se rahi guftgo meri
phir yun hua k aaina iejaad ho gaya
Miss Habib
12-30-2011, 10:36 AM
Kabhi yad aye to poochna zara apni khalwat-e-shaam se
Kise ishq tha teri zaar se?
Kise pyar tha tere nam se?
Zara yad kar k wo tha,
jo kabhi tujhe bhi aziz tha
Wo jo jee utha tere naam se,
wo jo mar mita tere naam se
Humein be-rukhi ka nahi gila,
k yahi wafaon ka hai sils
Magar aisa jurm tha konsa ?
Gay hum dua-o-salam se,
Na kabhi wisaal ki chah ki
Na kabhi firaaq mein aah ki
K mera tareeqa-e-bandagi
Hai juda tareeqa-e-aam se
Miss Habib
01-04-2012, 11:18 AM
Suno !!!
Mujhe fursat hi fursat hai
Saware jald uthna hai
Na shab ko dair se sona
Kahi bahir nahi jana
Kisi se bhi nahi milna
Na koi fikar laahaq hai
Na koi yaad ata hai
Magar
Ye akhiri misra
Zara sa jhoot lagta hai
DeV!L
01-04-2012, 11:53 AM
Aray wah Bohat ala very hard work
Miss Habib
01-04-2012, 12:01 PM
thankss devil
Miss Habib
01-07-2012, 11:56 AM
Hum se wafa k bare mein jo chaho pooch lo
Lekin wafa ki kia hai saza ye na poochna
Rah-e-wafa mein hum per jo guzri hai wo pooch lo
Manzil per kia hua salook ye na poochna
Chahat ki dastaan to hai zaati muamla
Tora hai kis ne ehd-e-wafa ye na poochna
Rastay mein kon kon mila pooch shoq se
Kis kis ka saath choot gaya ye na poochna
Kia hum ne zindagi ko dia ye sabko hai khabar
Kia zindagi ne hum ko dia ye na poochna
Miss Habib
01-11-2012, 10:51 AM
husn ka mukaddar hoon na pyaar ki takdeer hoon
zindagi ke be-rangon ki main bas ek tasveer hoon
Na raat ko hain neend mujhe na din mein karaar hain
bikhare huye sapno ki ek tooti huyi tabeer hoon
zakhmi dil ko jo pal mein bana gayi ho nasoor
gham ke raaston mein aisi khichi gayi ek lakeer hoon..
Miss Habib
01-17-2012, 11:39 AM
Agar merre paas ek aesi kalam hoti jisse main apna nasib likh sakti,
tou main apne nasib mein tumhara naam likh deti,
jo aksar tumhe mujhse shiqayat rehti thi main tumhe yad nhi karti,
din k har guzarte lamhe mein tumhe dhero paigham likh deti,
tum tou rukh mod kar chal diye dusri taraf,
warna khushnuma sa main apni mohabbat ka anjam likh deti,
ek khubsurat subah jo tumhari mhbt se shuru hoti,
aur phir kabhi na dhalti aesi shaam likh deti,
apne dil ki kitab pe tou tumhara naam likha maine,
use zamane mein bhi sar-e-aam likh deti,
kaas merre paas ek aesi kalam hoti..
tou main apne nasib mein tumhara naam likh deti....
Miss Habib
01-17-2012, 11:39 AM
~~Daman mein maine apne bachpan ki yaadein chupayi hai
woh kaanch ki gudiya woh kagaz ki kashti bithayi hai~~
~~Woh ahde-jawani mein ki hui mohabbat-ruswaii ki baatein
woh judaii ki peer ab talak dhadkan mein samayi hai~~
~~Woh shaadi karke jaana kissi aur ke ghar banke sangini uski
woh chaandni raatein saath apne sanam ke bitayi hai~~
~~Woh bachho ka aana mere jeewan mein aur duniya ka khilna
maine unki har shararat har yaad shiddat se sajayi hai~~
~~Nibhate-Nibhate zindagi ke har modh se himmat ke saath
lo aaj waqt ke saath paari bhi milne chali aayi hai~~
~~Kya kuch sahej kar rakh liya apne iss daman mein
aaj jo samaitne ja rahi ho woh meri aakhri vidaayi hai~~
Miss Habib
01-17-2012, 11:40 AM
~~Daman mein maine apne bachpan ki yaadein chupayi hai
woh kaanch ki gudiya woh kagaz ki kashti bithayi hai~~
~~Woh ahde-jawani mein ki hui mohabbat-ruswaii ki baatein
woh judaii ki peer ab talak dhadkan mein samayi hai~~
~~Woh shaadi karke jaana kissi aur ke ghar banke sangini uski
woh chaandni raatein saath apne sanam ke bitayi hai~~
~~Woh bachho ka aana mere jeewan mein aur duniya ka khilna
maine unki har shararat har yaad shiddat se sajayi hai~~
~~Nibhate-Nibhate zindagi ke har modh se himmat ke saath
lo aaj waqt ke saath paari bhi milne chali aayi hai~~
~~Kya kuch sahej kar rakh liya apne iss daman mein
aaj jo samaitne ja rahi ho woh meri aakhri vidaayi hai~~
Miss Habib
01-17-2012, 12:02 PM
Thakk Gai
thakk gai meri zaat hey,
bardasht nahi,
nidhaal hoon.
inteezar hai faqat itna,
bujhe ga kabh chirag-e-zindagi!
ke khatam hain sab aanso,
nahi hey baqi aas ab.
manzalain sabhi hain kho chukin,
umeedain hain sabhi tooti hui.
bewafai ke bojh talay,
dabb chuke hain sabhi aarman mere,
sabh sapney hain abh bikhar gaye!
par chukki hein dararain ab
dil ke darro-deewar pe.
gila nahi kisi se ab,
afsos hai bas itna!
maana merey wajood ne,
toofan ko sahara-e-zindagi!
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
01-23-2012, 03:44 PM
Hmm .. Bohat KhoObSurat CollectiOn Miss . :)
Parhne La'aiq Pasand hAi Ap Ki .. Kuch Parhin Kuch Insha Allah PHir Waqt Prh Read Krn Ga .. :)
Keep Shairing :)
Miss Habib
01-25-2012, 11:58 AM
thankss sim sim
keep visiting
Miss Habib
01-25-2012, 12:02 PM
Jo khuwab sajaye ankhon ne
Wo khuwab tootne wale hain
Humein dil mein basana theek nah
Hum log ujarne wale hain
Wo chor gaya mujhe konton pr
Phollon kay khilte mausa mein
Rab khair kare lota hi nahi
Ab pattay jharne wale hain
Wo shakhs k jiski ankhon se
Mere dil mein thandak thi
Ab door gaya to aisa laga
Hum jaise pighalne wale hain
Jo hath ko le kar hathon mein
Mere pyar ki qasmein khate the
Wo log wafa ka qatil hain
Wohi log bicharne wale hain
Haadi
01-25-2012, 12:13 PM
wow zaberdast Habibi
Miss Habib
01-31-2012, 11:29 AM
thankss haadi
Miss Habib
01-31-2012, 11:29 AM
Mumkin jo agar hota hum tum ko bhula dete
Yadon ko kafan de kar be-waqat sula dete
Tanhai mein jee lete, tum ko na saada dete
Is dil se tere dil tak, deewar utha dete
Mumkin hi nahi warna
Hum tum ko bhula dete.
Stolen Live
01-31-2012, 11:32 AM
last one nice.........
Miss Habib
01-31-2012, 11:32 AM
Juda hone ka andesha, juda hone se pehlay tha
Wo mujhse intihai khush, khafa hone se pehlay tha
Junoon ka dor guzra to mujhe bhi bhool betha wo
Namaz-e-ishq tha lekin qaza hone se pehlay tha
Main kaise soch sakta tha mujhe who chor jaye ga
Bohat hi ba-wafa wo be-wafa hone se pehlay tha
Miss Habib
01-31-2012, 11:34 AM
thankss live
Stolen Live
01-31-2012, 11:35 AM
U W'Cum
Cerry On...!
M A H i
01-31-2012, 05:38 PM
~~~ Zara Sa Jhoot ~~~
main aaj tak hon jis k fareeb_o_hisaar main
wo or hi kisi ka mere baad ho gaya
Agar merre paas ek aesi kalam hoti jisse main apna nasib likh sakti,
tou main apne nasib mein tumhara naam likh deti
Humein dil mein basana theek nah
Hum log ujarne wale hain
Juda hone ka andesha, juda hone se pehlay tha
Wo mujhse intihai khush, khafa hone se pehlay tha
Junoon ka dor guzra to mujhe bhi bhool betha wo
Namaz-e-ishq tha lekin qaza hone se pehlay tha
Main kaise soch sakta tha mujhe who chor jaye ga
Bohat hi ba-wafa wo be-wafa hone se pehlay tha
:bu:
:hbbh:
TFS Miss
Keep sharing
Miss Habib
02-01-2012, 11:06 AM
thanks so much mahi
jamal khan
02-06-2012, 09:40 PM
nice sharing
Miss Habib
02-09-2012, 10:17 AM
youn bhi to zindagi mein tamasha rha bohat
wo mjh say dur or mein tanha raha bohat
us nay palat kar pocha na kis haal mein hun mein
lekin mein uski khariat likhta raha bohat
wo kon tha jo hansta tha sarko per rat bohar
is waqiay ka shehar mein charcha raha bohat
kal raat hm say raat guzari na ja ski
kal rat dil mein shor e tamanna raha bohat
bezaar ho kar jeena koi khail to na tha
is qefiat mein reh kar bi jeeta raha bohat
Miss Habib
02-09-2012, 10:20 AM
Wo " Khafa Hain Hum Se To Unko Khafa Hi Rehne Do
" Hum " Agar Un K " Gunahgaar " Hain To " Gunahgaar " Hi Rehne Do
Wo " Samajhte " Hain K Hum Ne Chor Dia Hai Unko
Baat To " Jhoot " Hai Magar Is Baat Ko Such Hi Rehen Do
" Mudatoon " Se Ma...ngi Hain Khuda Se Khushiyaan Unki
Jo Aata Hai" Ilzaam "Hum Pe To Ilzaam Hi Rehene Do
Unki Shurt Hai K Me " Bewafa " Banon
Agar Khushi Mile Unko To Mujhe " Bewafa " Hi Rehne Do
Aaega " Waqt " To Dikhaaenge Unko Apna " Khuloos "
Abhi Khamoosh Hain Hum To Bus Humko " Khaamoosh " Hi Rehene Do...
Miss Habib
02-23-2012, 11:14 AM
Tumhein ik baat kehni hai
Magar naraz mat hona
K tum jo har ghari mujhko itna yaad ate ho
Humein itna state ho
K hum tum door hain dono
Bohat majboor hain dono
Na itna yaad ayo tum
Na yunh itna satao tum
K itna yaad aa kar yunh
Humein pagal bana k tum
Faqat itna bata do k
Hamari jaan lo gai kia ?
Magar ye bhi haqeeqat hai
Tumhari yaad hi to hai
Jo har pal saath rehti hai
Kushi mein bhi
Ghamon mein bhi
Udasi k palon mein bhi
Tumhari yaad hi to hai
Jo har pal ye batati hai
Mujhe ehsas dilati hai
K
HUM TUM BIN ADHORAY HAIN
Miss Habib
02-27-2012, 12:04 PM
fareb-e-zeest khana chahti hon!!
Zara hansna hansana chihti hon
andheri gham zada be kaif ratain
sitaroon se sajana chahti hon..!!
Jinhe sun kar zamana jhom utthey!!
Wo naghma gungunana chahti hon
jisey rothey hoye ak umr guzri
ussey fori mana'na chahti hon...!!
Miss Habib
02-28-2012, 10:50 AM
Kuch khud bhi the agsurda say
Kuch wo bhi hum se rooth gai
Kuch khud hi zakham k adi the
Kuch sheeshay hath se choot gai
Kuch khud bhi the hassas bohat
Kuch apne muqadar rooth gai
Kuch unko such se nafrat thi
Kuch hum se na bole jhoot gai
Kuch logo ne uksaya unhein
Kuch apne muqadar phoot gai
Kuch khud itne mohtat na the
Kuch log bhi hum ko loot gai
Kuch talkh haqaiq the itne
K khuwab hi saare toot gai
Miss Habib
02-29-2012, 12:48 PM
mere qurb se mere wajood tak
use ikhtalaf to sada ka tha
mere ghum se mere junoon tak
ye fasla bus ana ka tha
mere zindagi se meri saans tak
woh falsafa bus dua ka tha
meri bat se tere zikr tak
koi silsila jo hawa ka tha
meri haqeeqat se mere khwb tak
woh beh-khabbar intiha ka tha
mere vehm se mere guman tak
ye marhala wafa ka tha
mere talab se mere naseeb tak
ye mamla khuda ka tha....!!
Miss Habib
03-06-2012, 10:47 AM
Raat din hijar ki wahashat bhi nahi rakhni hai
Kisi se ab itni mohabbat bhi nahi rakhni hai
Jis ka jee chahe humein tor k tukre kar de
Is qadar naram tabiat bhi nahi rakhni hai
Ik do saal k rishton se humein kia haasil
Ik do pal ki rafaqat bhi nahi rakhni hai
Jin se bichrein to sambhalne mein zamana lag jaye
Aise logo se muraw’wat bhi nahi rakhni hai
Kia ab haal hai chahat k tolabgaron ka
Shoq bikne ka hai, qeemat bhi nahi rakhni hai
mere talab se mere naseeb tak
ye mamla khuda ka tha....!!
Kia ab haal hai chahat k tolabgaron ka
Shoq bikne ka hai, qeemat bhi nahi rakhni hai
Zaberdast
Miss Habib
03-19-2012, 12:36 PM
thankss so much owi
Miss Habib
03-31-2012, 11:55 AM
Nazar mein zulmat, badan mein thankdak, jamal kitna ajeeb sa tha
Main us ki chahat mein ghar se nikla to haal kitna ajeeb sa tha
Na maine usse khatoot likhe, na uss ne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe malaal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raton mein chand dekhe, main apni raton mein uss ko sochoo
Badalte lamhon mein soch ka ye visaal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kar lo gai ? maine poocha to ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Miss Habib
04-05-2012, 12:39 PM
Kafi arsa beet gaya hai, jane ab wo kaisa ho ga
Waqat ki sari karvi batein, chupke chupke sehta ho ga
Ab bhi bheegi barish mein wo, bin chatri chalta ho ga
Mujhse bichre arsa beeta, ab wo kis se larta ho ga
Acha tha jo sath hi rehte, baad mein uss ne socha ho ga
Apne dil ki sari batein, khud se khud hi karta ho ga
Kafi arsa beet gaya hai, jane ab wo kaisa ho ga
Miss Habib
04-19-2012, 11:59 AM
Hum dasht ke basi hain, aey shehr ke logon..!!
Ye rooh pyasi humain wirsay main mili hai....!!
Dukh dard sey sadyoon ka taaluq hai hamara..!!
Aankhoon ki udasi humain wirsay mein mili hai..!!
Jaa dena riwayat he qabeeley ki hamare....!!
Ye surkh libasi humnein wirsay mein mili hai..!!
Jo baat bhi kehtey hain uttar jati he dil main..!!
Taseer juda si humain wirsay main mili hai.....!!
Jo hath bhi thama hai sada saath raha hai.....!!
Ahbab shanasi humain wirsay main mili hai....!!
Haadi
04-19-2012, 12:17 PM
"WOH SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"
zaberdast habibi awesome loved it
Miss Habib
04-19-2012, 12:59 PM
"WOH SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"
zaberdast habibi awesome loved it
thankss so much
(‘“*JiĢäR*”’)
04-22-2012, 02:27 PM
:hm: ....
Miss Habib
04-23-2012, 01:35 PM
:hm: ....
u ko kiaa hoing
Haadi
04-23-2012, 01:37 PM
aini lami poetry phir kisi din perh loon ga :P
Miss Habib
04-23-2012, 01:43 PM
aini lami poetry phir kisi din perh loon ga :P
phir kisi din :redface1xs:
tumhare paas time hota hai kiaa innaa :eyes-brows:
Haadi
04-23-2012, 01:45 PM
phir kisi din :redface1xs:
tumhare paas time hota hai kiaa innaa :eyes-brows:
isi liye kaha kisi din :P
Miss Habib
04-23-2012, 01:46 PM
isi liye kaha kisi din :P
wo kisi din nahi aye gaaa i know :hmmmm:
Haadi
04-23-2012, 01:47 PM
mujay tum se behter kon janta hai yahan :) lolzzzzzzzzzzz
Miss Habib
04-23-2012, 01:48 PM
mujay tum se behter kon janta hai yahan :) lolzzzzzzzzzzz
Ruby :(rofl):
Haadi
04-23-2012, 01:48 PM
main nay yahan ki baat ki hai real life wali ki nahin :)
Miss Habib
04-23-2012, 01:51 PM
main nay yahan ki baat ki hai real life wali ki nahin :)
to ruby bhi to yahi ki member hai :naughty:
Haadi
04-23-2012, 01:52 PM
heheheheh aho aho comment tum day rahi ho to usi hisaab se keh diya maaf ker do ab aur jaan choro hamari bhi aur net ki bhi shadi kerwao aur jao :P
Miss Habib
04-23-2012, 02:16 PM
heheheheh aho aho comment tum day rahi ho to usi hisaab se keh diya maaf ker do ab aur jaan choro hamari bhi aur net ki bhi shadi kerwao aur jao :P
tum ne to shadi k baad bhi nahi chori jaaaan :bangin:
Miss Habib
04-25-2012, 11:09 AM
Ye jo saanp seerhi ka khail hai
Abhi saath the dono hum nawa
Wo bhi 1 pe, main bhi 1 pe
Usse seerhi mili wo charh gaya
Mujhe raaste mein hi duss lia
Mere bakhat k kisi saanp ne
http://lh5.ggpht.com/-KC2ntKZKGns/Tlpwf68n4RI/AAAAAAAABg0/7tahmUSuS-c/SnakesAndLadders3.jpg
Bari door se para lautna
Zakham kha k apne naseeb ka
Wo ninanwaye (99) pe pohanch gaya
Main 10 k phairr mein girr gaya
Usse 1 number tha chahiye
Jo nahi mila so nahi mila
Main barha to barhta chala gaya
Bus aik chok’kay ki baat thi
Magar jeetna meri maat thi
Maine jaan k gotti ghalat chali
Aur saanp k munh mein daal di
Ye jo Pyar hai ?
Kabhi sochna ye bhi “Saanp Seerhi” ka khail hai
M A H i
04-27-2012, 07:09 PM
bezaar ho kar jeena koi khail to na tha
is qefiat mein reh kar bi jeeta raha bohat
Kushi mein bhi
Ghamon mein bhi
Udasi k palon mein bhi
Tumhari yaad hi to hai
Jo har pal ye batati hai
Mujhe ehsas dilati hai
K
HUM TUM BIN ADHORAY HAIN
Jinhe sun kar zamana jhom utthey!!
Wo naghma gungunana chahti hon
Kuch talkh haqaiq the itne
K khuwab hi saare toot gai
mere talab se mere naseeb tak
ye mamla khuda ka tha....!!
Kia ab haal hai chahat k tolabgaron ka
Shoq bikne ka hai, qeemat bhi nahi rakhni hai
Safar akele kar lo gai ? maine poocha to ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Jo hath bhi thama hai sada saath raha hai.....!!
Ahbab shanasi humain wirsay main mili hai....!!
Ye jo saanp seerhi ka khail hai
Miss ,,, Awesome Collection !!!
Keep Continue!!!!
Miss Habib
04-28-2012, 09:57 AM
Miss ,,, Awesome Collection !!!
Keep Continue!!!!
thanks so much Mahi my sweet friend
keep visiting :rose5wd:
Miss Habib
05-05-2012, 12:42 PM
Rasta bhi kathan, dhoop mein shiddat bhi bohat thi
saaye
se magar us ko mohabbat bhi bohat thi
khaimay
na koii mere musaafir ke jalaaye
zakhmi tha bohat paoon musaafat bhi bohat thi
sab
dost mre muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi
bohat thi
barish ki duaon mein nami ankh ki mil jaaye
jazbe ki
kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi
kuch to tere mausam hi mujhe raas kam
aaye
aur kuch meri mitti mein baghaawat bhi bohat thi
phoolon ka
bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuch is mein hawao ki siyasat bhi
bohat thi
is tark-e-rafaaqat pe pareshan to hoon lekin
ab tak ke tere
saath pe herat bhi bohat thi
khush aye tujhe shehr-e-munaafiq ki
ameeri
hum logon ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi
Miss Habib
05-09-2012, 12:58 PM
Saron ki fasl katt chuki to shehar mein parrha gaya
Wo aman ka muaahida jo taigh sy likha gaya
Munafiqat ki dhoop chhaon sy meri nibhi nahi
So dostoon ki saf sy katt k dushmanoon mein aa gaya
Miss Habib
05-09-2012, 01:00 PM
Badan Pay Apnay Lahoo Ka Lebaas Rakhta Hoon
Main Khaas Phool Hoon Rangat Bhi Khaas Rakhta Hoon
Kesi Khushi Ki Bhala Ab Mujhay Khushi Kyun Ho
Apnay Ghum Say Jo Khud Ko Udaas Rakhta Hoon
Main Apnay Dard Kaha Baanta Phiron Faraz
Keh Main Apni Cheezain Apnay Pass Rakhta Hoon
Miss Habib
05-09-2012, 02:25 PM
zindagi ka zakhm gehra tha, magar itna na tha
zakhm se pehlay bhi tanaha tha magar itna na tha
apnay apnay dagh sab mujh par laganay aa gaye
mai bhi kutch baahar se maila tha magar itna na tha
kya khababr thi chheen li jayengi ye aankhain meri
haa’n mujhay shauk e tamasha tha magar itna na tha
kya mila shehd e mohabbat chaat kar ai zindagi
zaaiqa pehlay bhi karhwa tha magar itna na tha
hijr mai rona ibadat se Tabasum kam nahee’n
tajruba to aansuo’n ka tha magar itna na tha
Miss Habib
05-09-2012, 02:28 PM
سانسوں کے اس ہنر کو نہ آساں خیال کر
زندہ ہوں ساعتوں کو میں صدیوں میں ڈھال کر
اے گرد باد لوٹ کے آنا ہے پھر مجھے
رکھنا میرے سفر کی اذیت سنبھال کر
یہ نقد جاں کہ اسکا لٹانا تو سہیل ہے
گر بن پررے تو اس سے بھی مشکل سوال کر
Credible KiRan
05-09-2012, 05:59 PM
Nice collection :thumbsup:
Miss Habib
05-10-2012, 11:23 AM
thanks K.S
Miss Habib
05-12-2012, 11:43 AM
Palat aao
K khuwaabon ki
zameenon per
Kisi duniya ka
shehzaada
Kai qirnon
Kai sadiyon say
Tumhaari yaad ki
chaaon mein betha hua hai
Isay Izn-e-huzoori do
K us ki munjamind
berfaab aankhon mein
Khushi ki tittliyaan utrein
Palat aao
K ab bhi sheher ki galiyaan
Tumhaaray paaoon ki
hiddat pay merti hein
Tumhein aawaaz dayti hein
Diye her aanay waalay say
tumhaara poochtay hein
Or Derwaazay .....
Tumhaari aahaton mein gum
Mager tum !
Dooriyo k
sheher say
bhi door
bethay ho
Jahaan
aawaaz bhi
jaanay say
derti hai
Palat aao
K ab bhi
raastay
ummeed ki
khushboo say
mehkay hein
K tunhaai .....
Hamaari rooh k
saahil pay jab bhi
been kerti hai
Tumhaara naam layti hai
Hawa jab gungunaati hai
To is k surmai honton say
Teray sung huway lamhon ki
Khushboo uraati hai
Palat aao .....
K ab
hum
devtaaon ki terhan
khaamosh
reh reh ker
Tumhaaray hijr k
aazaar seh seh ker
Bohat hi thak chukay hein
Hamein ab neend k
lambay
safer
per
lout
jaana hai
Jahaan hum nay
Zamaanay ki
nigaahon say paray
Ik or hi manzer
basaana b hai
Palat aao
K ye lamhein
hamaara maas
khaanay per tulay hein
Zindagi baarood ban ker
jism-o-jaan mein dorti hai
Aankh pathraai hui hai
Haath Shal hein
Or
hum
pay
mout
si
chaai
hui hai ..... !
Miss Habib
05-12-2012, 11:43 AM
میں جس سفر میں ہوں
اُس سفرمیں تمہیں ہمسفر
بنا سکتا نہیں
مرے قدم ایسے راستوں میں گُم ہیں
کہ میں خود اپنی منزل کا پتا
بتا سکتا نہیں
لیکن مجھے معلوم ہے
مجھے لوٹ کر ہی آنا ہے
تو پھر یہ التجا ہے میری تم سے
جب کبھی میں گرد آلود جسم کے ساتھ
اپنی روح کو
نامُرادیوں اور مایوسیوں کے پتھروں پر
گھسیٹا ہوا
واپس تمہارے پاس آؤں اگر
بس تم اتنا کرنا
میرے جُھلسے ہوئے وجود کو
اپنے آنسوؤں سے تر کردینا
اور ہاتھ پکڑ کر میرا
پھر سے وہیں کھڑا کردینا
جہاں سے میں نے پہلے
سفر شروع کیا تھا
مگر اُس بار یہ ضرور کرنا
میرے ہاتھ میں دیا
اپنی شام کا رکھنا
بس اتنی التجا ہے میری
میری منزل کا پتہ
اس بار
اپنے نام کا رکھنا
Miss Habib
05-12-2012, 11:46 AM
Sun Liya hUm Ney Yeh FaiSala Tera
Aur Sun Kar Udaas hO Baithey
Zehan ChUp Chaap Aankh Khalli hAi
Jaisey hUm Kaiyenaat KhOu Baithey
dhUndley dhUndley Sey ManZarOun Sey gUlo
Chairtii hAin Tajaliyaan Terii
bhOolii BiSarii hOii RutOun Sey Udhar
Yaad Aaien TaSaliyaan Terii
Dil Yeh Kehta hAi hOSla Rakhna
Sung RaaStey Sey Hat Bhe Saktey hAin
Is Sey Pehley K Aankh bUjh jAye
jAnney Walley Palat Bhe Saktey hAin
Dil Yeh KehtA hAi Zabt Laazim hAi
Hijjr Key Din Kii dhOop DhAlney Tak
Aitraaf e ShikaSt Kya Karna
FaiSley Kii Gharii Badalney Tak
Ab CharaGhaan Karien hUm AshkOun Sey
Yeh Manzar bUjhey bUjhey Dekhien
Eik Traf tOo hAi Eik Traf Dil hAi
Dil Kii Maanien K tUjhey Dekhien
KhUd Sey Bhii KaSh-Makash Sii jArii hAi
Raah Mein Tera ghUm Bhii Haayel hAi
Chaak Dar Chaak hAi Qaba e Hawas
Be-RafOo SOch o rOoh Bhii Ghaiyel hAi
tUjh Ko Paya To Chaak Sii Lein Gey
ghUm Bhe Amrat Samajh Key Pii Lien Gey
Warna yOun hAi K Daman e Dil Mein
Chund SanSien hAin Gin Key Jee Lein Gey
Miss Habib
05-12-2012, 11:58 AM
Waasta Husn Se Ya Shidat E Jazbat
Se Kya
Ishq Ko Tere Qabely Ya Meri Zaat
Se Kya
Meri Masrofiyat Usko Kahan Rok
pae Gi
Wo To Yad Ay…e Ga Usko Mere Din
Rat Se Kya
Jis Ko Khadsha Ho K Mar Jayen Ge
Bhookay Bachay
Sochiye Us Ko Kisi Aur K Halaat Se
Kya
Aaj Usay Fikar K Kya Log Kahin Ge
Mohsin
Kal Jo Kehta Tha Mujhy Rasm-O
Riwayaat Se Kya
Miss Habib
05-12-2012, 12:47 PM
Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!
Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!
Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!
Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!
Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha
Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha
Miss Habib
05-17-2012, 11:45 AM
Mere Baad Dard Ki Daastan
Tujhe Kon Aa ke Sunaye Ga ?
Mujhe Raastay Mein Khabar Mili
Wo Tou Sheher Hee Se Chala Gaya
Meri Zindagaani Ke Khaar-o-Khas
Koi Jaatay Jaatay Jala Gaya
Mere Ratjago Ko Khabar Karo
Mujhe Neend Aayi Hai Dekhne
Mein Tou Apnay Aap Mein Hee Nahi
Mujhe Mere Haal Pe Chhor Do
Bada Sakht Hai Tera Raasta
Mujhe Meri Raah Pe Mor De
Tujhe Kaisa Lagta Hai Din Dhalay ?
Kisi Dukh Ka Seenay Mein Tootna….!
Miss Habib
05-17-2012, 12:23 PM
Maa kehti thi
Meri nanhi si gurriya!
Aaj baahir na nikal
Kia tujh ko maloom nahi...?
Aaj suraj-garhan hai
Riwayat kehti hai
Suraj-garhan ho to
Dekhne se aankhen beenai khho deti hain
Chehre murja jaate hain
Un pe zardi chha jaati hai
Mahekte tan-o-man kamla jaate hain
Phool orrh lete hain zard ruton k pairhan
Bahaaren khizaan main dhhal jaati hain
Yahan tak k samander k bhanwar
Aur zameen k maddo-jazar bhi badal jaate hain...!
Meri gurriya!
Tu baahir na nikal
K teri ghazaali aankhen aur ro-pehle chehre ko
Kahin chaat na le ye suraj-garhan...!
Magar aaj maa ko bataaye kon
Us ki gurriya ko
Jise zard na ker saka suraj-garhan
Usay das gaya mohabbat ka chaand-garhan...!!!
Miss Habib
05-22-2012, 12:37 PM
Qalb'e'muztarib thehar lamha bhar k liye
Uski rukhsat ka hangaam dar'pesh hy
Wasl'e'shereen sy gul'rang mahol myn
Ek kahani ko anjaam dar'pesh hy
Aakhri bar ji bhar k myn dekh loon
Kya khaber phir kabhi hm milyn na milyn
Shaakh'e'farda samer'bar ho k na ho
Kis ko maloom phir gul khilyn na khilyn
Aesi sa'at kahaan aesa manzr kahaan
Rang he rang hy roop he roop hy
Chhaoon aanchal ki ly loon gharri do'gharri
Phir safer dr'safer dhoop he dhoop hy
Miss Habib
05-22-2012, 12:51 PM
Doodh mein pani milaty hein gawaly lekin
Taarrny waloon k andaz py qurbaan jain
Nok'e'angasht py ek qatra utha kr wo
Jan jaty hain k es doodh main kuch pani hai
Lekin insaan ki jazbaat shanasi k liye
Aesa pemana nahi hai koi
Jis se pehchaan sake khoty khary ko insaan
Is tarhaa bunte hain bafandy haq'o'batil ko
Koi fankaar nhi andaza nahi kr sakta
Sach hai ya jhoot koi nam nahi dhar skta
Kagazi phool py joban ka nikharna mat puchh
Andaliboon ki nigahein bhi bhatak jati hain
Bhool jati hain k ye roop nahi maya hai
Rutt hai sawan ki wahin dhoop wahin saya hai
"boo'e'gul, nala'e'dil, dard'e'chiraag'e'mehfil"
Ik tarazoo pe yahan tulty hain
Lala'o'gul hain qadaah khwari k bais badnaam
"Khoon'e'anjum ka hai damaan'e'saher pr ilzaam"
Dastaan aesi yahan roz buni jati hai
Jhooti tuhmat hi sahi daman'e'Yusuf py magr
Misr meiyn ab bhi Zulaikha ki suni jati hai
Miss Habib
05-25-2012, 11:16 AM
KISI KO YAD KARTAY HO!
Bohat mudat se aisa hai
K tum khamosh rehtay ho
Koi gehra hai gham shaiad
Jisay chup chaap sehtay ho
Younhi chaltay huay tanha
Koi ghamgheen sa naghmah
Tum aksar gungunatay ho
Doran-e-guftgu younhi
Milen nazron se jab nazren
To baten bhoil jatay ho
Kisi gum sum si halat me
Ya phir barish k mosam me
Faqat itna hi kehtay ho
Udasi be wajah si hai
Bohat bojhal tabiyat hai
Bhala sach kiun nahi kehtay
Kisi ko yad kartay ho!!
shawn52
05-25-2012, 11:27 AM
wow.. if it is tour choice then
listen you have a good taste...
Miss Habib
05-25-2012, 12:02 PM
wow.. if it is tour choice then
listen you have a good taste...
thanks so much shawn :hbbh:
keep visiting
Miss Habib
05-28-2012, 11:57 AM
http://a1.sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-snc7/426067_305772099482756_100001499047881_817876_1935 206915_n.jpg
Tamana le k ulfat ki mere angan mein wo aya
Mohabbat rog hai dil ka usse ye maine samjhaya
Kaha uss ne mohabbat kar shareek-e-ghum bana mujh ko
Karoonga main zamane ki khushi se ashna tum ko
Hua majboor main yaro, kia iqrar ulfat ka
Laga di jan ki bazi, samjh kar khail qismat ka
Hui maloom phir us ki haqiqat ye zamane se
Usse taskeen milti hai, kisi ka dil dukhane se
MAsooM LArKa
05-28-2012, 12:39 PM
Janab ne tu kafii zabardast Qisam ka collection jama kr rakha haii
belly nyshhh
Miss Habib
05-28-2012, 12:47 PM
Janab ne tu kafii zabardast Qisam ka collection jama kr rakha haii
belly nyshhh
or app janab ki speedein dekhe, inni jaldi parh bhi liaaa :cool-yaar:
thanks so muchCutie
MAsooM LArKa
05-28-2012, 12:51 PM
or app janab ki speedein dekhe, inni jaldi parh bhi liaaa :cool-yaar:
thanks so muchCutie
tuaba haii kar di na chawalu wali baat
ab khana bana kar tora sa hi check kya tha hai taste maloom krne k leye
na k puurii handii harap kar jawooo
:D
Miss Habib
05-28-2012, 01:26 PM
tuaba haii kar di na chawalu wali baat
ab khana bana kar tora sa hi check kya tha hai taste maloom krne k leye
na k puurii handii harap kar jawooo
:D
hahahahaha
waise masoom tum ne example to aise di hai
jaise koi sughar aurat deti hai :71::0029:
MAsooM LArKa
05-28-2012, 02:03 PM
hahahahaha
waise masoom tum ne example to aise di hai
jaise koi sughar aurat deti hai :71::0029:
itne din apki suhbat main reh kar sugharapa a hi gaya hum main b :laugh:
Miss Habib
05-28-2012, 02:36 PM
itne din apki suhbat main reh kar sugharapa a hi gaya hum main b :laugh:
dekh lo fir, mera acha asar para naa tum per
ja kia yaad karo gai, kaisi kurri se palaaa para thaaaa :040=:
MAsooM LArKa
05-28-2012, 02:49 PM
dekh lo fir, mera acha asar para naa tum per
ja kia yaad karo gai, kaisi kurri se palaaa para thaaaa :040=:
acha asar aisa hota hai ?????
pala kaha paara hai abi tu ibtida haii Allah agay khair farmaye :D
Miss Habib
05-29-2012, 09:45 AM
acha asar aisa hota hai ?????
pala kaha paara hai abi tu ibtida haii Allah agay khair farmaye :D
ahooo tooo hor kiaaa :0011:
tumhari biwi kahe gi, kis se seekha ye sugharpan :(l0l):
MAsooM LArKa
05-29-2012, 12:41 PM
ahooo tooo hor kiaaa :0011:
tumhari biwi kahe gi, kis se seekha ye sugharpan :(l0l):
ewwwwwwwwwwwwwwwwwwww biwi ufff aisy tu na daraya karo :(
Miss Habib
05-29-2012, 01:50 PM
ewwwwwwwwwwwwwwwwwwww biwi ufff aisy tu na daraya karo :(
lagta hai aik addad k malik ho, isliye darrr ka pata hai :71::71:
MAsooM LArKa
05-29-2012, 02:03 PM
lagta hai aik addad k malik ho, isliye darrr ka pata hai :71::71:
aray aray nahi nahiii single life jaisa maza shadi or pyar main kaha
ju maan main aaye karo chill karo ghomo phiro dostiya karo aish karo
shadi wadi main banda kahi ka nahi rehta
Miss Habib
05-30-2012, 09:27 AM
aray aray nahi nahiii single life jaisa maza shadi or pyar main kaha
ju maan main aaye karo chill karo ghomo phiro dostiya karo aish karo
shadi wadi main banda kahi ka nahi rehta
acha acha single life k faiday na ginwaaaaa :hehoho:
MAsooM LArKa
05-30-2012, 12:04 PM
acha acha single life k faiday na ginwaaaaa :hehoho:
ok nahi ginwata :71:
Miss Habib
05-30-2012, 12:21 PM
ok nahi ginwata :71:
ginti nahi ati ho gi naaa :0037:
Miss Habib
05-30-2012, 12:24 PM
Meri itni si khwahish hy k
Main ek aasmaan hota
Tu meri zameen hoti
Main jhuk kr tery sary ghum
Apny kandhoon py dho leta
Teri taklifyn or kathnaiyaan
Khud myn samo leta
Mery badloon sy barishyn
Chham chham barasti to
Tujhy seraab kr deteen
Wo teri piyaas ko pi kr
Tujhy shadaab kr deteen
Mery sooraj ki kirnyn tujh py parrti to
Barri anmol ho jateen
Hawa sy mil kr naai ek shakl myn dhalteen
Gazal k bol ho jateen
Main tujh sy roothta to tareek raat ho jata
Magr phir bhi mera chanda tery he sath ho jata
Kaheen taary chamak parrty go mera husan barrhany ko
Magr be'taab rehty wo tera aanchal sajany ko
par jana main ny mana
K aesa ho nahi sakta
Na'jany kis ki sazish hy
Magr phir bhi meri itni si khwahish hy
MAsooM LArKa
05-30-2012, 12:28 PM
ginti nahi ati ho gi naaa :0037:
nahi ginti tu achi khasii aati hai par ab apke poetry thread ko gupshup thread main convert krna nahi chahta :blush-anim-cl:
Miss Habib
05-30-2012, 12:31 PM
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar julahy
Akser tujh ko dekha hy k tana bunty
Jab koi dhaga toot gaya ya khatam huwa
Phir sy jorr k or sira koi daal k us myn
Aagy bunany lagty ho
Tery is taany myn lekin
Aik bhi gaanth giraah buntar ki
Daikh nahi sakta hy koi
Main ny to ek baar buna tha aik he rishta
Lakin us ki sari girhyn
Saaf nazer aati hyn mery yaar julahy
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar julahy!
Miss Habib
05-30-2012, 12:31 PM
nahi ginti tu achi khasii aati hai par ab apke poetry thread ko gupshup thread main convert krna nahi chahta :blush-anim-cl:
hahahahaha
thankoooooooooo g :groupwave:
MAsooM LArKa
05-30-2012, 12:34 PM
u welcome moshhtt :)
Miss Habib
06-02-2012, 11:37 AM
http://www.khanapakana.com/userfiles/girl.gif
Muj se bad-e-bahaaran ne ro kr kaha.!
Teri qismat baharon k qabil nahi.!
Teri dunia hy ashkon mai doobi hui.!
Teri aankhen nazaaron k qabil nahi.!
Meri kashti ko toofan ne bosay diye.!
Boli moj-e-talatum muje dekh kr.!
Teri taqdir main hain bhanwar hi bhanwar.!
Teri kashti kinaron k qabil nahi.!
Usne mehfil se muj ko utha kr kaha.!
Mera peecha khuda k liye chor do.!
Meri mehfil me phir na aana kabi.!
Ye muhabat k maron k qabil nai.
Miss Habib
06-02-2012, 11:37 AM
kis-kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya
gairon ka naam mere lahu se likha gaya
nikala tha main sada-e-jaras ke talash mein
bhule se is sukut ke sehra mein aa gaya
kyon aj us ka zikr mujhe khush na kar saka
kyon aj us ka naam mera dil dukha gaya
is hadase ko sun ke karega yaqin koi
suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya
Miss Habib
06-02-2012, 11:38 AM
Tum Bin Meri Zaat Adhuri
Jaisey Koi Baat Aduri
Hijr ke Sarey Din Hein Poorey
Lekin Hai Har Raat Aduri
Lafzon ki Gehrai Mein Jhanko
Samjho na Har Baat Adhuri
Nam Aankhen or Sookhi Palkein
Hoti Hai Barsaat Adhuri
Mujh Se...
Mujh Ko...
Cheen Gaye Tum
Reh Gai Meri Zaat Adhuri.
Miss Habib
06-02-2012, 11:40 AM
http://a8.sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash3/545655_225011397610736_1160987901_n.jpg
Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe
Khud Ko Sataane Ki Aadat Si Hai Mujhe
Jaan Le Na Koi Haal-E-Dil Is Dar Se
Bewajha Muskurane Ki Aadat Si Hai Mujhe
Youn To Tere Dar Se Namuraad Lauta Hoon
Qismat Ko Aazmaane Ki Aadat Si Hai Mujhe
Mein Jantaa Hoon Ke Too Laut Kar Na Ayegaa
Dil Ko Behlaane Ki Aadat Si Hai Mujhe
Chaand Gham Na Kar Mein Bhi Tera Saathi Hoon
Ke Ratjagae Manane Ki Aadat Si Hai Mujhe
Kabhi To Woh Bhi Sochain Ge Acha Nahi Hua
Khush Fehmian Jagane Ki Aadat Si Hai Mujhe
M A H i
06-04-2012, 06:56 PM
sabhi kuch dil ker raha hai Qoute ker k bataoun k kitna acha laga,
but mostly per Thanks Press ker k paseendgi ka izhaar kiya hai
aur ye 2 qoute b kiye hain....
Karoonga main zamane ki khushi se ashna tum ko
Hua majboor main yaro, kia iqrar ulfat ka
Laga di jan ki bazi, samjh kar khail qismat ka
Hui maloom phir us ki haqiqat ye zamane se
Usse taskeen milti hai, kisi ka dil dukhane se
.
.
.
.
.
kyon aj us ka zikr mujhe khush na kar saka
kyon aj us ka naam mera dil dukha gaya
is hadase ko sun ke karega yaqin koi
suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya
All are very Nice Sharing
Keep Sharing!
mcitp-it
06-04-2012, 06:59 PM
nice............
Miss Habib
06-13-2012, 12:51 PM
sabhi kuch dil ker raha hai Qoute ker k bataoun k kitna acha laga,
but mostly per Thanks Press ker k paseendgi ka izhaar kiya hai
aur ye 2 qoute b kiye hain....
.
.
.
.
.
All are very Nice Sharing
Keep Sharing!
thanks so much Mahi, itne ghor se parhne kaa:rose5wd:
or itne ache comments dena kaa
Miss Habib
06-13-2012, 01:01 PM
Aaj aisa krte hain
Be-sada lafzon me,
Wajh-e-zindgi keh k
Wasal ki zarurt par
Phir se zor dete hain
.
Aaj aisa krte hain
Zikr wahi krte hain
Naam aur dete hain
.
Zabt ky kinaar0n se
Dard aan lipta hy
Toot’tay kinaaray ab
Dard aur dete hain
.
Aaj aisa krte hain
Dard se ulajhtay hain
Zabt chor dete hain
.
Taar taar daaman ko
Khaar khaar rah0n me
Ranjishen bhula k Hum
Aa k jor dete hain
.
Aaj aisa krte hain
Khud nahi palt’tay hain
Raah mor dete hain
.
Sabz sabz mousam me
Laal Laal ankhon k
Khuwab k ragon se Hum
Khoon nichor lete hain
.
Aaj aisa krte hain
ye bhi kr guzarte hain
Khuwab tor dete hain.
Miss Habib
06-14-2012, 12:42 PM
http://3.bp.blogspot.com/-SkMSmK9kTeg/TZ2KQhwJk_I/AAAAAAAAAHs/mAkD5pIz3KE/s400/agony.jpg'
Mujhy na sans aati hai
Na mera dam nikalta hai
Mgr
Ye beech ka Aalam
BOHAT TAKLEEF DETA HAi
Mujhy ander nigalta hai
na sahil pr patakhta hai
Bikharna yun sumandar ka
BOHT TAKLEEF DETA HAi
Jo tum bolo bikhar jaein
Jo tum chaho sanwar jaein
Magr yun totna jurna
BOHT TAKLEEF DETA HAi
Miss Habib
06-15-2012, 11:34 AM
Baasat-e-Jaan pe azab utrarte hai kis tarah
Shab-o-Roz dil pe aatab utarte hain kis tarah
Kahin ishq ho to pata chale
Ye jo log se chupy hue hain pas-e-dostaan
To ye kon hain ?
Ye jo rog se chupy hue hain pas-e-jismo jaan
To ye kis liye?
Ye jo kaan hain meri ahaton per lage hue
To ye kyon bhala ?
Ye jo hont hain saf-e-dostaan mein sile hue
To ye kis liye ?
Ye jo iztraab racha hua hai wajood mein
To ye kyon bhala ?
Ye jo sang sa koi aa gira hai wajood pe
To ye kis liye ?
Ye jo dil mein dard chhira hua hai lateef sa
To ye kab se hai ?
Ye jo putliyon mein hai aks koi khafeef sa
So ye kab se hai ?
Ye jo doston mein nai nai si kimi hai
To ye kyon bhala ?
Ye jo log peeche pare hue hain fazool mein
Inhein kia khabar ?
Inhein kia pata ?
Kisi rah k kisi mor per jo inhein zara
Kahin ishq ho to pata chale
Miss Habib
06-15-2012, 11:35 AM
Wo suni suni si angraeeyan awaz deti hain
Chale ayo tumhein tanhaeeyan awaz deti hain
Ye kisi ki yad mein hai bheegi bheegi app ki palkein
Kise ye be-sada shahnaeeyan awaz deti hain
Achank main Jigar se poochta hoon khuwab mein uth kar
Teri yadon ki jb parchaeeyan awaz deti hain
Mujhe samjha nahi koi, main wo khuddar pyasa hoon
Sumandar ki jisse gehraeeyan awaz deti hain
Najane kis pe toote gi qaymat kon tarpega
Ye kis ko dard ki purwaeeyan awaz deti hain
Mila duniya se mujh ko hai mere ikhlaq ka badla
Mujhe har gaam per ruswaeeyan awaz deti hain
Kisi k pyar ki khatir zamane se larr ka aya hoon
Mujhe har simt ab ruswaeeyan awaz deti hain
Miss Habib
06-18-2012, 12:04 PM
Tumhari yad ati hai to hum ansu bahate hain
Guzare the kabhi jo sath din wo yad ate hain
Isi umeed pe hum ne khula rakha hai darwaza
Suna hai shaam hote hi bichre laut ate hain
Haqarat se na dekho aey Ahl-e-Sahil toofan ko
Kabhi aisa bhi hota hai kinare doob jate hain
Kisi se kia gila “Dost” ye dastoor hai zamane ka
Naye jab yar milte hain purane bhool jate hain
(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-18-2012, 12:06 PM
mahni saab collection tu nahi parya but jo shoro main ek do hain bht best hain
Miss Habib
06-18-2012, 12:14 PM
thanks khushiCutie
Miss Habib
06-18-2012, 12:15 PM
Thik hey,khud ko hum badaltey hein
Shukria mashwarey ka, chaltey hein
Ho raha hon mein kis tarah barbaad
Dekhney waley haath maltey hein..
Hey woh jaan ab har ek mehfil ki...
Hum bhi ab ghar se kam nikaltey hein
Kia takalluf karen yeh kehney mein
Jo bhi khush hey,hum uss se jaltey hein
Tum bano rung,tum bano khushboo....
Hum tu apney sukhan mein dhaltey hein
Hey ajab faisley ka sehra bhi......
Chal na parye tu paaon jaltey hein
Miss Habib
06-18-2012, 12:24 PM
Rehte the pastion mein magar khud pasand the
Hum log iss lehaz se kitne buland the
Akhir ko so gai khuli galio mein chandani
kal shab tamam shehar k darwazy band the
Guzre to hanste shehar ko namnaak kar gai
Jhonkay hawa-e-shab k bare dard mand the
Mausam ne bal-o-par to sanwaray bohat magar
Urte kahan k hum to aseer-e-kamand the
Wo aik tu k hum ko mitta kar tha mutma'een
Wo aik hum k phir bhi harees-e-gazand the
Mohsin riya k naam pe sathi the beshumaar
Jin mein tha khaloos wo dushman bhi chund the
cutepoison
06-18-2012, 12:34 PM
Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main ne jab us se
"Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen ker lo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yahi sach hai k hum do mukhtalif
Rasston ke raahi hai
To phir kion dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Azziyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga"
Meray is aam se lehjay pe wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
"Ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"
Bohat hi jee kar'da kar k
Main us dam muskurayi thi
Bohat khud pe jabar kar ke
Main us se keh ye payi thi
"Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko see loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi"
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark_e_taalluq ko
Agarche umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
"WOH SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"
bht pyari Poem hai Miss.... udaas hi kar diya pehle se udas shuda dil ko :(
cutepoison
06-18-2012, 12:36 PM
Tumhari yad ati hai to hum ansu bahate hain
Guzare the kabhi jo sath din wo yad ate hain
Isi umeed pe hum ne khula rakha hai darwaza
Suna hai shaam hote hi bichre laut ate hain
Haqarat se na dekho aey Ahl-e-Sahil toofan ko
Kabhi aisa bhi hota hai kinare doob jate hain
Kisi se kia gila “Dost” ye dastoor hai zamane ka
Naye jab yar milte hain purane bhool jate hain
aur is ka to koi jawab hi nahi ... aaj Fb pe status me yehi rakhonga .. dil me utar jane wali nazm hai ..
Thanks for sharing...
Miss Habib
06-18-2012, 01:03 PM
bht pyari Poem hai Miss.... udaas hi kar diya pehle se udas shuda dil ko :(
mujhe kia pata g k app ka dil udas shuuuuuuda hai
any way thanks so much:handshake:
Miss Habib
06-20-2012, 10:47 AM
Main Ne Tumhein Aazad Kiya !
Kuch Qasmon Se !
Kuch Waadon Se !
Kuch Aankhon Ki Barsaaton Se !
Jao Main Ne Tumhein Aazad Kiya !
Kuch Uljhey Suljhey Dhaagey They !
Kuch Kachey Pakkey Naatey They !
Un Naaton Mein Koi Apna Tha !
Us Se Apna Sa Ik Rishta Tha !
Us Rishtey Mein Ik Chaahat Thi !
Us Chaahat Se Tumhein Aazad Kiya !
Jao Main Ne Tumhein Aazad Kiya..!!!
https://fbcdn-sphotos-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash3/575202_410256712349503_1703460998_n.jpg
Miss Habib
06-20-2012, 11:00 AM
Har shay k soda hot hai
Har cheez bikaoon hoti hai
Har fard yahan per tajir hai
Har waqat tijarat hoti hai
Tum app hi apne daam kaho
Chup k nahi sar-e-aam kaho
Kya lo gai apni yari ka
Kya lo gai tum dildari ka
Ghum’khuwar bano gai kitne mein
Tum pyar karo gai kitne mein
Sub jazbe mere naam karo
Hum’nam tum apna daam kaho
Per daam chukane ki khatir
Hum apna daftar kholain to
Hum apni jaib tatolain to
Bus pyar mile ga thora sa
Azaar mile ga thora sa
Ye sikkay yahan kab chalte hain
Kya udhar mile ga thora sa
Ye duniya be-aitbaari ki
Ye arz hai har beopaari ki
SHAYAN
06-20-2012, 11:01 AM
A'alaa...
Miss Habib
06-20-2012, 11:13 AM
thanks shayan
Miss Habib
06-20-2012, 11:35 AM
Saans lena bhi kesi aadat hai
Jiye jana bhi kya riwayat hai
Koi aahat nahi badan mein kaheen
Koi saya nahi hai aankhon mein
Paon be'his hein chalty jaty hain
Ek safer hai jo behta rehta hai
Kitny barson se kitni sadiyon se
Jiye jate hain, jiye jate hain
Aadatein bhi ajeeb hoti hain
Miss Habib
07-03-2012, 11:44 AM
Kabhi Ulfat Bhara Lehja, Kabhi Utra hoa Chehra...
Smajh Me kuch Nhi Ata, bata mera Gunah kia hy ?
Meri Uljhan Mita tu day, Mujhe Itna bata tu day...
Me Mujrim hun, ya Mehram hun, Saza Kia hy, Jazaa Kia hy ?
Meri Sansain tu Chalti Hain, Teri Yadoon Say Aye Humdum...
Nhi Fursat k yeh Sochon, Fanaa kia hy, Baqaa Kia hy ?
Mera ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, yeh Sab "Wasi"
Ye sub kuch Naam tere hain, bata peechay bacha kia hay .. !!
https://fbcdn-sphotos-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash4/s480x480/392876_356459571093053_896803406_n.jpg
Miss Habib
07-10-2012, 12:25 PM
https://lh5.googleusercontent.com/-bel5WRi-VRc/TXeH_Av9pDI/AAAAAAAAAIs/rMXwAcwaz-0/punchie+to+hawaahoun+mein.jpg
Kash Aesa Ho K Ab K Bewafai
Main Karun............
Tu Phiray Qarya-Ba-Qarya
Qoo-Ba-Qoo Mere Liay
Main To La-Mehdood Ho Jaun
Samandar Kee Terha
Tu Bahay Darya-Ba-Darya
Ju-Ba-Ju Mere Liay........!
Miss Habib
07-10-2012, 12:29 PM
Udaas Logo
Hajoom Lao,
Hussan Walon
Ko Maar Dalain..
Koi Tu Naiki ka
Kam Kr Lain,
Tabah Tu Wese
B Ho Gy Hain...!
Miss Habib
08-01-2012, 10:40 AM
Teri is dunya mein ye manzar ‘kyon’ hai ?
Kahin sukh to kahin pe dil banjar ‘kyon’ hai ?
Jab har zarray mein to rehta hai aey Allah
To phir zameen per kahin Masjid to kahin Mandir ‘kyon’ hai ?
Jab rehne wale is duniya k hain tere hi banday
To phir koi kisi ka dost, kisi ka dushman ‘kyon’ hai ?
Tu hi likhta hai sab logo ka muqaddar “Ya Rabb”
To phir koi bad’naseeb or koi muqaddar ka sikandar ‘kyon’ hai ?
Miss Habib
08-01-2012, 10:41 AM
Ghum had se jo guzra hai to ye ehsas hua hai
Dil bujh k bhi dil rehta hai pathar nahi hota
Har shakhs ko munh mangi muradein nahi milteen
Har shakhs muqaddar ka sikandar nahi hota
Har dil mein mohabbat ho ye mumkin nahi
Har seep ki agosh mein moti nahi hota
Miss Habib
08-09-2012, 11:48 AM
thanks life
Miss Habib
09-15-2012, 01:46 PM
Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Miss Habib
09-15-2012, 01:47 PM
Jane aisa kyon hota hai ?
kuch khushiyan ghum ho jati hain
kuch ghum payre ho jate hain
yar purane dukh dete hain
dushman ghum ko dho jate hain
jin raston per hum chalte the
pal bhar mein wo kho jate hain
jin k sath basar hoti thi
wo bhi paraye ho jate hain
Miss Habib
09-17-2012, 11:26 AM
http://3.bp.blogspot.com/_NBGefdxLuC8/Si3sppBpIvI/AAAAAAAAAAk/tj7uudzWd1c/s320/farawaybyanarashake4.jpg
Jaise phir hath mein khusbhoo k khazanay aye
Yad phir se mujhe wo guzray zamane aye
Mere apne hi mujhe bhule hue hain shayd
Aik muddat se nahi dil ko dukhane aye
Aur dehleez pe ajati hain yadein lekin
Laut k phir nahi wo bachpan k zamane aye
Ab k mausam ne bhi ehsan kia hai mujh pe
Yad phir se mujhe wo dard purane aye
Khoob rakha hai rafaqat ka bharam uss ne
Kat chuke haath to phir hath milane aye
Miss Habib
09-17-2012, 11:26 AM
Qissay meri ulfat k jo marqoom hain saare
Aa dekh tere naam se mosoom hain saare
Bus isliye har kaam adhoora hi para hai
Khadim bhi meri quam k makhdoom hain saare
Ab kon mere paon ki zanjeer ko kholay
Hakim meri basti k bhi mahkoon hain saare
Shayd ye zarf hai jo khamosh hoon ab tak
Warna to tere aib bhi maloom hain saare
Sub jurm meri zaat se mansoob hain Faraz
Kia mere siwa shehar mein masoom hain saare
Miss Habib
09-17-2012, 11:29 AM
Jama tum ho nahi sakte
Tumhein manfi se nafrat hai
Tumhein taqseem karta hoon to hasil kuch nahi ata
Koi qa’yeda koi kuliya
Na laagu tujh pe ho paye
Zarb tujh ko agar doon to hisabon mein khal’al aye
Ekayi ko dahayi per mein doon nisbat to
Kaise doon
Na Al’jabra se lagte ho
Na ho digree nikal aye
Umar ye katt gai meri tujhe
hum dum samjhne mein
Jo hal tera agar niklay
To sab kuch hi uljh jaye
Miss Habib
09-22-2012, 01:46 PM
http://files.coloribus.com/files/adsarchive/part_580/5809555/file/silicone-resin-paints-the-crying-wall-small-79321.jpg
Na May Kaneez e Badshah,
Na May Muhabbat e Saleem,
Phir bi Mere Naseeb Mein,
Deewar Q..? Daraar Q..?...
Miss Habib
09-25-2012, 11:32 AM
Main wohi hoon pehchan le jo tere husun ka shabab the
Teri shokhyion, teri mastyion, teri har ada ka hijab the
Jab tha zamana ik taraf or main deewani ik taraf
Kisi ghum ki kab parwah thi, tera pyar jo be-hisab tha
Tu tab talk sota na tha gar baat mujh se noti na thi
Aftab thi tere din ka, teri raat ka mehtab thi
Tu man ya na maan ab ye waqat waqat ki baat hai
Aaj ban gai khud sawal ho, kabhi har sawal ka jawab the
sara butt
09-25-2012, 11:51 AM
Be-had khobsurat....bahot Omda sharing dear...!!
Wonderful collection...
Miss Habib
09-26-2012, 11:28 AM
thanks so much Sara
Shaam
09-26-2012, 07:50 PM
wah Ms
maza aya parh kar
Miss Habib
09-29-2012, 10:03 AM
thanks shaam
Miss Habib
09-29-2012, 10:46 AM
Suno!
Naraz hO hUm Se??
Magar hUm KhUd Wo hAin Jin Ko
Manana Bhi Nahi Aata
Kisi Se Kabhi hUm Ne mOhabbat Jo Nahi Ki hAi
mUhabbat Kis Trah hOti hAi
hUmare Shehar K Itraaf Mein tO PehRa Tha Sakht KhizaOun Ka
Is Shehar e PreShaan Ki FaSeelien Ladii Thi Zard BailOun Se
In Mein Na tO KhUSbOo Thi
Na kOi PhOol tUm jAisa
K Mehak Uthe hUmare Deed e Dil Jis Ki KhUSbOo Se
hUm Is Shehar Ki Veraan GaliyOun Mein
Eik SOokhe hOye Patte Ki Manind They
K Zalim Hawa jAb hUm Par Apne Qadam Rakhti
tO Us K PaaOun K NeeChey hUmara Dam Nikal jAta
Magar Suna hAi
Patjhar Ka wO mOusam Tal ChUka Ab tO
Magar Jo Haar hOna Thi So wO hO ChUkki hUm Sey
Suno !
Haarey hOye lOgOun Sey
yOun ROotha Nahi Karte
Miss Habib
09-29-2012, 10:46 AM
Teri Arzo Mein Uthna
Teri Justju Mein Chalna
Tujhy Bar Bar Sochna
Or Chupa Chupa Ka Rakhna
Tujhy Phol Phol Kehna
Tere Pas Pas Rehna
Tujhy Sath Sath Rakhna
Ye Hi Adtain Thiin Meri
Mazi Ka Sab Dino’n Mein
Ab
Muskara K Rona
Kabhi Ro K Muskarana
Raton Se Batein Karna
Taron Ko Kuch Sunana
Mazi Ki Adaton Par
Khud Hi Tohmatein Lagana
Khud Hi Khud Se Roth Jana
Khud Ko Dair Tak Manana
Ye Hi Mashgalay Hein Mere
Miss Habib
10-02-2012, 01:51 PM
http://ariolealei.com/urlight/wp-content/uploads/2010/11/bird-fly-out-of-cage-sireniadescastellis.fies_.wordpress.com_.jpg
Ta’alluq torta hoon to mukamal tor deta hoon
Jise mein chor deta hoon mukammal chor deta hoon
Mohabbat ho k nafrat ho, bhara rehta hoon shiddat se
Jidher se aye ye darya, udher hi morr deta hoon
Yaqeen rakhta nahi hoon main kisi kachay ta’alluq per
Jo dhaga tootne wala ho isko tor deta hoon
Mere dekhe hue sapne kahin lahray na lain jayein
Gharonday rait k ta’meer kar k tor deta hoon
Mera ab tak wohi bachpan wohi takhreeb’khari hai
Qafas ko tor deta hoon, prinde chor deta hoon
M A H i
10-11-2012, 07:54 PM
Some are Superb Sharing Miss
I am Qouting
Baasat-e-Jaan pe azab utrarte hai kis tarah
Shab-o-Roz dil pe aatab utarte hain kis tarah
Kahin ishq ho to pata chale
Rehte the pastion mein magar khud pasand the
Hum log iss lehaz se kitne buland the
Saans lena bhi kesi aadat hai
Jiye jana bhi kya riwayat hai
Main Ne Tumhein Aazad Kiya !
Na May Kaneez e Badshah,
Na May Muhabbat e Saleem,
Phir bi Mere Naseeb Mein,
Deewar Q..? Daraar Q..?...
ab read kerne k liye Thread find out nahi kerni paregi (Sticky hogai)
Keep on Sharing
:thankyou:
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
10-12-2012, 04:54 PM
Bht KhOOb .. ZabarDast CollectiOn ..:)
saira111
10-13-2012, 11:34 AM
Manzil k paas lut'tay hoye dekhe kaarwaan
Ab zikr e vasl se bhi yahan dar lage mujhe
wah har intikhab kabil e tahseen hai miss thanks for sharing ..:)
Miss Habib
10-15-2012, 01:58 PM
Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha
Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha
Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha
Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha
Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha
Miss Habib
10-15-2012, 02:00 PM
Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha
Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha
Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha
Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha
Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ?
Ajab Naseeb Tha “Mohsin” Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha
Miss Habib
10-15-2012, 02:02 PM
Urr jayen gey tasvir k rangon ki tarhan hain..
hum waqt ki tehni pe parindon ki trhan hain,
Tum sahil pey kharray huwe phoolon ki trhan ho..
hum rait pey likhay huwe harfon ki trhan hain,
Tum aaj bhi aaenda zamanon ki jhalak ho..
hum aaj bhi guzray huwe lamhon ki trhan hein,
Tanhaai k yakh lamhon mein aayen gey tere kaam..
Aa’shaar mere sardi mein Shaa’lon ki trhan hein,
Ek umar tarastay hain kisi aik khushi ko..
hum log b banjar si zameenon ki trhan hain,
Duniya k liyeh kuch bhi sahi teray liyeh hum..
mukhlis kisi maa ki duaon ki trhan hain,
Tarikh ki nazron mein hum aik umar sey Mohsin..
School sey bhaagay huwe bachon ki trhan hein
Miss Habib
10-15-2012, 02:04 PM
دل پہ کرتے ہیں دماغوں پہ اثر کرتے ہیں
ہم عجب لوگ ہیں ذہنوں میں سفر کرتے ہیں
جب سر آ پے پہ کبھی اس کی نظر کرتے ہیں
میر صاحب کی طرح عمر بسر کرتے ہیں
بندّشیں ہم کو کسی حال گنوارا ہی نہیں
ہم تو وہ لوگ ہیں دیوار کو در کرتے ہیں
نقشِ پا اپنا کہیں راہ میں ہوتا ہی نہیں
سر سے کرتے ہیں مہم جب کوئی سر کرتے ہیں
ہمنشیں خوب ہے یہ محفلِ یاراں کی یہاں
وہ سلیقہ ہے کہ عیبوں کو ہنر کرتے ہیں
کیا کہیں حال تیرا اے متمدّن دنیا
جانور بھی نہیں کرتے جو بشر کرتے ہیں
ہم کو دشمن کی بھی تکلیف گنوارا نہ ہوئی
لوگ احباب سے بھی سرفِ نظر کرتے ہیں
مرقدوں پہ تو چراغاں ہیں شب و روز مگر
عمر کچھ لوگ اندھیروں میں بسر کرتے ہیں
تذکرہ میر کا غالب کی زباں تک آیا
اعترافِ ہنر،اربابِ ہنر کرتے ہیں
Miss Habib
10-15-2012, 02:08 PM
Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait
Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait
Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait
Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait
Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ?
Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait
Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait
Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait
Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait
Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait
Mein Ke “Mohsin” Hun Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait
Miss Habib
10-16-2012, 02:20 PM
Mujhe malom tha jana
Wo jhooth tha tera..
Wo dosti ka vaada
Mohbbat se bhi zyada
Sath rehne ka irada
Kabi poora kbi aadha
Wo paglpan b jana
Kasur tha tera
Mujhe malum tha jaana
Wo jhuth tha tera..
Ye majburio’n to janeman
Bahaar ko hi hain
Zamane ne sath bhe
Diya kab hai
Wo jate jate jana
Muskra dena tera
Mujhe maloom tha jana
Wo jhooth tha tera..
Duriya’n jeet gayi mujhse
Ya teri zidd ki jeet hui
Aur teri yaadein mere zehen mein
Har pal gunjta geet hui
Wo tere naino me ashq lena
Bana ke masum sa chehra
Mujhe malum tha jaana
Wo jhooth tha tera..
Dil torra kisi ne
Saza kise milti rahi
Meri qismat meri mohbbat ko
Dil’lagi likhti rahi
Wo inkar-e-jwab-e-mulaqat
Lga k bandisho’n ka pehra
Mujhe maloom tha jana
Wo jhuth tha tera..!
Kisi ke bichrney se
Zindgi ruk toh nhi jaati
Bas adhuri reh jati hai
Jo phir kabi puri ho nhi paati
Jeet tera wo na thikana
Jis dar pe tu aakr hai thehra
Mujhe maloom tha jana
Wo jhooth tha tera..!
Miss Habib
10-22-2012, 11:46 AM
Zakhm-E-Tanhai Main Khushbu-E-Hina Kis Ki Thi
Saya Diwar Pe Mera Tha Sada Kis Ki Thi
Uski Raftar Se Lipti Rahi Meri Ankhen
Us Ne Mur Kar Bhi Na Dekha K Wafa Kis Ki Thi
Waqt Ki Tarah Dabe Panw Ye Kaun Aya Hai
Main Andhera Jise Samjha Wo Qaba Kis Ki Thi
Ansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daman Mera
Hath To Main Ne Uthaye The Dua Kis Ki Thi
Meri Ahon Ki Zaban Koi Samajhta Kaise
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi
Ag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera
Di Gai Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi
Main Ne Binaiyan Bo Kar Bhi Andhere Kate
Kis K Bas Main Thi Zamin Abr-O-Hawa Kis Ki Thi
Chor Di Kis Liye Tu Ne “Muzaffar” Duniya
Justaju Si Tujhe Har Waqt Bata Kis Ki Thi
ღƬαsнι☣Rασ™
10-29-2012, 04:43 AM
OMG ... superb cullection appi ..
Miss Habib
10-30-2012, 11:45 AM
thanks so much tashi
Miss Habib
10-31-2012, 12:19 PM
زوال مسلمان اب
افواہ وقت تو نہیں
یہ حقیقت عیاں ہے
ضمیر مسلمان
........اعلی ظرف نہیں
اب توکل کر لیں کہ
کچھ ہونے کا نہیں
خون مسلمان بہے گا
.........یہ رکنے کا نہیں
شجاعت کی لوریاں اب
جتنی بھی سناۓ جاؤں خالد
وو مائیں نہ رہیں جن کی
کوکھ جنم دے صلاح ادیں
Miss Habib
11-15-2012, 11:26 AM
Hawis aur Muhabbat.......!!
Kaha maine janan,
Yeh sub kuch baja hai,
Hamaray taluq ke her rastay mein
BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hai!!
Hawis aur Muhabbat ka lehja hai yaksaan,
Ke dono taraf sae badan bolta hai,
Bazahir zaman-o-Makan kay safar mein
Badan Ibtida hai, Badan Intiha hai!
Mager iskay hotay���. sabhi kuch ke hotay,
Kahein beech mein woh jo ek fasla hai,
Woh Kia Hai???
Meri Jaan, daikhoo
Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein
Sari kahani ka asli sira hai
Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hai,
aur is say agay
Muhabbat mein jo kuch hai usko samajna
Badan kay tasawur say he ma'wara hai
Yeh ek kayfiyat hai
Jisay naam daina tu mumkin nahi
Samajhnay ki khatir
bus itna samajh lo
Zameen Zadgaan kay mukaddar ka jub faisla ho gaya
Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir,
Her ek zaat ko ek tala milla tha
Wu makhsoos ta'la, jo ek khas number pay khulta hai lakin
Kisi aur number say milta nahi hai
Mujhay aur tujhay bhee yeh ta'lay milay thay
Mager farq itna hai kay dono kay khulnay kay number wohe hain,
aur in numberoon pay hamaray siwa
teesra koi bhee quf'l khulta nahi
teri aur meri baat kay dermiyan
Bus yahi farq hai
Hawis aur Muhabbat mein aye jan-e-jaan
Bus yahi farq hai.....!!
Miss Habib
11-15-2012, 11:29 AM
اُلجھن
کروڑوں چہرے
اور ان کے پیچھے
کروڑوں چہرے
یہ راستے ہیں کہ بِھڑ کے چَھتّے
زمین جسموں سے ڈھک گئی ہے
قدم تو کیا تِل بھی دَھرنے کی اب جگہ نہیں ہے
یہ دیکھتا ہوں تو سوچتا ہوں
کہ اب جہاں ہوں
وہیں سِمٹ کے کھڑا رہوں میں
مگر کروں کیا
کہ جانتا ہوں
کہ رُک گیا تو
جو بِھیڑ پیچھے سے آ رہی ہے
وہ مجھ کو پَیروں تَلے کُچل دے گی پیس دے گی
تو اب جو چلتا ہوں میں
تو خود میرے اپنے پَیروں میں آ رہا ہے
کسی کا سینہ
کسی کا بازو
کسی کا چہرہ
چلوں
تو اوروں پہ ظلم ڈھاؤں
رکوں
تو اوروں کے ظلم جھیلوں
ضمیر
تجھ کو تو ناز ہے اپنی منصفی پر
ذرا سُنوں تو
کہ آج کیا تیرا فیصلہ ہے
Miss Habib
11-15-2012, 11:30 AM
یا سمیع، یا بصیر
ہجومِ غم سے جس دم آدمی گھبرا سا جاتا ہے
تو ایسے میں
اُسے آواز پر قابو نہیں رہتا
وہ اِتنے زور سے فریاد کرتا، چیختا اور بلبلاتا ہے
کہ جیسے وہ زمیں پر اور خدا ہو آسمانوں میں
مگر ایسا بھی ہوتا ہے
کہ اُس کی چیخ کی آواز کے رُکنے سے پہلے ہی
خدا کچھ اس قدر نزدیک سے اور اِس قدر
رحمت بھری مُسکان سے اُس کو تھپکتا اور اُس کی بات سنتا ہے
کہ فریادی کو اپنی چیخ کی شِدّت
صدا کی بے یقینی پر ندامت ہونے لگتی ہے
Miss Habib
11-19-2012, 01:03 PM
Har shakhs hi jaise Rukh-e-Batil se mila ho
Ik bhi nahi aisa jo humein dil se mila ho
Phir rah se, pehar se, musafat se gila kia
Jab hukum palat jane ka manzil se mila ho
Andaz-e-Mulaqat bhi iss bar juda tha
Jaise k unhein waqat bhi mushkil se mila ho
Miss Habib
11-19-2012, 01:04 PM
Ik soona sa chand mere fasane mein rah gaya
Main doosron ki shamein jalane mein rah gaya
Wo aa k mere gaon se wapis bhi ja chukka
Main tha k apne ghar ko sajane mein rah gaya
Wapis hua to ghar mera sholon ki zad mein tha
Main shehar k deep jalane mein rah gaya
Har pal fraib khaye aur muskurate rahe
Ye riwaj sirf mere gharane mein rah gaya
Duniya se sari umar ta’aruf na ho saka
Main khud ko khud se milane mein rah gaya
Miss Habib
11-19-2012, 01:04 PM
Ankhon mein ansoo ki haqiqat na poochta
Kash mujhse wo meri haalat na poochta
Ab maine uss ko uss se talab kar lia to kia
Wo bhi mujh se meri fursat na poochta
Wo mujh ko azmata kisi or tarah se
Kitni hai mujh ko uss se mohabbat na poochta
Faraz agar wo jaan jata dil k muamlay
Tujh se kabhi bhi Waja-e-Mohabbat na poochta
M A H i
11-19-2012, 05:04 PM
Very Nice collection Miss
Urr jayen gey tasvir k rangon ki tarhan hain..
hum waqt ki tehni pe parindon ki trhan hain,
Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait
Musalman
Hawis aur Muhabbat.......!!
Miss Habib
11-21-2012, 12:48 PM
bohat shukriyaa Mahi
Muntazir Nigahain
11-21-2012, 01:11 PM
Wo Kehta Hai Use Pholon Ki Chahat Hai
Magar Jab Phool Khilte Hain
Wo Unko Tor Deta Hai
Use Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai
Magar Jab Barish Hoti Hai
Wo Kamre Me Afsurda Sa Ho Kr Band Ho Jata Hai
Wo Kehta Hai Hawaen Ishq Hain Uski
Hawaen Lekin Chalen Jab To
Wo Khirki Band Rakhta Hai
Wo Jab B Muj Se Kehta Hai
Use Mujse Mohabbat Hai
wah wah bohat aala , bohat umda khubsoorat sharing
Miss Habib
11-22-2012, 01:21 PM
wah wah bohat aala , bohat umda khubsoorat sharing
thanks sweet sis :handshake:
Miss Habib
11-29-2012, 08:59 AM
hamaare daramiyan aisa koi rishtaa nahi tha
tere shaano pe koi chat nahi thi
mere zimme koi angan nahi tha
koi vada teri zanjeer-e-paa ban'ne nahin paya
kisi iqarar ne meri kalaai ko nahi thaama
havaa-e-dasht ki maanind
tu aazaad tha
raaste teri marzi ke tabe the
mujhe bhi apani tanhai pe
dekhaa jaaye to
puraa tasarruf tha
"magar jab aaj tu ne
rastaa badala
to kuchh aisa lagaa mujh ko
ke jaise tu ne mujh se bevafai ki"
Miss Habib
12-04-2012, 12:02 PM
WAQT NAHI
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nah
Miss Habib
02-27-2013, 09:46 AM
Bicharna hai to khushi se bichron
Sawal kaise ?
Jawab choro
Kisse mili hai Jahan ki khushiaan ?
Milein hain kis ko azab choro
Naye safar pe jo chal pare ho
Mujhe khabar hai k khush bare ho
Hai kon ujra tumhare peeche
Ya kis k tootay hain khuwab choro
Mohabbton k tamam waday
Nibhaye kis ne ?
Bhulaye kis ne ?
Tumhein peshemangi ho gi Jana!
Jo meri mano hisab choro
Dukhi dilon ki pukar sun’na
Bana lo da’yamm amal ye apna
Hai iss mein tum ko gunah kitna ?
Ya kis qadar hai sawab choro
Miss Habib
04-15-2013, 10:13 AM
Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha
Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha
Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha
Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!
Miss Habib
04-15-2013, 10:20 AM
Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha
Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha
Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha
Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha
Miss Habib
04-15-2013, 10:22 AM
Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun
Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun
Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun
Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun
Miss Habib
04-15-2013, 10:26 AM
Meine ghar ke sarey mausam,
Sab deewarain,
Saarey pardey,
Yaadon se rang daaley hain,
Tum aao ge,
Tum is ghar ki har khirrki,
Har bagheechey,
Har ik goshay ko,
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!
Miss Habib
04-15-2013, 10:31 AM
Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se,
Woh meri baat ko sanjeedgi se
kam hi leta hai,
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana,
Doston per fikray qassna,
Nit’naye masoom mansoobay banana,
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main bohat masroof rehta hai,
Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko,
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hai,
Ke mehke khawab bun’ne, khelne ka waqt hai uska,
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski,
Sadaa se hum ne dekha hai,
Mohabbat aadmi ko is’qadar sanjeeda karti hai,
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain,
Main darti hoon
Kahin yeh bhol’pan us ka,
Yeh har pal cheh’chihaana muskurana sab,
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye,
Kahin us shokhh ko bhi rog koi,
Chup chaap na lag jaye,
Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se….
Miss Habib
04-29-2013, 02:47 PM
Band kitab mein khali Oraaq rakhte hain
Dil ko ainay ki Shaffaf rakhte hain
Ik baar ka milna kar deta hai Mut’asir
Apni guftagu mein kuch aisa Andaaz rakhte hain
Mujh se milo to Faaslay se mila karo
Hum dil mein utar jane ka Kamala rakhte hain
Har dukh ko yunh hi bant lete hain Lafzon mein
Kuch aisa hi hum Dostana Mizaaaj rakhte hain
Miss Habib
04-29-2013, 02:50 PM
Kash ussay chahne ka armaan na hota
Dil hosh mein rehte hue anjaan na hota
Pyar na hota kisi pathar dil se humein
Ya koi pathar dil insaan na hota
Miss Habib
05-29-2013, 12:37 PM
Chalo ye farz kartey hein
ke tum mashriq
mein maghrib hoon
chalo ye maan letey hein
barra lamba safar hey ye
magar
ye bhi haqeeqat hey
tumhaari zaat ka sooraj
bohat sa raasta chal kar
meri hasti mein doobey ga
Miss Habib
06-28-2013, 02:30 PM
Agar kabhi meri yad aye to sard raton ki nurm dilgeer roshni mein kisi sitare ko dekh lena
Agar wo Nakhl-e-Falak se urr kar tumhare qadmon mein a gire to ye jan lena
Wo Istar’aara tha mere dil ka
Agar na aye
Magar ye mumkin hi kis tarah hai k tum kisi per nigah dalo
To us ki Deewar-e-Jan na tootay
Wo apni hasti na bhool jaye
Agar kabhi meri yad aye
To
Guraiz karti hawa ki
Lehron pe hath rakhna
Main khushboon mein tumhein miloon ga
Mujhe gulabon ki pation mein talash karna
Main Oas qatron k aine mein tumhein miloon ga
Agar gulabon mein
Oas qatron mein
Khusbhoun mein
Na pao
Mujhko to apne qadmon mein dekh lena
Main gard hoti musafton mein tumhein miloon ga
Kahin pe roshan chiragh dekho to soch lena k hare patangy k sath
Main bhi bikhar chukka hoon
Tum apne hathon se un patangon ki khak darya mein dal dena
Me khak ban kar sumandron mein safar karoon ga
Kisi na dekhe hue jaziry per ruk kar tum ko sadayein doonga
Sumdanron k safar pe niklo to uss jaziry pe bhi utarna
Miss Habib
06-28-2013, 02:31 PM
Teri uss ada se bhi hoon ashna
Tujhe itna jis pe gharoor hai
Main jiyoonga tere beghair bhi
Mujhe zindagi ka shaour hai
Na hawas mujh mein janab ki
Na talab Saba-o-Shabab ki
Tere chashm-e-naz ki khair ho
Mujhe bin piye hi saroor hai
Jo samjh lia tu ne bewafa
To iss mein meri hai kia khata?
Ye khayal hai tere dimagh ka
Ye nazar ka teri qasoor hai
Main nikal k bhi tere naam se
Na giron ga apne muqam se
Main qateel-e-sitam hi sahi
Mujhe tum se ishq zaroor hai
Miss Habib
06-28-2013, 02:32 PM
Udas dil ki viranyion mein bikhar gai hai gulab sare
Ye meri basti se kon guzra ?
Nikher gai hain gulab sare
Wo dur tha to haqiqaton per sarab ka ik guman sa tha
Wo pas hai to guman hai k haqeeqtein hain sarab sari
Najane kitni shikaytein thi
Na jane kitne gillay the un se
Jo unko deha to bhool bethe
Sawal sare
Jawab sare
Jo wo na hota to kis tarah meri soch ko haroof milte
Bus ik hi zat ne diye hain kitab ko meri baab sare
Miss Habib
06-28-2013, 02:33 PM
Koi humsafar nahi hai
Koi razdan nahi hai
Faqat aik dil tha apna
So wo meharban nahi hai
Kisi ankh ko sada doon ?
Kis zulf ko pukaroon?
Bari dhoop parr rahi hai
Koi sayebaan nahi hai
Mere dard ki haqeeqat
Mere ansoun se pooch
Mera majlisi tabassum
Mera tarjuman nahi hai
Inhi pathron per chal kar
Agar aa sko to aao
Mere ghar k raste mein koi
“Kehkashan” nahi hai
pakeeza
06-28-2013, 02:41 PM
Greaat collection hbii
Miss Habib
06-28-2013, 03:11 PM
thanks pakeeza
Miss Habib
06-28-2013, 03:11 PM
Kehte hain usse shehar k sab log Masiha
Wo shakhs mere dard se anjan sa kyon hai
Be-adal hi hoti rahi yahan pyar ki taqseem
Iss mulk mein pyar ka fuqdaan sa kyon hai
Izhar k bawajood bhi wo shakhs mujhko muyyasar nahi to phir
Seenay mein uss se pyar ka toofan sa kyon hai
Jo hum se koi ta’alluq hi nahi rakhna chahta
Uss shakhs k laut ane ka imkaan sa kyon hai
Mitti ka bana hai to ghull kyon nahi jata
Pathar ka agar hai to phir insaan sa kyon hai
M A H i
10-02-2013, 06:32 PM
bicharna hai to khushi se bichron
sawal kaise ?
Jawab choro
dasht-e-wafa mein pyaas ka aalam ajeeb tha
dekha to aik dard ka dariya qareeb tha
ik baar ka milna kar deta hai mut’asir
apni guftagu mein kuch aisa andaaz rakhte hain
mujh se milo to faaslay se mila karo
hum dil mein utar jane ka kamala rakhte hain
wo dur tha to haqiqaton per sarab ka ik guman sa tha
wo pas hai to guman hai k haqeeqtein hain sarab sari
very nice sharing miss
Miss Habib
02-12-2014, 04:49 PM
thanks life and Mahi
Miss Habib
02-12-2014, 04:50 PM
Ik saza or aseeron ko suna di jaye
Yahi ab Jurm-e-Aseeri ki saza di jaye
Uss ki khuwahish hai k ab log na royein na hassein
Be-Hissi waqat ki awaz bana di jaye
Sirf jalna hi nahi humko bharakna bhi hai
Ishq ki aag ko lazim hai hawa di jaye
Sirf sooraj ka nikalna hi agar din hai to
Phir aik shab or meri shab se mila di jaye
Aur ik taza sitam usne kia hai Mohsin
Uss ko iss baar zara khoob dua di jaye
Miss Habib
02-12-2014, 04:51 PM
Ajab hain rasty mere k chalna bhi nahi mumkin
Zara thokar jo lag jaye sambhalna bhi nahi mumkin
Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye
K ab bheegi hui ankhon ko malna bhi nahi mumkin
Mily hain bad muddat k bala k sard hain lehjy
K jalna bhi nahi mumkin pighalna bhi nahi mumkin
Ta’aluq toot jane se umeedein toot jati hain
Dilon mein hasratein le kar behlana bhi nahi mumkin
Bohat nakamiyan le kar hua hun khaak ka qaidi
Chalo ab aj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin
Ussy itna na socha kar teri adat na ban jaye
Phir aisi adatein Mohsin badalna bhi nahi mumkin
Golden Tears
02-12-2014, 04:52 PM
nice.....
Shizuka
02-12-2014, 06:01 PM
Nice...............
Miss Habib
02-12-2014, 06:12 PM
nice.....
thankss :;angel:
Miss Habib
02-12-2014, 06:13 PM
Nice...............
thankss sisoooo
Miss Habib
02-12-2014, 06:14 PM
Best of Iqbal
Likhna nahi ata to meri jaan parha kar
Ho jaye gi mushkil teri asan parha kar
Parhne k liye tujhko agar kuch na mile to
Chehron pe likhe dard k unwaan parha kar
Laraib teri rooh ko taskeen mile gi
Tu karab k lamhat mein Quran parha kar
Paida ho tere behar ki mojon mein talatum
Tu Hasti-e-Iqbal k deewan parha kar
Aa jaye ga “Iqbal” tujhe jeeny ka qareena
Tu Sarwar-e-Konain (S.A.W.W) k farman parha kar
Miss Habib
02-12-2014, 06:18 PM
Sitare Bant’ta Hai Wo Zaya Taqseem Karta Hai
Suna hai habs k mausam mein hawa taqseem karta hai
Ussi ki apni beti ki hatheli khushk rehti hai
Jo boorha dhoop mein aksar hina taqseem karta hai
Koi roke ussy ja kar, s’rasar hai ye pagalpan
Jo behron k mohallay mein sada taqseem karta hai
Ussi se mang tu Mohsin, baqi chor de sab ko
Jo pathar mein bhi keeray ko ghiza taqseem karta hai
Miss Habib
02-12-2014, 06:25 PM
Nafrat badosh andhi
Anao’n k roop mein
Insaan jee raha hai
Khudaa’on k roop mein
Sehra hai, taiz dhoop hai
Manzil bhi door hai
Sooraj ko orha hai
Ridao’on k roop mein
Tanha hamari zaat hai
Aur uss k samne
Laakho’n museebtein hai
Balao’n k roop mein
Sanso’n ka bojh dhony ko jeena kaho agar
Zinda hain zindagi ki
Jafao’n k roop mein
Ab iss ghum-e-hayat se shikwa karein to kia ?
Taqdeer dhal gai hai
Sazaao’n k roop mein
Miss Habib
02-12-2014, 06:32 PM
Haakim-e-Shehar bata
Waqat k shikanje mein
Khuwahishon k phoolon ko
Noch noch tora hai
Kia ye zulm thora hai ??
Dard k jazeeron ne arzu k jeevan ko
Maqbaron mein dhala hai
Zulmaton k dairay hain
Log sab lootary hain
Maut rooth bethi hai
Zaat raiza raiza hai
Taar taar daman hai
Dar dard jeevan hai
Shabnami si palkein hain
Qurb hai na doori hai
Zindagi adhoori hai
Ab yaqeen aya k
“Maut Bhi Zaroori Hai”
Miss Habib
02-13-2014, 06:02 PM
Bethe Bethe Ghum Mein Giraftar Ho Gaya
Gosha Nasheen Tha Ronaq-e-Bazar Ho Gaya
Do Ga’zz Zameen Mil Hi Gai Mujh Gharib Ko
Marne k Baad mein Bhi Zamindaar Ho Gaya
SHAYAN
02-16-2014, 11:34 PM
Suprb....
Miss Habib
10-04-2014, 10:54 AM
thanks shayan and life
Miss Habib
10-04-2014, 11:23 AM
https://fbcdn-sphotos-d-a.akamaihd.net/hphotos-ak-prn1/58858_606883172670646_488429525_n.jpg
بڑی ادق زبان میں
ہزاروں لوگ ہیں جنہیں
نصیب ہوں قریب سے
کوئی نظر نہ پڑھ سکی۔
مرے حروف راز کو
کوئی بھی پا سکا نہیں
سخن کے سوز و سا ز کو
جو پڑھ سکے تو پڑھ مجھے
نہاں ہے مجھ میں جو فسوں ۔
میری نگاہ شوق نے
عنوان۔۔۔ ۔۔۔ پایا۔۔۔ ۔۔۔ "زندگی"
پہلا صفحہ۔۔حیرت کدہ
کچھ حرف۔۔۔ تھے
کچھ نقش۔۔۔ ۔۔۔ ۔۔۔ ۔ تھے
اک جال سا۔۔۔ ۔۔ نقشہ نما
اک "ع" تھی پھر "ش" تھا
کچھ آگ تھی کچھ راکھ تھی
اک دشت تھا اک بحر تھا
صحرا بھی تھا اور پیاس تھی
پھراک خلا۔۔۔ ۔۔ بے انت سا
اک بند گلی۔۔۔ سا۔۔۔ ۔ راستہ
ویرانیاں' تنہائیاں ۔۔۔ ۔ پھر "ق"تھا
پھر سارا منظر راکھ تھا
سب۔۔۔ ۔۔۔ ۔۔۔ ۔۔۔ ۔۔۔ ۔۔ خاک تھا
میری نظر کے سامنے
اک طور سا روشن ہوا
جب حرف باہم مل گئے
پھر لفظ کا عقدہ کھلا
وہ۔۔۔ ۔۔ "عشق" تھا
پھر اسکے بعد کچھ نہ تھا
ملا سفید ہر صفحہ
کہیں بھی ذکر من نہ تو۔
کہیں پڑاؤ نہ سکوں
فقظ جنوں.... جنوں ..جنوں
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.